LifetimeEarn

Wednesday, 2 December 2015

Haddiyon ka Dard, Joron ka Dard


Takleef koi bhi ho insan ko hila kar rakh deti hai, khas tor par aise dard jo mustaqil hote rehein jin se jism ka jor jor dukhta hai. Aik mosalsal aizyat ki kaifyat mein mubtila rakhte hain. Pakistani khawateen mein calcium aur vitamin D ki kami se hone wale dard bil khasoos kamar, ghutne aur jism ke degar hisson ke joron ke dard aam bimari ki shakal ikhtiyar kar gaye hain. Pain killers aur tail se masaj waqti aaram hai yeh is qisam ke dard ka shad e bab nahi bn skte. Yeh ilaj qdre mehnga hone ki wajah se log gharilo desi ilaj se aise dard mein shafa hasil karne ki koshish karte hain. Haddiyon se mutalliq chand ahum maaloomat mandar jah zel hain.

Orthopedic Kin Amraz ka Ahata Karta Hai?


Yeh field kafi wasi hai is mein pure bazu tang, kulhe, rerh ki haddi ke amraz ka ilaj kia jata hai. Jaise chot lagne ya kisi hadse ke pesh aane ki surat mein haddiyan toot jati hain in masail ka ilaj bhi kia jata hai is ke elawa umer ke sath jor kharab ho jate hain ya kisi bimari ki wajah se kharab hone wale joron ka ilaj bhi orthopedic surgeon karta hai. Hath, bazu, tang, kolhein ya rerh ki haddiyon mein hone wale sartan ka ilaj bhi orthopedic karte hain. Chote bachon mein haddiyon ka terha pan bhi deal kia jata hai.

Asia khwateen mein joron (ghutne, kamar) ke amraz barhne ki wajoohat kia hain?


Hamare mulk mein khawateen o hzrat mein jism ki haddiyon mein dard ki sb se ahum wajh vitamin D ki kami hai. Yeh aksaryat mein mojood hai aur is ki kami door karne se haddiyon ki tkleef mein kafi had tak kami ho jati hai. Vitamin D ka sb se ahum zariyah dhoop hai chunkeh aik bari taadad gharon aur offices ke andar reh kar kaam karti hai traveling bhi bazaryah car, riksha , taxi, bus ki jati hai. Is wajah se bhi vitamin D ki darker mqdar haddiyon ko nahi mil pati. hamare yahan cycle par safar karna ya paidal kayi mile chalne ka rawaj nahi hai. Yeh misaghal majmuyi insani sehat par behtareen asrat murattab karte hain. Mahol ki aaloodgi bhi is vitamin ka aik sabab hai kiun keh suraj ki ultraviolet maholyati aalodgi mein hi jazb ho jati hain yani hum tak nahi puhanchti keh jism vitamin D banaye.

Kia khawateen mein haddiyon ke dard ki ahum wajah in ka gharon mein rehna , suraj mein na nikalna hai?


Sirf yeh wajah nahi hai, buhat sare mardon mein bhi vitamin D ki kami hoti hai. yahan tak keh in mazdoron ko bhi is ki kami ki shikayat hoti hai jo mosalsal dhoop mein kaam karte hain. Ghiza mein bhi vitamin D ki kami ho gayi hai. Butter, ghee aur vitamin D ke zariye jism ko yeh ahum Vitamin milta hai lekin milawati ghizayein aur nakafi ghizaiyat ki wajah se asal haqaiq tak puhanchna fil hal mumkin nahi.

Kia calcium ki kami bhi is kisam ki dard ka sabab bnti hai?


Haddiyan chun keh calcium se bnti hain, vitamin D ki kami bazat khood nqsan nahi punchati bal keh calcium ka haddiyon mein na jama hone ki wajah se vitamin D k asar nazar aata hai. Medah, aur aant se calcium ko jazb karna aur phir khoon se calcium ko haddiyon ke andar puncha na vitamin D ka kaam hai. Is vitamin ki kami se calcium bhi kam hone lgta hai. Yani calcium ki kami bhi haddiyon ki kamzori, toot photo aur dard ka sabab banti hai is ki kami ki wajah doodh aur dahi ka intehayi qaleel istemaal hai.

