ghiza ka tasawwar taza sbziyon aur tazah mosami phalon ke beghair mumkin nahi hai. Taza phal aur taza sbziyan insani jism ko wafir mqdar mein reshah (fiber) farahum karti hain jin ki wajah se hamare jism ki zaid chiknayi jal kar khatam ho jati hai aur hum tandrust rehte hain. Yahi wajah hai keh kasrat se tazah phal aur tazzah sbziyan istemaal karne wale afrad motape ka shikar nahi hote. Yeh hzraat jism ko darkar tamam tawanayi qudrati tariqay se hasil kar lete hain. Besh tar afrad in qudrati nematon ki khasoosyaat aur ahmiyat se to waqif hain, magar aksar afrad is haqeeqat se waqif nahi hain keh yeh sbziyan aur phal mukhtalif aqsaam ke amraz ke khelaf quwat mudafyat paida kar ke marz ke khatme mein bhi ahum kirdar ada karte hain. Is silsile mein ahum baat yeh hai keh khasoosan sabziyon ko kis shakal mein istemaal kia jaye. Yeh aik tai shudah haqeeqat hai keh kuch sbziyan kachi halat mein khane se ziadah faidah deti hain, lekin agar inhein pakana mqsood ho to hifzaan ke sehat ke osoolon ke mutabiq buhat halki aanch par pakana chahiye, takeh in ke qudrati ajza zaya na hon.
Zel mein hum in phalon aur sbziyon ke bare mein maloomat farahum kar rahe hain jo mukhtalif amraaz mein istemaal karne se faiday mand sabit hoti hain.
Aankhon ka Ilaj
Aankhon ki bimari mein mubtial marizon ko tamamtar bator salad zaroor ziada istemaal karna chahiye. Gajar aur palak bhi aankhon ki bimari buhat mufeed sabit hote hain. Baigan se bhi wafir mqdar mein vitamin A aur folad (iron) hasil hoti hai aur yeh bhi aankhon ki bimari mein faiday mand hai.
Amraz e Qalb ka Ilaj
Lemon aur khira amraz e qalb mein mufeed hain. Angoor khasoosi tor par dil ko tqwiyat deta hai. Tibbi mahereen amraz e qalb mein mubtila marizon ko salad ke bakasrat istemaal ka mashwarah dete hain.
Be Khawabi ka Ilaj
Sone se qabal thanday tarbooz ke chand tukray kha lene se neend jald aajati hai. Sbziyon mein gajar be khawabi ke marz mein faida deti hai, jab keh amrood ka istemaal bhi is marz mein faiday mand hai.

Diabetes ka ilaj
Diabetes ke marz mein jamun ka istemaal be had faiday mand sabit hota hai. Tamam sbziyan khasoosan palak ziabatish mein mufeed hai, lekin ziabatish ke marizon ko tarbooz ke istemal se parhaiz karna chahiye, kiun keh tarbooz mein glucose ki wafir mqdar payi jati hai jo is marz mein izafah kar skti hai.
Galay aur Kaan ka Ilaj
Kela , pine apple aur aalo bukhara gale aur kaan ke marz mein aaram dete hain. Galay ki sozish khatam karne ke liye kiray aur kadoo mufeed sabit hote hain. Agar cheh tamam sbziyan aur phal ghizaiyat se bhar poor hote hain, lekin mukhtalif phalon mein mukhtalif jismani amraaz door karne ki jo salahiyat payi jati hai, is se tamam ghizayi mahereen muttafiq hain. Jaise sookhe ki bimari ke shikar bachon ke liye kela be inteha mufeed hai. mojoodah dor ke mahereen bhi is ke khawas se mukammal tor par muttafiq hain.
Gurda ka Ilaj
Cucumber, carrot aur chukandar ka ziadah istemaal gurday mein pathri banne se rokta hai. Chukandar istemaal salad ke tor par rozanah hi karna chahiye, is se buhat faidah hota hai. Tibbi mahereen gurday ke marz mein mubtila afrad ko khire aur gajar ke wafir istemaal ka mashwarah dete hain.
High Blood Pressure ka Ilaj
High blood pressure ke marz mein tamam ras dar yani juicy phal faidah dete hain. In mein malta , tarbooz aur kino shamil hain. Sabziyon mein chukanndar aur khira apni thandi taseer ki wajah se blood pressure ko ziadah barhne se rokte hain.
Khoon ki Kami ka Ilaj
Apple, grapes, carrot aur tamam hari sabziyan khoon ki kami ko fori tor par door karne ka zariyah hain. Rozana aik glass apple juice aur hari sabziyon se tiyar kia gia soup bachon aur bari umer ke afrad mein khoon ki kami ko chand hafton mein door kar skta hai.
Maday ka Ulcer ka Ilaj
Maday ke ulcer mein narm pakayi huyi gobhi aur gajar khane se marz ki shiddat mein kami waqay hoti hai, lekin mirch ki koi bhi qisam khane mein har giz istemaal nahi karni chahiye. Phalon mein angoor aur kuch der refrigerator mein rakhe gaye kharbooze ke tukray meday ke ulcer mein faiday mand sabit hote hain.
Nazla Ka Ilaj
Orange, lemon, Carrot aur pineapple ka istemaal sard mausam mein nazlay zukam ke marz mein buhat faday mand hota hai. Agar gajar, kino aur pine apple ka mausam na hoto pani mein chand qtray onion ka aurq mila kar pine se hi marz mein aaram aasakta hai.
Sar Dard ka Ilaj
Lemon, carrot aur grapes khane se sar ke dard se nijaat mil skti hai. Sabziyon mein palak aur salad ke patte sar dard mein faidah dete hain. Halki aanch par paka hua palak folad se bhar poor hota hai jo dimaghi kamzori aur sar dard ka qudrati ilaj hai.
Yarkan ka Ilaj
Ganne aur ganne ka ras yarqan ke marizon ke liye kisi bhi dawa se barh kar aaram deta hai. Nashpati aur gajar bhi yarkan ki shiddat ko kam karti hai. Khira, palak aur kakri bhi is marz mein faidah punchati hai.

No comments:
Post a Comment