Gajar (Carrot) dunya bhar mein aik maqbool sabzi hai. Gajar (Carrot) key sabz patte bhi ghizaiyat se bhar poor hote hain. In mein protein, mineral aur vitamins wafir moqdar mein paye jate hain. |
Every 100gm Carrot has: | |
Carbohydrate | 7.6 gm |
Beta-carotene | 3.62mg |
Protein | 0.6mg |
Fat | 0.3 gm |
Calcium | 80mg |
Sodium | 2.4mg |
Iron | 0.6mg |
Minerals | 1.1mg |
Fiber-1.2mg | 1.2mg |
Iron-2.2mg | 2.2mg |
Vitamin C | 3 mg |
Gajar (Carrot) ko mukhtalif tariqon se khaya jata hai. ise salad ki surat mein kacha istemaal karte hain. Ise boil kar bhi khaya jata hai aur bhoon kar salan key tor par bhi istemaal mein late hain. Is ka shorbah aur juice bhi dunya bhar mein mqbool hia. Lekin yeh kachi halat mein ziadah mufeed hoti hai. Pakane se madani ajza ki bari tadaad zaya ho jati hai. Salad mein Gajar (Carrot) aik ahum aur qimti jazu hai.
Gajar (Carrot) mein khari ajza buhat ziadah hote hain jo khoon ko saaf aur qawi banate hain. Yeh pure jism ki nasho numa karti hai aur badan mein tezabyat aur khar ka tawazan bar qarar rakhne mein madad deti hai.
Gajar (Carrot) key juice ko karishmati mashroob kaha jata hai. Yeh na sirf bachon key iye seahat bakhsh mashroob hai bakeh baron ko bhi buhat faidah deta hai. Yeh aankhon ko tawanayi deta hai.
Benefit for teeth:
Khana khane key baad aik Gajar (Carrot) chiba kar khane se munh mein khorak key zariye puhanchne wale muzir jaraseem halak ho jate hain. Yeh danton ko saaf karti hai. Danton key holes se khorak key ajza nikal deti hai. Gums se khoon rasna band ho jata hai.
Impairment of Digestion(hazmah ki kharabi):
Gajar (Carrot) chiba kar khane se luaab dahan mein izafah hota hai aur hazmah ka ama tez ho jata hai. Kiun khe yeh mede ko zaroori enzyme minerals aur vitamin muhaiya karti hai. Gajar (Carrot) ka baqaidah istemaal meday key alsar ko rokta hai aur hazmah ki degar bimaryan lahaq nahi hone deta. Gajar (Carrot) ka juice intriyon key qulanj, bari aant ki sozish appetites, ulcer aur bad hazmi mein mowassar ilaj hai.
Constipation(Qabz):
Gajar (Carrot) ka juice agar palak key juice key sath thora sa lemon ka ras mila kar piya jaye to qabz ki shikayat door ho jati hai. Wazah rahe keh palak ka juice intriyon ko saaf karta hai. Yeh mushtarkah mashroob pine key foran baad apna asar nahi dikhata lekin do maah(month) key istemaal se intriyan baqaidah ijabat ka amal shuru karteti hain.
Mazkoorah mashroob taiyar karne key liye 250 ml Gajar (Carrot) key juice mein 50 ml palak ka juice mila na chahiye.
Diarrhea(ishal):
Gajar (Carrot) ka juice ishal key marz mein aik umdah qudarti ilaj sabit hota hai. Yeh pani ki kami door karta hai. namkiyat (sodium, potassium, phosphorus , calcium, sulphur aur magnesium) ka noqsan pura karta hai. Gajar (Carrot) ka juice pectin mohaiya kar key aanton ko sozish se tahaffuz deta hai. Is key istemaal se bacteria ki nasho numa ruk jati hai aur vomiting band ho jati hai bachon key liye to yeh buhat mufeed hai. ½ kg Gajar (Carrot) ko 150 ml pani mein itna boil karein keh yeh narm ho jayein. Pani ko nithar lein aur ½ tbsp namak (salt) daal kar yeh mshroob har aadhe ghante baad mareez ko dein. 24 ghante mein behtari key aasar nazar aane lagte hain.
Stomach worms(Pait ke Keere):
Gajar (Carrot) har qisam key (jaraseem bacteria) ki dushman hai. Chunanchah bachon key pait se kire kharij karne key liye buhat mufeed hai. Aik chota cup kadoo kash ki huyi Gajar (Carrot) subah (morning) key waqt khana (is key sath kisi aur cheez ko na shamil kia jaye to ) pait key kire tezi se kharij ho jate hain.
Infertility(Banjh Pan):
Kachi Gajar (Carrot) zarkhezi key liye bohut achi hai. Baaz awqat banjh pan ka mowassar ilaj mehaz is ka istemaal hi ban jata hai. Banjh pan key asbaab mein se aik yeh hota hai keh mosalsal aisa khana khaya jaye jo pakne key doran enzyme se mehroom ho chukka ho. Tali huyi ghizaon mein bhi enzyme khatam ho jate hain.
Gajar (Carrot) ka juice hamal key ibtedayi arsah mein auraton key liye mufeed nahi. Kiun kah yeh peshab ki nalyon ki dewaron mein zeharila pn paida karta hai. jis se asqaat ka khatrah lahaq ho sakta hai.
No comments:
Post a Comment