Pistah mein potasium ki mqdar numayan hoti hain, jo hamare jism mein stress se mutalliq hormon cholesterol ki mqdar ghata ne mein madad karta hai. Aik tibbi jaize mein dekha gia hai keh is mein rozmarrah zehni dabao ke asraat door karne ki salahiyat hoti hai. In maghaziyaat mein cholestrole aur blood parsher ko mtwazan rakhne ki khasoosyat bhi payi jati hai.
Khol ko tor kar khane wale yeh maghziyaat vitamin E ke hsool ka bhi ahum zariyah hain jo hamari jild ke liye moasar anti oxident samjha jata hai. Vitamin E hamari jild mein inqlabi tbdilyan la skta hai. Yeh vitamin jild ke khalyaat ko mukhtalif aqsam ke nqsaanat se bacha ta hai. Elawah azeen qabal az waqt jhurriyan aur silwatein parne se bhi rokta hai.
No comments:
Post a Comment