Ziadah wazan wali khawateen mein ghutnon ka dard kiun hota hai?


Ziadah wazan wali khawateen mein is dard ki wajah vitamin D aur calcium ki kami bhi ho skti hai. lekin amooman aisi surat hal mein joron khas tor par ghutnon ke joron par izafi wazan barne se dard hota hai kiun keh agar jor par is ki salahiyat se ziadah wazan pare ga to woh dard se cheekh uthta hai aik aur wajah bachpan mein qad barhne aur haddiyan banne ke doran vitamin D ki kami bhi hoti hai. Is waqt tangon mein halka sa terha pan aajaye to umer ke sath yeh jor kamzor hone lagte hain. Yahi wajah hai keh umer rashidah afrad jinhein ghutnon mein dard ki shikayat ho in ki tangein amooman golayi mein nazar aati hain is mein ghutne ke andarooni jor par wazan ziadah parta hai aur bahir wale hisse par km jis ki wjah se wazan ki ziadti joron mein dard karti hai.

Aksar nojawan khawateen bhi aisi takaleef mein mubtila hoti hain aise dard se bacho ke liye diet patren kaisa hona chahiye?


Haddiyon aur joron ki tkleef se mehfooz rehne ke liye bachpan se hi ilaj ki zaroorat hoti hai. Ilaj se murad yeh keh bache/bachi ko ibtda se hi doodh, dahi ka istemaal kar waya jaye. Anda, Butter aur ghee bhi bachon ki diet mein shamil hone chahiye. Bachon ko rozana kuch der ghar se bahir kheilne ki ijazat bhi dein takeh suraj ki ultraviolet shuayein in ke jism tak punhchein aur vitamin D bane. Nojawan khawateen hon ya borhe rozana aik se do glass doodh zaroor piyein yeh daddiyon ki mzbooti ke liye na guzeer hai doodh ke intekhab mein milawat se pak doodh ka kheyal rakhein. Is ke elawah agar powder ke doodh ko is par darj hidayat ke mutabiq bana kar pia jaye to woh bhi behtareen fomula hai.

Is qisam ke dard mein warzish ka kirdar kitna ahum ho skta hai?


Haddiyon ki kamzori chust aur phurtile logon mein km hoti hai jo log rozana km az km 30 minute se le kar 1 hour tak exercise karte hain. 15-20 minute jogging, brisk walk (tez chalna) ya koi aur jismani warzish karte hain in mein haddiyon se mutalliq amraz nahi hote. Waise bil amoom haddiyon ki taqat aur calcium ka tanasub 2-3 saal ki umer ke baad km hone lagta hai yahan se haddiyan kamzor hone lgti hain lehaza 30 sal se pehle pehle jitna ho sake. Durust ghizayi aadat aur jismani warzish ke zariye haddiyon ko mzboot kar lia jaye to aage chalkar haddiyon ke amraz se bacha ja skta hai.

Kia 30 saal ke baad doodh, dahi, warzish kar aamad nahi rehti ?


Yeh cheezein asar to karein gi lekin jo calcium ki mqdar haddiyon mein km hone lgti hai is ki recovery sust ho jaye gi.

Kis age group ke logon mein haddiyon ki takaleef barh rahi hain?


40 se 50 saal ke logon mein yeh masail aam hain, albattah ghutne ka dard umer ke kisi bhi hisse mein ho skta hai lekin is ki wajoohat mukhtalif hoti hain. Bachon mein mukhtalif Teen ages mein alihda aur is se aage ki umer ke adwar mein ghutnon mein dard ki wajoohat ya asbaab mukhtalif hote hain.

Chote bachon mein bhi tangon ke dard ki shkiayat aam hoti jarahi hai kia is ki wajah haddiyon ka growing pain hai?


