LifetimeEarn

Tuesday, 8 December 2015

Hemophilia Khatarnak Marz Hai

Hemophilia aik morusi bimari hai. Is bimari mein mareez ke agar jism ke kisi hisse par chot lag jaye aur is chot se khoon behne lage to woh rukta nahi hai balkeh behta rehta hai. Aam tor par aisa nahi hota yeh qudrat ka nizam hai keh agar kisi bhi fard ko koi zakham lage to khoon aik khas waqt tak behta hai aur phir jild par nayi khal si namoodar ho jati hai. Jise clot kaha jata hai agar yeh nizam qudrati tor par mojood na ho to chot lagne ki surat mein jism ka tamam khoon zaya ho jaye lekin Hemophilia aik aisa marz hai jis mein aisa hi hota hai. Sirf agar America hi ki baat ki jaye to wahan is marz ke shikar afrad ki taadad tqreeban 18000 key lg bhag hai aur har saal paida hone wale tqreeban 400 bachon meinn yeh marz paidaishi tor par hota hai. Pakistan mein is marz key shikar afrad ki taadad intehayi kam hai. Is marz mein khoon aur cloting ka intehayi kam ya phir na hone ki had tak asar ho skta hai.

Is ko is tarah samjha ja skta hai keh agar aap ko kabhi khuda na khuasta koi chot lage to aap khood se is baat ko mehsoos kar skte hain. Zakham lagne wali jagah par khoon ki ragein aik chain ki surat mein kaam karna shuru kar deti hain. Jo dar haqiqat cloting ka kam kar rahi hoti hain. Clot jism ka fazil khoon zaya hone se bachati hai. Agar aisa na hoto khatar nak had tak khoon zaya hone se andarooni jismani aaza ke kharab hone ke khadshat mein izafah ho skta hai.

Cloting banne mein sab se ahum kirdar protein ada karta hai. Protiene khoon mein shamil ho kar platelets ke sath mil kar cloting karne mein madad deta hai. Jb chot lagti hai to cloting platelets ke sath mil kar zakham ki jagah par jhilli namoodar karti hai aur is tarah se yeh khoon ke bahao ko rokti hai.
Hemophilia Causes

Yeh bimari hone ki sab se ahum wajah jeen mein hone wali kharabi hai jo X chromosomes mein hoti hai. Yeh is baat ko zahir karti hai keh bacha larka hai ya larki? Isis waqt agar khoon ki cloting karne wale jeen ko noqsan puhach jaye to Hemophilia jaisi khatarnak bimari ho skti hai.

Hemophilia ki Do Ahum Aqsam Hain

Hemophilia type A
Hemophilia type B

Hemophilia type A mein cloting 8% se kam ya phir na hone ke bararab hoti hai. Tqreeban 10 mein se 9 afrad mein Hemophilia type A paya jata hai jabkeh Hemophilia type B mein cloting 9% se kami ya phir na hone ki had tak hoti hai.
Symptoms

1-Sb se pehle to doctor se is bimari ki tashkhees karwayi jaye.

2-Mariz ka mokammal muaina is ke aur is ke khandan ki history ka jaiza lena azhad zaroori hai.

3-Khoon ke test karwana zaroori hai.

4-Khoon ke bahao ki wajah janna keh aaya yeh Hemophilia ke bais ho raha hai ya phir is ki koi aur wajah hai.

5-jin logon ko is marz ki shkayat hai amooman ziadah tar kehniyon, takhnon ya pindli par chot lagne ke bais in ka khoon jari rehta hai.

Ahtiyati Tadabir

Jo mareez is bimari ka shikar hain chahe woh bache ya nojawan warzish lazmi karein lekin warzish karne se qabal apne mualij se zaroor mashwarah talab karein keh in ke liye is bimari mein konsi warzish behtar rahe gi.


No comments:

Post a Comment

Health Tips Viewers