LifetimeEarn

Wednesday 18 November 2015

Cleaning Of Skin In Urdu




Munasib safai aur dekh bhal ki jildi halat ko behtar kar sakti hai. Cleansing ke dauran apni ungliyon ki poron ki madad se niche se oper ki taraf mat raghren. Is tarah aap ke masaam band ho sakte hain. Din mein 2 ya 3 martaba achi tarah se face ki safaai karen, magar zor zor se na raghren aur garam pani se parhez karen. Subha ke waqt ache qisam ke abstergent se face saaf karne ke bad halke qisam ka toner sham ke waqt use karen. ( Bohat ziyada taqatwar qisam ka abstergent oil ki paidawar ko barha deta hai. )



Makeup ke liye aesi tings ka istemal karen, jin mein oil ke bajae pani ka istemal kiya gaya ho. Makeup se pehle koi germs se mehfooz rakhne wali cream use karen. Jis mein aise ajzaa shamil ho jo oil paida karne wale ghudood ki karkardegi ko kam kar saken. Is ke ajzaa mein bezoil per oxide ka hona aap ki skin ke liye acha hai. Yaad rakhiye ke bezoit creams intehai hassas hoti hain. Inhe experts ki hidayat ke bagher use nahi karna chahiye. Halki qisam ki night cream waqtan fawaqtan istemal karti rahe aur week mein aik ya do dafa safai ka mask lagae.


Skin Care Tips In Urdu:
Skin Cleansing In Urdu



Question : Skin ki hifazat kaise karen?

Aap ke face se barh kar aap ke jism ka koi hissa khushki, garmi, chipchipahat, sard hawa aur sooraj ki tabah kun rays ka samna nahi karta. Lehaza aap ko calendar ko apne saamne rakhte hue apni skin ki dekh bhaal ka program murattab karna chahiye. Khas kar us waqt jab aap be had ziyada safar karne ke aadi hon. Mausam aur aab o hawa ko madde nazar rakhte hue aap ko mukhtalif tariqon se moisturizers ka use karna hoga aur mukhtalif andaaz se apni skin ki hifazat karni ho gi aur aaraish husun ke auqat mein tabdeeli karna ho gi. Zail mein saal ke 4 mausamon ke liye jild ki dekh bhaal ka program diya ja raha hai. Jis se aap ka pora face saal bhar tar o taza dikhai dega.


In Autumn - Mausam e Bahaar aur Skin



Sardi ke ikhtetam par be ronaq jild ko experts facial ke zariye bahaar ka tassur dijiye. Is maqsad ke liye sab se ziyada tawajja apne moisturizers ke intekhab par dijiye. Beshak wo oil ka bana hua ho, magar is qadar bhari aur chikna na ho.


In Spring - Mausam e Khiza’an aur Skin



Yeh mausam aap ki skin ke liye dangerous hota hai. Yeh mausam aap ki jild ke liye khatarnak hota ha, kyun ke is mein skin ar tabahkun asraat murattab hote hain. Apni skin ke murdah khuliyon ko mahirana facial ke zariye door karen. Skin ko mask aur aesi creams ke zariye dobara tar o taza karen jo jhurriyon ko door kar ke aap ke face par jawani bahaal karti hon. Is mausam mein aap ki skin tarah tarah ke masail ka shikar hoti hai aur izafi aehtiyat aur tawajja chahti hai. Agar aap ki skin normal ya khushk hai to oil se bane hue moisturizers use mein rakhen aur makeup ke liye bhi wahi ashiya use karen, jin mein name ke ajzaa shamil hon.


In Summer - Mausam e Garma aur Skin



Mausam e garma ka khas tohfa gardoghubar, garmi aur tapish hoti hai. Jis ki wajah se face ki nazuk aur hassas skin mutassir hoti hai aur agar is taraf sirf chand roze he tawajja na di gai ho to face be ronaq, murjhaya hua dikhai deta hai.



