LifetimeEarn

Thursday 19 November 2015

Papita (Papaya) Ky Faide


Papita (papaya) ko kuch log sabzi mein bhi shumar karte hain. Yeh kacha aur paka donon tarah istemaal kia jata hai. Is ki taseer garam tar hai, lekin aanton aur jigar ko khoob taqat deta hai. Kache papitay (papaya) ki sbzi bana kar ise rozana istemaal ki jaaye to buhat si bimaryon se bachao rehta hai.


Papita nizam hazam ko durust rakhta hai. Is mein potassium, vitamin A, vitamin C, protein ke elawa kaseer mqdar mein fibers bhi paaye jate hain.

Papita Jism ko taqat deta hai, wazan ghatane mein madad karta hai, quwat mudafiyat brhata hai, arthritis se bachata hai, motya se mehfooz rakhta hai, dil ko tqwiyat deta hai, mukhtalif qisam ke sartan se hifazat karta hai, muscle tissue dobarah banane mein madad deta hai.

Papita plkon ko ghana aur lamba karne ke liye bhi be had mufeed hai.

Papita balon aur nails ki sehat ke liye bhi khasa mufeed hai.

Papita ki khas baat yeh hai keh aksar phal khoob pak jate hain to mithe ho jate hain, lekin papita ziadah pak jaye to is ki lazzat mein farq par jata hai. Papita ka ziadah istemaal kia jaye to yeh daimi qabz aur khooni bawaseer ko khatam kar deta hai.

Papita barhi huyi tilli aur jigar ko durust halat mein lane ke liye be had mufeed dawa hai. Is mqsad ke liye ise kacha aur paka donon suraton mein istemaal kia jata hai.

Papita aasabi bimaryon ko bhi door karta hai. Woh log jo bhook ki kami ka shikar rehte hain, agar rozanah papita khayein, to in ki bhook khul jaye gi, kiun keh yeh nizam hazam ko bhi durust rakhta hai.

Papita mein khamre mojood hote hain, jo jild ke murdah khalyon ko intehayi narmi se zail kar dete hain. Is ke gooday ko bator face mask bhi istemaal kia jata hai. Yeh jild ko sehat mand banata hai. Tazah pake huye papitay (papaya) ko cheel kar is ke gooday ko kantay se pees lein aur chehre o gardan par lagayein. Khushk hone par tazah pani se dho dalein. Jild buhat tazah aur khoobsurat ho jaye gi.

Agar jild chikni ho to 2 tsp papita (papaya) ke gooday mein 10 drops lemon ka ras mila lein. Khoob achi tarah milayen aur 20 minute tak chor dein, is ke baad chehre par lagayein aur sookhne dein. Is ke baad chehrah dho lein. Yeh jild ko saaf suthra aur doran khoon ko tez kar de ga.

Papitay ke nazuk (tender leaves) kuchal kar pani mein milayein aur is solution ko conditioner ke tor par istemaal kar skte hain.

No comments:

Post a Comment

Health Tips Viewers