Kamr mein dard ki be shumar wajoohat ho skti hain lekin is se bachne aur is kay ilaj ka aik tariqa yeh bhi hai keh agar aap kay uthne, baithne, letne aur chalne ka andaz durust nahi hai aur zindagi kay mukhtalif amoor ka anjam dete huye aap apne jisam ko is tarah nahi rakhte ya is tarah istemaal nahi karte jis tarah karna chahiye to is ghalat tariqe aur andaz ko durust karein. Jism ko munasib andaz mein rakhne ka sirf yeh mtlab nahi hai keh aap bilkul shidhe tn kar khare ya sinah bahir nikal kar chalein balkeh is ka mtlab yah hai keh aap hamma waqt apne jism ko munasib andaz mein istemaal karein. Haqiqat yeh hai keh agar aap apne jism ko intehayi sehat mand halat mein kaam karne kay qabil rakhne chahte hain to ise is tarah istemaal karein keh pathon aur joron samet sakht haddiyon aur narm kurkuri haddiyon par zaroorat se ziadah bojh na pare. Khas tor par agar aap kamr kay dard se bachna chahte hain to is qisam kay dabao aur bojh se parheiz zindagi ka lazman hona chahiye aur is ka amli muzahirah letne , baithne, khare hone, chalne , kaam karne aur warzish karne kay doran hona chahiye. Jb jism durust halat mein hota hai to jism kay andarooni aaza ko itni jagah mil jati hai keh vo aasani se normal andaz mein kaam kar sakein aur jism mein khoon bhi ziadah aasani se dor ske. Is silsile mein khasoosi tawajjah pushton par deni chahiye jin ki takeed araam karne kay moqa par ki gayi hai kiun keh aam tor par jb log bistar par daraz hote hain to be kheyali aur nadanstgi mein is tarh lette ya sote hain jis se kamar aur garden kay pathhon par gheir zaroori dabao parta hai. Agar aap tamam surton mein jism ko durust andaz mein rakhne ka tariqa seekh gaye to batdreej aap ki chal dhal durust ho jaye gi aur vo paththe bhi mzboot ho jayein gay jo aap ki sakht mehnat karne wali kamar ki hifazat aur inehin sahara dene mein madad karte hain.
Roz marrah kay kamon ki anjam dahi kay doran kamar kay dard aur ise dabao se mehfooz rakhne kay liye behtareen yeh hai keh aik kaam se farigh ho kar doosre shuru karne se pehle kuch der aaram kar lein ta keh thakawat tari na ho aur aap phir se taza dam ho jayein. Khawateen ghar kay mukhtalif kaam karti rehti hain. Inhein chahiye keh vo drmiyan mien thori der let kar kamar sidhi kar lein. Inhein apni jismani halat par bhi mosalsal nazar rakhni chahiye aur inhein zaroorat kay mutabiq pait ko andar ki janib, peeth ko shidha aur ghutnon ko morna chahiye.
Kamar ko thakaye be’ghair kis tarah khare hon?
1. Agar ziada der tk khare ho kar kaam karna ho to paayedan istemaal karein, takeh kamar par zor na pare
2. Bhari wazan utha na ho to ghutnon aur koolhe ko morein, kamar ko kham na karein.
3. Wzni cheez kahin le jani ho to ise jism se qareeb tar rakhein.
4. Jhuk kar phone sunna ya koi kaam karna ho to ghutnon ko more be ghair yah kaam na karein.
No comments:
Post a Comment