Din bhar ghar ke kaam kaaj jis mein khas taur par kitchen mein kaam karna aur khusosan khuwateen jo ke jobs ke silsile mein ghar se bahar dhoop, garmi aur dhuoen mein se guzar kar ghar wapis aati hain. Us ke face par din bhar ka gardoghubar aur mail jam jata hai aur phir yehi mail barwaqt dekh bhaal na karne ki soorat mein daano ki shakal mein chand dino bad numayan hota hai aur is se face badnuma dikhai dene lagta hai. Yeh tamam kaam aap nahi chor sakti yani ghar se bahar nikalna aur kitchen mein kaam karna. Is tarah dhoop se nijaat bhi mumkin nahi. Lehaza is silsile mein hal sirf yehi hai ke din bhar ke 24 ghanton mein zati koshish karte hue.



Apne liye waqt nikala jae aur wo yeh hai ke din mein ya raat mein sone se qabal cream istemal ki jae aur month mein sirf aik dafa facial karwaya jae. Is se skin par masbat asraat numaya hote hain aur skin pehle jaisi chamakdar aur be daagh rehti hai. Isi liye chehre ki khobsurti, tazgi ko barqarar rakhne ke liye hum yahan facial ke strokes bata rahe hain. Massage ke strokes mein neck, chin, cheeks, upper lips, nose, eyes, fore head waghera par mukhtalif fingers aur thumb ki madad se strokes liye jate hain aur is tarah skin ki safai aur daagh dhabbon se nijaat bhi hasil hoti rehti hai. Yeh face ko thandak bakhshta hai aur daano mein kami rehti hai. Blackhead waghera door ho jate hain.



Sab se pehle face aur neck ko kisi ache cleansing cream ki madad se saaf kiya jae aur face ki safai ke liye lazmi shart hai k hathon ki harkat ko bohat he aahista, narmi ke sat hoper se niche ki taraf le jaya jae.



Is ke bad facial start karte hain aur cleansing cream ki madad se ya cleansing milk ko hathon mein le kar ungli ki madad se face par lagaya jata hai. Is mein aik ungli istemal hoti hai aur hathon ki harkat balaai janib hoti hai.



Is ke bad 2 ungliyon ka istemal karte hain aur dono ungliyon ko is andaz mein milaya jata hai ke jurhi hui mehsoos hon aur bohat araam se aahista aahista hathon ko chin se start karte hue cheeks aur forehead par is ke strokes ko khatam kiya jata hai.



Dono ungliyon ke sath thumb ko milaya jata hai, yani is tarah ab ungliyon ki tadad mein rafta rafta izafa hota jata hai. Eyebrow ke aakhri hisse par dono ungliyon ki madad se massage karte hue skin ko dabaya jata hai aur is tarah is amal ko 3 martaba karte hain. Is jagah ko tension point kehte hain.



Teesra tension point nose ke aakhri hisse par hota hai. Is amal ko bhi naak ke ibtedai hisse se shuru kiya jata hai. Yeh stroke bhi 3 dafa karte hain.



Massage ke mukammal hone ke bad steam lete hain. Steam ya bhaap lene ka easy tariqa pani ki bhaap lena hai. Steam ozone ki madad se li jati hai. Is mein 5 minute kharch hote hain. Aesi khuwateen jin ke pas ozone nahi hai.



Wo easily ghar par jab massage waghera kar rahi hon to steam le sakti hain. Aik pateeli mein kholte hue pani par towel is tarah dhak den k bhaap zaya na ho, yani towel ke aik taraf face aur dosri taraf ke sire par pateeli ho. Is tarah tamam bhaap face par charhegi aur zaya nahi ho gi.



Steam ke bad tamam chehre ko thande pani mein bheegi hui cotton ki madad se dhaanp diya jata hai. Is se chehre par maujood mail kuchel waghera jo ke masamaat ke band hone par andar jama hota rehta hai ya in ke mou ko band kar deta hai, tamam khul jate hain.



