LifetimeEarn

Wednesday 18 November 2015

Menses main dard aur Ilaj

Yeh ak khoon amaiz ratubat ka naam ha jo keh girls ki tandrusti ki halat main har mahina kharij hoti ha Jaisay menses aur urdu main Haiz ya Mahwari kahtay hain. 
Beqaida Mahwari yeh ratubat mukhtalif aurton men jismani halat k mutabiq mukhtalif ages men ana shuru hoti ha. Dunya k wo ilaqe jo garam hen waha ki aurto ko haiz/ menses jald ana shuru ho jata he is k bar aks sard ilaqon ki aurton / girls ko bari age men shuru hota ha. Is k ilawa ghiza ki quality or taqat bhi is par asar andaz hoti ha. Baharhal amuman 14 se 16 sal ki age men haiz ana shuru ho jata ha. Mahwari Ka Zayada Ana. Read about Beauty Makeup tips For Young Girls, Acne Treatment for Girls.
menses,periods,haiz,pain,noor clinic,urdu,alrazaak,mahwari,
Haiz ka ana aurat k baligh hone ki sab se bari alamat ha. Magar agar kisi larki ko nahi shuru hua to is ka yeh matlab nahi keh wo abhi na baligh ha. Yehi waja ha k esi khwateen bhi dekhi gai hen jin ko abhi tak haiz nahi shuru hua magar wo sahib-e-aulaad bhi hen. Magar ase cases kam he daikhne men ate hen. Asal men yehi baat doctors k nazdik ha keh haiz ka sahi waqt par or sahi miqdar men ana hamal or aurat ki sehat k lye zaruri ha. Menstrual Cycle
Haiz 30 din k baa data ha or amuman 5 din jari rehta ha. Menses main khoon or gosht k mile jule ajza hote hen. Magar khoon ki miqdaar gosht se zyada hoti ha. Amuman is ki miqdar 90 se 100 gram tak hoti ha. Hamal ther janay or bachay k doodh pine k dinon men haiz kuch dinon k lye band ho jata ha yani haiz ka band hona hamal therne ki bari alamat ha. Aam tor par taqriban 45 sal ki age main mahwari ane ka silsila mikammal band ho jata he or is k sath he aulaad paida hone ka bhi silsila band ho jata ha. Yehi waja ha keh bari umar ki larkion se aksar aulaad na hone ki tawaqqo he rakhi jati ha. Magar yeh baat bilkul accurate tor par sahi nahi kun keh aksar auqat 55 sal ki age men bhi khwateen aulaat peda karne k qabil hoti hen. Irregular Periods

Menses Ya Ayam-e-Mahwari men dard or Causes Problems & Remedies/Ilaj:

Wese to haiz ki khrabion k bare men kisi specialist ko check karaye bighair koi ilaj nai karna chahye or na he aam bazari tabibon or gharelu jahil aurton k mashwaron ki taraf jana chahye kun k yeh ak nazuk muamla ha. Zara si ghaflat bare nuqsan ka sabab ban sakti ha. Taham yahan par chand wujuhaat or un ka asan ilaj likh raha hun. In ka koi side effect nahi ha.
Haiz k ayam-e-mahwari men amuman pait k nichle hisse men dard or chubhan mehsus hoti ha jo khoon k jama hone ki waja se hota ha. Is dard ko door karne k lye exercise karni chahye or jismani mehnat or gharelu kamon ko tark na Karen kun in se ap k jism or patthe(tissue/ muscles) mazbut hote hen or haiz men phr dard nahi hota yehji waja ha keh jo khwateen khail kood ya jobs karne wali hoti hen wo haiz men dard or thakawat ki kabhi shikayat nahi kartin.  Read about Ovulation
   Exercise:-
Zameen par bilkul chit yani seedha lait jayen or jisam ko dheela chor den. Ak hath pait par rakhen or ahista ahista andar ko saans(breath) lijye or daikhen keh pait kitna ubharta ha, phir saans ko ahista ahista bahir nikal dijye or dekhen k pait kitna andar ko dhansta ha. Is asan si exercise ko subha sham 10, 10 martaba karna chahye. Is exercise ko rozana Karen haiz k dinon men bhi  Karen.
Ayam-e-mahwari men dard or takleef hone ki ak waja “wrong standing posture” yani ghalat khara hona bhi ha. Agar ap ki kamar jhuki rehti ha or chest/ seena andar ko dhansa rehta ha to is ka direct asar ap k pait k nichle hisse par parta ha. Or is tarha zor parne par ayam-e-mahwari men dard or takleef mehsus hoti ha.
Sahi Tariqa
ye ha keh sar/head ko upper or garden/neck ko neechi rakha jaye, kandhe/shoulders aage jhuke hone ki bajaye seedhay or tane hue hon or kamar ak dam seedhi honi chahye.
Aym-e-mahwari men dard qabz/constipation ki waja se bhi hua krta ha. Apko esi ghiza istamal karni chahye jo naram or zood hazam ho. Dair se hazam hone wali or baadi cheezon k khane se parhez karna chahye.
Reham ka apni jaga se hat jana ya is ki kamzori bhi dard ki waja banti ha is k lye behtar yehi ha k larki ki shadi karva di jaye. Kun k mard or aurat k apas men sex karne se reham ki nasho numa hoti ha or wo mazbut hoto chala jata ha.
Ayam-e-mahwari men dard un khwateen ko bhi hota ha jo kamzor jisam ki malik hoti hen lihaza unhen chahye keh sehat mand ghiza khaen or jisam ko mazbut or farba Karen. Exercise lazmi Karen rozana.
Ak or waja dard ki nafsiati/ psychiatric masla bhi hoti ha. Kuch larkian baligh hone se pehle darna shuru kar deti hen. Or haiz k bare men jab unhen un ki mother batati ha to wo or dar jati hen or ise ak museebat samjhne lagti hen jabkeh unko ise bilkul normal lena chahye. Or ayam-e-mahwari ka hona aurat ki sehat ki alamat ha.
Overall ye k ayam-e-mahwari men ye ahtiat Karen k achi or saaf ghiza ka istimal Karen, na hazam hone wali ghiza na khayen, exercise ki adat pakki kar len, mehnat se jee na churayen, dimagh men ache or saaf khyalat ko jaga den or bure khyalat na sochen, apne jisam or ird gird ki jaghon ko paak saaf 

2 comments:

  1. I just couldn't leave your website before telling you that I truly enjoyed the top quality info you present to your visitors? Will be back again frequently to check up on new posts.
    Mahwari

    ReplyDelete
  2. Great information it really helped me keep it up

    ReplyDelete

Health Tips Viewers