LifetimeEarn

Monday, 23 November 2015

Haldi ka Faida



Haldi khilte huye pile rung k
a intehayi tez masalah hai, jo adrak key khandan se talluq rakhne wale pode se hasil hota hai.
Haldi tazah halat mein bhi dasteyab hoti hai lekin amooman sukhi, kate huyi ya pisi huyi surat mein farokht(sell) kia jata hai. Haldi kari powder ka aik ahum juz hai jo be shumar Asia khanon bashamol fish key salan aur dalon mein istemaal ki jati hai. Asia ki tarah North Africa ki buhat si gosht aur sabziyon ki dishes mein haldi ka istemaal aam hai. Haldi chatniyo aur acharon ko makhsoos pila rung aur munfarid zaiqa dene key kaam aati hai. Haldi ka zaiqah halka tekha jabkeh is ki khushboo tez hoti hai. Pile rung ki wajah se haldi ko tareen zaafran key mutbadil key tor par bhi istemaal kia jata hai. Tahum donon ka ziqah mukhtalif hota hai.
Haldi ko husn mein izafay key liye moassar samjha jata hai. Ubtan aur rung nikharne wali cream mein haldi ko markazi haisyat hasil hoti hai.
Haldi andarooni aur berooni zakhmon ko bharne key liye bhi kaam aati hai.

Haldi Falij key Liye Mufeed:

Los Angeles key aik medical center mein haldi se taiyar ki jane wali medicine ko rabbit par istemaal key baad ab insanon par is key istemaal ki taiyari shuru kar di hai. Falij key baad insani jism ko hone wale noqsan ki talash key liye haldi buhat madad gar sabit ho sakti hai. Yeh medicine dimagh key khalyon tak puhanch kar pathon aur dimaghi faal key masail ko kam karti hai. Falij key liye kaam karne wali tanzeem ka kehna hai keh is zaman mein yeh pehli ahum tehqeeq hai jis se sabit hua hai keh haldi falij key marizon key liye mufeed sabit ho sakti hai.
Pak o Hind mein is mufeed booti ka istemaal unani adoyat mein kia jata hai. Is key fawaid se inkar mumkin nahi hai. Falij ka jism par asar hone key 3 ghanton (hours) baad is medicine ka asar shuru ho jata hai. Mohaqaqeen key mutabiq yah dawa falij key baad dimaghi khalyat ko zindah rakhne mein madad deti hai. Insanon par is dawa key istemaal aur kamyabi key bare mein kehna fil for mumkin nahi.


No comments:

Post a Comment

Health Tips Viewers