Is ke bad blackhead ko bahar nikala jata hai. In ko nikalne ke bad skin mein numayan farq dikhai deta hai. Is ke bad face ko tissue paper se saaf karne ke bad agla marhala start hota hai. In marahil ke bad mask lete hain aur yeh aam taur par chikni mitti se tayyar karda hote hain.



Mask lagane se pehle aankhon ko cotton ys kheere ke slice se dhaanp len aur ungli ki madad se tamam face par mask laga den. Mask neck ke sathface par bhi lagaya jata hai. Face mask 20 minutes ke bad saaf kiya jata hai.



Pehle cotton ya cucumber slice hatae jate hain au phir is ke bad mask saaf kiya jata hai. Phir maile face ko cleansing milk se saaf kiya jata hai aur bad mein face pani se dho liya jata hai. Is se face pehle se behtar ho jata hai aur jild naram o mulaim ho jati hai.


In Winter - Mausam e Sarma aur Skin

Sardiyon mein aksar skin ka rang surkh ho jata hai ya is par surkh dhabbe namodar ho jate hain. Is ki wajah sardi nahi bal ke hararat hai. Hum aksar o beshter ingeethi ya heater ke paas beth jate hain. Jild aur hararat ke darmiyan koi aarh khari rehni chahiye. Din mein koi sa bhi moisturizer face par lagae, us se face par moisture barqarar rahega aur hararat se koi nuqsaan nahi pohnchega.



Raat ko sote waqt cream lagae aur 10 minute ke bad cotton se ponch len. Sardi mein skin ki dryness door karne ke liye bohat tariqe hain. Lekin sab se aehma tariqa ghiza ki tabdeeli hai. Agar hum meat khate hain to fish ziyada khae. Is mein awwal darje ki protein hoti hai. Milk mein vitamin A aksariyat se hota hai. Is ke ilawa 1 tea spoon ko co deliver oil daily use karen. Co deliver oil na mil sake to shark liver oil bhi pee sakti hain. Yeh fish oil hota hai aur skin ke liye akseer ka kaam deta hai. Yeh zara bad maza hota hai.



Is oil ke capsule market mein ba aasani dastiyab hote hain. Din mein bar bar soap se hath mou na wash karen aur jab bhi wash karne ka iradah ho to sada thande ya neem garam pani se hath mou wash karen. Bar bar soap se hath mou dhone se face ki roghniyat kam ho jati hain aur khushk aur kamzor ho jati hain.



Soap se din mein aik bar face wash karna kafi hai. Face wash karne ke liye pears glycerin soap sab se behtar hai. Is se face ki jild khushk nahi hoti. Sardi mein aksar hath aur pao ki ungliyan sun ho jati hain. Yeh shikayat raat aur subha ke waqt ziyada hoti hai. Is ke liye ooni socks use karen. Is fail ke asal wajah yeh hai ke shaded sardi mein hath khule hon to insabi aesaabi nizaam e hararat ko jism ke andar jama karta hai aur bahar ki satah ki parwah nahi karta.



Is ke liye hath aur pao dhake rakhen. Ooni socks na mil saken to nylon ya sooti socks he use kar len. Had se ziyada sard hawa ho to hathon mein gloves pehne. Sehat ka yeh usool hai ke pao garam aur sir thanda rehna chahiye.



Sardiyon mein aksar hont phat jate hain aur baaz dafa khoon bhi nikalne lagta hai. Yeh bhi khushki ki wajah se hota hai. Ladies aksar khushk honton par zaban pherti hain. Yeh buri aadat hoti hai. Is tarah honton par aik paprhi jam jati hai. Zaban ki name aur garmi mil kar honton ki jild ke roghniyat ko kam kar dete hain. Raat ko sote waqt honton par Vaseline lagani chahiye. Din ko lipstick ya chipstick ka use karen.

No comments:

Post a Comment

Health Tips Viewers