LifetimeEarn

Wednesday 18 November 2015

Ajwain Benefits in Urdu


Ajwain ka beej chota, bareek aur dane dar hota ai. Ajwain (Umbelliferae) key nabatati qabile, (botanical family) jis mein dhanya, zira, sonf waghira shamil hain, se talluq rakhta hai. Englishtan mein ise





Bishop’s weed kehte hain. Jab keh barr-e-saghir mein ise ajwain key naam se jana jata hai jo keh adarjawan key maakhiz se lia gia hai.



Ajwain ke bijon se jo tail ya arq kasheed kia jata hai use (thymol)kehte hain. Is oil ko khasoosan surgery key baad anti septic marhum key tor par laga ya jata hai. Ajwain ka oil apni khasoosyat ki bina par ghair maamuli qadar o qimat rakhta hai. Ajwain key oil thymol ko is ki tibbi khsoosyat ki bina par 19wi sadi mein bare paimane par barr-e-azam Europe aur U.S.A ko bar aamad kia jata hai.

Iran, Egypt aur Afghanistan ko ajwain ka ghar kaha jata hai jabkeh India mien maghrabi bangol, behar uttar pardesh waghirah mein paya jata hai. Ajwain k pode ko ghar mein lagana bhi buhat aasan hai. Aap ise kisi km gehre gmle mein ba aasani laga skti hain. Mah October, November is ki namu aur irtaqa key liye buhat saaz gar hote hian. October November key mahine mein kisi km gehre kmle mien zarkhez khaad wali mitti daal kar ajwain key beej chirak dein. March ki aamad tk is mein halke hare rung ki balyan, pholon key sath namudar ho chuki hon gi, jo apni tez aur anokhi khushbo se aap key kitchen ko bhi mehka dein gi. Aap May, June key mahine tk is key bhure bijon ko istemaal mein la skti hain.
Ajwain ke fawaid, faide


Ajwain ka beej apne andar be shumar tibbi fawaid rkhta hai. Atba khasoosan aisi adoyat ki taiyari mein ajwain ko lazmi ansar key tor par shamil karte hain, jo nizam e hzmah ko durust rkhne key liye moassar o muawin hoti hain.

1. Amoor e khana dari ki mahereen khawateen ajwain ki madad se kar aamad aur khush zaiqa churan tiyar kia karti hain. Ajwain aur sonth (dry ginger) ko masawi moqdar mein bahum mila kar in par lemon ka juice chirak kar khushk kar lein. Is amal ko 2 martaha dohrayein is key baad ajwain aur sonth mila kar bareek pees lein. Thira sa lahori namak bhi shamil kar lein chutki bhar churan, neem garam pani key sath lene se tbkheer maday bad shikam (pait mein hawa bhar jana ) mein faida mand sabit hota hia. Bache khasoossan is key chat pate tarsh zaiq ko psand kartehain aur churan ko ungliyon ki madad se chat lete hain.

2. 1 tsp ajwain key beej le kar 1 glass pani mein shamil kar key pani ko boil karein. Dard qulan(bari aant ka dard) mein is pani ko istemaal karein fori tor par afaqa mehsoos hota hia.

3. Shadeed warm halaq (pharyngitis) mein thore se lahori namak aur long key sath ajwain mila kar chibana mufeed sabit hota hia.

4. Nizam e hzmah ki takaleef mslan ishan(diarrhea), pechish(dysentery), bdhzmi(dyspepsia ) mein ajwain ka istemaal akseer ka drjah rakhta hai.

5. Boil pani men 1 tsp ajwain key beej dal kar boil karein. Ab is pani ko songhein aur sans key sath andar kheinchein. Yeh nazle se band naak kholne mein kar gar hota hai. Garam pani mein chutki bhar namak aur ajwain key chand beej dal kar gharare karne se bhi kafi madad milti hai.

6. Ajwain ko doodh key sath mila kar din mein 2 martaba istemaal kia jaye to yeh dafa balgham (expectorant) sabit hota hia.

7. Damma (asthma) key shadeed hamle key surat mein ajwain key beej kisi kapre mein bandh kar istri ya tawe par is potli ko garam kar key is potli se sine ki sinkayi karna damma key mareez key liye sakoon awar sabit hota hai.

8. Jab aap kisi dawat mein koi mun psand dish zaroorat se ziadah kha lein to lazim hai keh is besh baha fawaid rakhne wale nanhe munne beej ko apne sath rakhein.

9. Yksan moqadar mein ajwain aur sonf le lein . is ko tawe par halka sa bhoon lein. Thanda ho jaye to botal mein daal kar mefooz kar lein. Yeh behtareen (mouth freshener) ka kaam bhi dega, aap ko mede ki girani mein mehfooz rakhe ga aur aap key munh se aane wali nagawar mehak aur nakhushgawar sans ka khtmah kare ga.

10. Arthritis aur joron ke dard mein aaram punhchata hai.

11Dard shaqeeqah mein iska istemaal fori aaram dea hai.

12. Hamlah khawateen ke liye is ka istemaal faidah mand hai.

13.Gurday ki pathri kay akhraj ke liye ajwain mufeed hai.

14. Bhook na lgne ki surat mein bhook ko barhati hai.

15.Roz nehar munh pani mein mila kar pine se wazan kaam karti hai.

16.Nehar munh garam pani ke sath is ka istemaal dil ke amraaz se hifazat karta hai.

No comments:

Post a Comment

Health Tips Viewers