Is ki aik wajah to growing pain hai yeh dard is waqt hote hain jb nisbatan haddyan tezi se barh rahi hoti hain yani bache ka qd tezi se barh raha hota hai is waqt haddi banne ke amal ke sabab bachon ka jism khas tor par tangon mein dhukhan mehsoos hoti hai aur yeh tkleef raat ko numayan hoti hai kiun keh haddiyan doran neend banti hain. Dar asal mehsoos karne wali nasein haddi ki satah par hoti hain puri haddi ke charon taraf aik patli si jhilli hoti hai. Is jhilli mein mojood bareek bareek nasein mehsoos karne ki salahiyat rakhti hain. Jb haddi barhti hai to yeh nasein bhi kheinchna shuru ho jati hain jis wajah se mutasirah hisse mein tkleef mehsoos hoti hain. Din mein chun keh bache active hote hain aur jism ki sari nasein bhi mutahrik hoti hain to dard mehsoos nahi hota

Ghutnon mein dard ke liye lagaye jane wale injection kis had tak moassar hain?


Ghutne mein do tarah ke injection lagaye jate hain aik steroid ya cortisone jis se ghutne ki sujan dard warm aur ghutnon mein pani aajaye to yeh jald theek ho jata hai. chand mah baad dobarah pani aajata hai. Agar bar bar ghutne mein injection lagaya jaye to jor ko noqsan punchata hai. Is liye yeh injection kabhi kabhar istemaal karna chahiye. Doosra injection hyalgyn hai is mein hydronic acid hota hai jo keh ghutne ke andar mojood chiknahat ka chemical hai is ko lagane ka mqsad ghutne ke jor ki chiknahat bar qaarar rakhna hai lekin research yeh kehti hai keh is injection se marizon ko bilkul faidah nahi hota aur kuch ko wqti faidah hota hai. Yani ghutne ke dard ya chiknahat ko hal karna mustaqil ilaj injection nahi hain.

Ghutnon ke dard ki kitni aqsam hain?


Maghrib mein 50 se 60 saal baad aur hamare yahan 40 saal umer ke logon ke ghutnon ke jor kmzor hone lagte hain. Yeh degeneration ki wajah se hota hai. yani jor ghisna shuru ho jate hain. Jor jab ghis jaye to is ki shakal tbdil ho jati hai. Terha pn aajata hai jise oesteo arthritis kehte hain. 20-30 saal ki umer mein hone wale ghutne ke dard ko chondro malacia kehte hain is mein yeh hota hai keh ghutne ki chikni satah narm ho jati hai lekin jor ghis kar kharab nahi hota. Yeh halat warzishon aur dard kash adoyat ke zariye durust kia ja skti hai.

Calcium ki rozanah kitni mqdar leni chahiye?

Aik baligh jawan aadmi ke liye 800 mg (do glass doodh ya lassi) 50 saal se zaid umer ki khawateen ke liye 1000 se 1200 mg in ko ghiza ke elawah calcium ki tablets leni chahiye.

Insani jism mein barhti umer ke sath sab se pehle konsi haddi mutasir hoti hai?


Umer guzarne ke sath sath haddiyan batdreej kamzor hoti hain is amal ka asar reerh ki haddi par sb se pehle hota hai. Yeh maslah khawateen ko ziadah tar 50 saal ke baad jb keh mardon ko 60 -70 saal baad lahaq hota hai.

Aakhir mein chand batein yaad rakhein haddiyon aur joron ko mzboot rakhne ke liye munasib ghiza aur warzish ki pabandi zaroori hai diet mein dooodh, ande, butter ka istemaal karein. Lekin wazan na barhne dein aur ziadah wazan wale afrad ande aur doodh se par haiz karein in ke bajaye doctor se mashwarah kar ke calcium aur vitamin D ki tablets leni chahiye. Takeh haddiyon ki zaroorat pori ho jaye aur wazan mein bhi ziadti na ho. Baqaidah warzish jaise brisk walk, jogging ya cycling zaroor karein. sehat mand tarz e khorak aur tarz e zindagi hi aap ko har bimari se mehfooz rakh skti hai. khas tor par khawateen ko apni diet ka kheyal zaroor rakhna chahiye kiun keh poore kumbe ki sehat ka dar o madar in ki sehat se jurta hai.

1 comment:

Health Tips Viewers