LifetimeEarn

Wednesday, 18 November 2015

Benifits Of Coriander (dhanya)


Coriander (dhanya) dunya ke kayi hisson mein kasht kia jata hai. Dhanye ka asal watan wast asia ke kuch elaqay bataye jate hain, jahann se yeh mukhtalif mulkon tak punhcha. Agar khanon aur degar ghizayi zarooryaat ki baat ki jaye to dhanye ki pattiyan khushbu aur zaiqe ke liye bhi istemaal hoti hain. Is ke beej ziada tar ghiza ke tor par istemaal kia jata hai.


Is ke patte salad aur mukhtalif dishes mein garnishing ke tor par istemaal kia jata hai. Is ke beej sabit ya powder ki shakal mein istemaal kia jata hai. Is kay ajza mehdood magar pur asar hain. Dhanya ka mizaaj sard khushk hai. Ise adwiyaat mein bhi istemaal kia jata hai. Dil o dimagh ko thandak o taqat deta hai jab keh maday ko taqat de kar dast band kar deta hai.

Coriander (dhanya) buhat se vitamin, madeniyaat zaroori tail aur antioxidants par mushtamil hai. Yeh khoon mein sugar aur blood cholesterol ki stah ko kum karne ki salahiyat hai. Anti bacterial bhi hai. Yeh digestion aur diarrhea mein istemaal kia jata hai. Yeh munh aur munh ke ulcer ki badbu relief farahum karta hai.

Dhaniya chooste rehne se, dhaniya ghot kar pine se ya taza sbz dhaniya ka patte ya dhaniya ka ras pine se qai mein aaram aajata hai aur qay band ho jatay hain.

Dhaniya khane se neend achi aati hai aur maday se jo bokharaat dimagh ki janib uthtay hain woh khatam ho jatay hain.

Khushk dhaniya koot kar khane ya tazah dhaniya ka ras misri mila kar pinay se pishab kam aana , pishab ka jalan, pishab ka ruk ruk kar aana khatam ho jata hai.

2 hisse dhaniya , 3/4 hissa kali mirch aur hasbe zaiqa namak alag alag pees kar chan lein aur 3 massay subh o sham khate rahein. Is ke khane se pait ka gas, phakanay, badhazmi, antriyon ki kmzori aur pait ki jumla kharabiyon ke liye aksir azma hai.

Woh khawateen jo ksrat haiz mein mubtila hoti hain, in ki tkleef door karne mein dhanya ko khaas ahmiyat hasil hai. Is mqsad ke liye 6 gm sabit dhaniya ke beej 500 mili litter pani mein ubaalein aur is mein skkar milane ke baad neem garam halat mein pi lein, is se yeh shikayat rafa ho jaye gi.

Dhanya mein dafa sozish khasoosyat bhi payi jati hain lehaza joron ke dard mein mubtila marizon ko bhi is ke istemaal se faida hota hai. Arthritis ke mareez dhaniya ke safoof ko pani mein ubaal kar pi lein. Is se in ki tkleef bari had tk km ho jaye gi.

Sozish, jalan ya allergy ho to dhaniya khayein. Aaram aajaye ga. Zuban par chale pare hon to dhanya ka arq lagayein.

Kacha piaz khane ke baad munh se bdbu aane lgti hai. Use khatm karne ke liye chand dane kushk dhaniya chiba lein.

Garmi mein piyas buhat lgti ho to do tolah khushk dhanya raat ko mitti ke bartn mein bhigo dein subah ko chan kar chini mila kar pani pi lein. Piyas door ho jaye gi. Dil dharakne ke marz mein bhi dhaniya ka pani mufeed hai.

Sabit dhanya iron, copper, calcium, potassium, zinc, magnesium se bhar poor hota hai. Dhanya ka baqaida istemaal jism mein khoon ki kami nahi hone deta hai.

Vitamin B complex kafi mqdar mein paya jata hai.

Iski chaye bana kar pine se aap ke meday ki jalan door ho jati hai.






Dhaniya ka Tail

Zamana qadeem mein mukhtalif podon aur jari bootiyon se ilaj mualj mein madad li jati rahi aur aaj dor e jadeed mein bhi tibbi mahereen inhein mukhtalif jaraseem aur bimaryon ke khelaf dawaon ki surat mein istemaal karwa rahe hain. Hamare pkwan mein aur zuban ke zaiqe ke liye dhanye ka istemaal aam hai. Is ke elawa tbiyat mukhtalif amraaz mein ise makhsoos tarike se istemaal karne ko faida mand batate hain. Dhanye ke patton ke elawa is ke bijon se hasil hone wala tail bhi jismani sehat ke liye mufeed hai. Mojoodah dor mein medical research ne dhanye ki afadyat ke pesh nazar is se mutaliiq tehqeeq ki to maloom hua keh yeh khasosi tail mukhtalif aqsaam ke infection ke khelaf kar aamad sabit ho skta hai. In mein zehar khorani aur aik mohlik jarsoome se lahaq hone wale amraaz shamil hain. Mahereen ke mutabiq dhanye ka tail mukhtalif jarsomon ke khelaf muzahimat ki salahiyat rakhta hai. Yeh jaraseem hamare jism ko aise mutaddid infection ka shikar bana dete hain jin mein aam dawayein bhi kar gar sabit nahi hotin. Europi mhqaqeen par mushtamil aik team ne dhanye ke tail par tajurbaat mein ise barah mohlik jarsomon ki afzaish ko rokne mein madad gar paya. Apni tehqiqi report mein mahereen ne kaha keh yeh mukhtalif jaraseem ki afzaish ko intehayi sust kar deta hai jab keh besh tar jaraseem is tail ke kam mehlool mein halak ho jate hain. Research team ke sarbarah ka kehna hai keh inhon ne dhanye ke tail ko salmonella, e coli jaise jaraseem ke khelaf nehayat kargar paya hai. Yeh tail in jarsomon ke khalyaat ki berooni part par hamlah awar ho ta hai aur inhien tabah kar deta hai.

Is tibbi jaize mein dhanye ke tail ko naqis ghizaon se lahaq hone wale pait ke amraaz ka kaam yaab ilaj bhi bataya gia hai. Mahereen ke mutabiq yeh tail kisi aam dafa jaraseem dawa ki tarah kaam anjaam deta hai. Agar dhanye ke tail se tiyar shuda lotion, gharare karne wala mehlool aur golyan banayi jayein to aam bimaryan door karne ke elawah in infection par qaabo paya ja skta hai jin mein dafa jaraseem dawayein kar gar nahi hotin. Dhanye ke tail ki tibbi afadyat to musallam hai, lekin ise dawayon ki makhsoos shakal mein jarasimi bimaryon ke khelaf istemaal karwana mzeed research ke baad hi mumkin hoga.

No comments:

Post a Comment

Health Tips Viewers