Mahwari Kia hoti hai ?
Yeh ak khoon amaiz ratubat ka naam ha jo keh girls ki tandrusti ki halat men har mahina kharij hoti ha Jaisay english main menses aur urdu main Mahwarikahtay hain.
Mahwari ka zyada ana
Garam or tez masasle wali cheezon ka zyada istimal, jisam men khoon ka zyada hona, reham ki waram, rasoli, reham men zakham hona or reham ka tal jana waghera mahwari kay zayada anay ki wajuhat hain.
ILAJ: 2 teaspoon sharbat-e-injabar har ak ghante baad pilayen.
Sufaid pani ana (Licoria)
Is marz men aurat ki agli sharam gah se sufaid ya peele rang ki ratubat ati ha jis se kamar men dard, chakkar or jusmani kamzori ho jati ha.
Causes: jismani kamzori, reham men waram hona, zyada sex karna or zyda garmi hone ki waja se yeh marz ho sakta ha.
ILaj: yeh nuskha ap ko chand dino men araam de ga or aap lambe chore nuskhon se bhi bach jayen gay.
NUSKHA: [ Maghaz Tukham Saras 250 gram, Sang-e-Jarrahat 100 gram, Cheeni(Sugar) 50 garam] tamam cheezon ko bareek pees kar safuf banal en or 500 milligram k capsule la kar un men bhar len. 1 kapsul subha or 1 sham pani se istimal Karen.
Ikhtinaq-ur-reham (Hysteria)
Ye marz mirgi k dore ki trha hota ha jis men pehle hips/ koolhon men dard hota ha phir sar men or ankhon men pani ata ha. Phir pait se ak gola uth kar gale men atak jata ha jis se mariza cheekh maar kar hansti ha ya roti ha or behosh ho jati ha, hath paun marti ha or gale ki taraf ishara karti ha. Gardan peeche ko jhukati ha. Jab araam ata ha to beikhtiar hansna shuru ho jati ha or kasrat se peeshab bhi ta ha. Aksar wehmi log ye samjhte hen k mariza par koi Jin A gya ha halan k asa nahi hota.
Causes: Haiz ka ruk jana, buhat zyada arse qabz rehna, pait men khrabi hona, zyada arse tak shadi na hona, zehan men sexual khyalat ate rehna or zyada jagne ki waja se ye marz ho jata ha.
ILAJ: pehle to dast awar dawa den jis se 3,4 dast a jayen phir choti chandan bareek pees kar 4 ratti 3 time den. Agar shadi na hui ho to jald shadi kara den. Agar shadi shuda ha to husband ko kahen k bivi ki sexual desire ko pura kare or agar us men koi kamzori ha to door kare.
Breast men Doodh Kam Hona:
khoon ki kami, chest/ pistanon ki jazab karne ki quwwat men kami, ghussa, ranj-o-gham, kafi arse tak beemar rehna, jismani kamzori hona is marz k asbab hen.
khoon ki kami, chest/ pistanon ki jazab karne ki quwwat men kami, ghussa, ranj-o-gham, kafi arse tak beemar rehna, jismani kamzori hona is marz k asbab hen.
NUSKHA: [Satawar 25gram, Bonola ki giri 25gram, Shakkar 50gram] sab ko pees kar safuf bana len or 10gram safuf ak cup doodh k sath din men do dafa len.
Waram-e-Reham
Is marz men mariza k pait or kamar men dard rehta he. Mahwari k dinon men or sex k waqt zyada dard hota ha. Is k ilawa pindlion men bhi dard rehta ha or silan-ur-reham ki shikayat bhi ho jati ha or bukhar bhi rehta ha.
Problems in pregnancy period and treatment
Hamla ko doran-e-hamal beshumar amraz se samna karna parta ha jo is ki bakhshish ka sabab bhi bante hen or ALLAH PAK ki bargah men is ka rutba bhi barha dete hen yehi waja ha k jannat us k qadmon men a jati ha. Kher in amraz k ilaj men ye dhyan rakhna parta ha k koi taqtwar dawa na di jaye jis ka direct asar janain ya hamla ki sehat par pare. Dusri aham bat ye ha keh hamla ka ilaj jahan tak ho sake beruni tariqon se kia jaye khane ki dawa na di jaye. Is silsile men ghiza ki islah sab se behtar asul ha.
[Alu Bukhara 21 adad, Zar Shak 3gram, Podina 1gram, Ilayichi Choti 5adad] in sab ko 1.5(dairh) cup garam pani men josh den jab ak cup pani reh jaye to ise chaan len or hasb-e-zayiqa meetha mila kar pee len.
Hazma k lye: [Safuf-e-Hazim 1gram, Safuf akseer-ul-qalb 1gram, Safuf-e-thandak 1gram] sab ko mila kar purya bana kar mariza ko pani k sath den. Sirf 3 khurak lene se he aram a jaye ga.
Dard-e-sar: agar hamla ko sar men dard qabz ya pait men aphara(zyada hawa) ki waja ho to [Sonf 3gram, Zeera sufaid 3gram, Aneesoon 3gram, Podina 4gram] sab ko Arq-e-sonf men josh de kar Gulqand mila kar thanda kar k pilayen.
BadHazmi: [Jawarish-e-Mustagi ya Jawarish-e-Kamuni] 5gram, Arq-e-Sonf k sath len or ghiza itni khayen jitni hazam ho sake.
Periods bhot zaida ho raha hain ruk he nai raha to kya tab use karay jo ruk jay
ReplyDeletemre sath b asy h yar koi frq pra mje zra ni pr rha kasy thk howe apky
DeletePeriods zaida ho raha hain to kya tab use karay jo khatam ho jay
ReplyDeletePeriods zaida ho raha hain to kya tab use karay jo khatam ho jay
ReplyDeleteTransamine (red color) 3 times a day use kren 3 din. Us se b faraq na pre to nuberol forte k sath transamkne use kren dubara 3 din 3 time.
Deleteperiods week mai khatm ho gye or 9 days bad phr sy start ho gye aesa ku?
ReplyDeleteSame problem he mere sath plz answer den ye Ku he muje periods aye b one and half year bd hn after s section
ReplyDeleteI have read your article. it is very informative and helpful for me.I admire the valuable information you offer in your articles. Thanks for posting it..
ReplyDeleteMahwari
Periods jyda aara hai to kya tablet use kre
ReplyDeleteShadi ka bad pahla do mahena thek rahi hu periods time pa ata tha lakin ab do mahena may har pandhra din bad aya raha hy kyu may bht pershan hu
ReplyDeleteapko aram aya plz mje bta dain mre sath b asa h ma unmarried hon
DeletePlz mjhy hr 15 din bad mensis hoty hain Dr ny dawa bhi di 2 month tk mahiny me ek bar aty rahy or me pragnant bhi hogai olad thik hui MASHAAllah se mgr mensis abhi delivery k bad bhi hr mahiny 2 bar hoti hun
ReplyDeletemjy date se hafta phly masiz a jaty ha koi dawa bta dein
ReplyDelete