LifetimeEarn

Thursday, 3 December 2015

Hepatitis C Ka Ilaj



Hepatitis C Kia Hai?


1975 tak hepatitis A aur B ko jachne wale test mojood the lekin hepatitis ke kuch mareez in donon tarah ki bimari se to mehfooz the lekin sozish jigar ka shikar the. Is tarah ke cases ko (hepatitis non A, non B) kaha jata hai.



Bala aakhir 1989 mein doctor aik naye virus ki dryaaft mein kamyaab huye, jise hepatitis C virus ka naam dia gia. Yeh dryaaft molecular cloning ke bais mumkin huyi. 1988 mein Chiron group ke Choo, Kuo aur Houghton ne is virus ki dryaaft ki dagh beil daal di thi. Dunya bhar mein hepatitis C ke marizon ki taadad tqreeban 35 crore hai aur yeh tadaad barh rahi hai khasoosan taraqqi pazeer mamalik ke rehaish is ka shikar ho rahe hain. Pakistan mein sahi data mojood nahi. Mukhtalif survey mukhtalif data hain aik andaze ke mutabiq yeh tadaad 5-8% ke drmiyan hai yani tqreeban 1crore ke lg bhag Pakistani is bimari ka shikar ho skte hain.

Hepatitis C ke virus ka talluq flavivirus khandan se hai. Hepatitis C ka virus jism mein dakhil hone ke baad 2 se 52 hafte ke doran bimari paida karne ki salahiyat rakhta hai. Yahan yeh samjhna zaroori hai keh bimari paida hone ke baad kia surat paida hoti hai. Agar 100 logon ko hepatitis C ho jaye to 15 se 20 log khood bakhood theek ho jate hain jabkeh 80 se 85 % log daimi sozish jigar yaani hepatitis ka shikar ho jate hain. Agar ilaj na karwaya jaye to daimi sozish wale logon mein se tqreeban 20-25 % logon ka jigar sukar jata hai yani cirrhosis ho jata hai jabkeh 3-5 % lognon ko jigar ka cancer ho jata hai. Jinhein genotype kaha jata hai.

Hepatitis C ke virus ki kayi aqsam hain. Pakistan mein ziada tar genotype 3 payi jati hain jin ka mowassar ilaj mumkin hai.

Hepatitis c se bachao ki koi vaccines mojood na hone ki wajah se had darjah ahtiyaat ki zaroorat hai.
Phelao ki Wajoohat

Hepatitis B ki tarah hepatitis C ke mutaddid mutasreen mein pheilao ki wajoohat ke mutalliq ilm mojood nahi hai. Yeh taddad 30-40 % hai. Degar wajoohat darj zel hain.
Pakistan mein 1992 se pehle khoon lgwane wale afrad.
Nasha baaz jo injection ke zariye nashah karte hain.
Hajam ke aaloodah aalaat se, khasoosan shave ke baad phitkiri ka istemaal.
Dialysis ke mareez, aik doosre se mutasir ho skte hain.
Ghair fitri aur ghair mehfooz jinsi amal se.
Aik doosre ki zati istemaal ki ashya se.
Foot path par mojood doctor jo kaan, naak aur danton ka ilaj karte hain.
Gurday ke aise mareez jo dialysis par hon.
Naak, kaan chidwane wale aur jism gudwane(tattooing) walay.
Gunday operation theater o aalat.
Maan se no-molood bache pheilao mumkin hai.
Doctor, nurses, blood bank aur laboratories mein kaam karne wale afrad.Kon Mutasir ho Skta Hai


Aise afrad jinhein be ghair test kiye huye inteqaal khoon kar dia jaye.
Inteqaal khoon ke adaron mein kaam karne wale log.
Shobah tib se wabistah afrad.
Ghair mehfooz aur ghair fitri jinsi amal mein malawwas afrad.
Aise bache jo mutasirah waldah se paida hon.
Mareez ki aaloodah syringe hadsati tor par agar sehat mand insan ko chubh jaye.
Sharab aur degar jigar bimaryan hepatitis C ke marz ko barha deti hain.
Hepatitis KI Alamaat

Shuru mein aksar auqaat waza alamaat mojood hoti hain.

Ibtedayi Alamaat


75 % marizon mein koi alamat mojood nahi hoti.
Jism mein dard aur thakawat ka ahsaas.
Bhook ka na lgna aur khane ka hazam na hona.
Mtli, qai aur ishaal ka lg jana.
Yarqaan(piliya) ka namoodar hona, is ke imkanaat hepatitis C mein buhat kum hain. Pait mein dard khsoosn jigar wale hisse mein.

Degar Alamaat

Intehayi kamzori aur wazan ka kam hona.
Hatheliyon par surkhi (rash) wr kapkapi.
Kharish kala parna.
Kala pakhana(Black stool) aana ya pakhane mein khoon aana.
Khoon ke injumaad mein mushkilaat hona.
Pait mein pani bhar jana aur wazan ka barh jana.
Mareez par be hoshi ke dore parna.

Hepatitis C Se Bachao


Hameshah khoon test kar ke lgwayein.

Khoon aalood ashya khasoosan tez dhar wali ashya se bachein.

Hajam se astura na lgwayein. Machine par asrar karein.

Naak, kaan chidwane, jism gudwane aur acupanchar mein had darjah ahtiyaat karein.

Injection hameshah nayi syringe se lgwayein. Yaad rahe injection emergency ilaj hai.

Road ke doctor se bachein.

Gheir fitri aur gheir mehfooz jinsi amal se gurez karein.

Doosron ki zati istemaal ki ashya qatyan istemaal na karein.

Dialyses mein had darjah ahtiyaat karein aur sahi jagah se ilaj karwayein.

Nashah baaz logon ki bahali ka program banaya jaye.

No comments:

Post a Comment

Health Tips Viewers