LifetimeEarn

Wednesday 18 November 2015

Totkay for Menses in Urdu

  • Wesay to khwateen aur girls roz marra mamoolat ki wajha sy mukhtalif takaleef mein mubtala nzr ati hein. Mgr kuch khas ayyam mein unki takaleef brh jate hey. Menses (period, mahwari, haiz, makhsoos ayyam) shru hoty hi kmr or pait mein shadeed dard shuru ho jata hy. Baaz khawateen aur girls mein menses yani periods ka dard aam khawateen sy zaiada hota hy. Hum kuch esey muashrtee mohol mein rhty hein jahan esee takleef brmla nhi byan ki ja sktee or khaas tor pey ghar ky mardon ky samny esee batein karna mayoob smjha jata hy. Akhir menses ya periods ki iss takleef sy kesy chutkara paya jyey ya ye k iska ilaj gharelu ilaj keya hai. Kon sa gharelu totka azmein ky is hr mah ke tkleef pr kabu paya ja sky. Aik dard ooper sy baizargee or phr ghar ky kaam. Krein to kiya kreein, jein to jein kahan.

  • Desi Gharelu Totkay  for Menses:

  • Menses ke liye aik totkay yeh hai k garm pani ki bottle kop ait pr drd waly hisy py rkh kr kuch deir ky lyey laitr jein drd km ho jyey ga
  • Garm cheezon ko khayajaey
  • Thundi food yani ice cream, cold drinks sy bcha jaey
  • Khjoor ko ziada khaya jyey
  • Water bag ko pair pr rkh kr kmbl ya grm chard orh kr leta jaye
  • Comfortable yani aram deh underwear ka istimaal kya jyey
  • Koshish kya jayey ky kapry ki jgha koi acha pad istimal kya jyey agr kapra hi dstiab ho to ziada geela hony sy pehly badal lya jeay
  • Underwear bhi jism ky mutabik pehna jay or isy bi do din bad change kr lya jaye
  • Agr menses ziada ho jein to tukhm mlanga pani mein bhigo kr pya jyey ya doodh mein mila ky pya jye.
  • Imli ka istimaal km kya jyey is sy menses ziada or be waqt ho jaty hein
  • Menses agr waqt py na hoty hon to grm cheezon ka istimal kya jyey taky jld ho jein
  • Menses ki dino mein agr rashes ho jein to rashes wali jagha ko saaf kr ky khushk kr lein or koi achi rashning cream lgein ya powder lga dein or khuli shalwar pehnein
  • Menses ki dino mein tng kpry or tng pajamy na lgein taky khfgi or tngi sy bcha ja sky or rashes bhi nap rein
  • Grm doodh pya ja is sy bhi drd mein kmi hoti hy
  • Ziada khoon niklny ki wjha sy jism mein kmzori ho jate hy is ky lyey fruits or doodh ka ziada istimaal krein.
  • Menses ke ayyam main wzn ziada uthany sy gureiz krein
  • Larkion ko ziada khuti cheezein nhi khane chein wrna waqt sy pehly menses ho jatey hein
  • Roee ko direct istimaal na krein blky isko kisi gauze mein lpait kr istimaal krein wrna roee ka direct istimaal khtrnaak ho skta hy
  • Ik dfa agr kpra istimaal kr lein to koshish krein woh doobara istimaal na krein. Is kpry ko zaya kr dya jyey. Istrimaal shuda kprey ya pad ko kisi shopper mein lpait kr phenka jyey taky jraseem na phelein.
  • Andy ki zardi ko neem grm doodh mein daal kr pein menses ka drd (menses cramps ya mahwari ka dard) kafi km ho jyey ga or energy bhi bahal ho jayey gi
  • Menses cramps (haiz ka dard, mahwari ka  dard) kam karne k liye pani ziada miqdar main peeyen. Pani agar neem garm ho tu menses cramps k liye ziada faidamand hota hai.
  • Adrak (ginger) ka istemal bhi menses crams (haiz ka dard) aur doosry dardon, jaisa ke sar dard wagheira k liye mofeed hai. Adrak ko peece kar pani main mila kar pee jaen, iss se menstrual cramps main kami aati hai.
  • Issi tarah chicken, fish, akhrot, badam wagahirah main bhi aisey ajza hote hain jo menses k cramps kam karne k liye mofeed hotey hain.
  • Menses ke dinon main chaye, coffee, botlon aur burger waighaira ka istemal kam karen.
  • Menses yani haiz k dinon main dil na chahte howey bhi halki exercise jaisa k walk waghaira karne se menses crams main kami aati hai.
  • Menses cramps yani haiz ke dard main yeh ghazaen bhi faida deti hainhain: till, ajwaen, salmon machli
  • Menses ya period ke dinon main coffee,  ziada meethee cheezon, ghost aur dairy products yani dhoodh waghairah se ijtenab karen kiun k yeh cheezen bhi cramps yani dard ka baes ban saktee hain.

No comments:

Post a Comment

Health Tips Viewers