LifetimeEarn

Wednesday, 18 November 2015

Bachon ki Neend:

Bache jo dopehar mein neend puri kar lete hain woh raat mein jaldi nahi so sakte yeh baat fitri si hai keh saat ghante ki neend jab tukron mein taqseem ho jati hai to bachon ki thakan door hojati hai is key baad jab bache der tak cartoon aur degar pasandidah films na deikh lein ya der tak maon se batein na karte rehein in ki tasalli nahi hoti. Yeh umer yun bhi jazbaatyat ki hoti hai. School ya tuition parmaan se duri aur phir maan ki qurbat aur tawajjah ki gharyan dastiyab ho jata bache key liye nemat bhi hoti hai aur sar khushi ka yeh hassas bhi do chand hota hai.

Woh khana khane mein jaldi nahi karte, story sunna chahte hein, question karte hain, inhein maan ki din bhar ki choti bari masroofyat key baad hone wali thakan ka is qadar ahsaas nahi hota. Hum aisa nahi kahein gay bache khood gharz hote hain bache na samajh hote hain inhein baron key kaamon ya awqaat kar ka andazah nahi hota na hi mehnat ki routine ka patah chalta hai. Woh sirf apna kaha manwana chahte hain lekin parents ki apni majbooriyan hoti hain.

Har ghar mein sone jagne aur khane pine key alag aoqaat moqarar hote hain. Samjhdar pareints barhte huye aur chote bachon ki age key hisab se apne maamolat ka taiyun karte hain. Woh apna tarz e zindaig hi badal lete hain. Bachon ki shakhsi tarbiyat key liye esar se kaam lena parta hai maslan agar aap kisi Sunday ki shab raat gaye ki kisi taqreeb mein madu hain to agle Monday warking day key tasawar se buhat jald maazrat kar key ghar lot aayein gay. Agar aap key yahan bachon ko sath le jane ka ahtamam nahi hota to tasalli karein keh kia aap ki ghair mojoodgi mein bache waqai so gaye hain aur un ki dekh bhal key liye koi motbar hasti koi buzurg , parents mein se koi aik shakhsiyat ya molazim mojood hai?

Nayi maan banne wali khawateen key liye shayad yeh buhat bara sawal ho keh kamsin bachon ko neend ki kitni zaroorat hoti hai. Niche amoomi rehnumayi key liye aik chart di jarahi hai keh aik normal bache ko umer key kis hisse mein kitni osat neend dar kar hoti hai. Albattah is mein koi shak nahi keh har bache zaroorat mukhtalif hoti hai, kis ko ziadah neend ki zaroorat hoti hai aur kisi ko kam 
Hours
Day Sleep
Night Sleep
Age
15 ½
7 Hours (3 In periods)
8 ½ Hours
1 Month
15
5 Hours (3 In periods)
10 Hours
3 Months
14 ¼
3 ¼ Hours (2 In periods)
11 Hours
6 Months
14
3 Hours (2 In periods)
11 Hours
9 Months
13 ¾
2 ½ Hours (2 In periods)
11 ¼ Hours
12 Months
13 ½
2 Hours (1 In periods)
11 ¼ Hours
18 Months
13
1 ½ Hours (1 In periods)
11 Hours
2 Years
12
1 ½ Hours (1 In periods)
10 ½ Hours
3 Years

Bachon key aik mahir ka kehna hai keh aik baat zehan mein rakhye keh aksar bachon ko ziadah neend ki zaroorat hoti hai. Agar bacha kam sota hai aur raat ko aik baje se pehle bistar par nahi jata to parents samjhte hain keh use zizadah neend ki zaroorat nahi hai, yeh sayad durust nahi, dar haqiqat aisa bachah neend ki kami ka mareez hota hai. Aap dekhein keh jab aap ka abchah is aadat mein mubtila ho to apne aap se yeh sawalat karein

Kia aap ka bachah jab car mein hota hai to taqreeban har waqt sota rehta hai?

Kia aap apne abche ko taqreeban har subah jagate hain?

Kia aap ka bacha din mein chir chira koft ka shikar ya buhat thaka hua nazar aata hai?
Kia aap ka bacha raat ko waqt se pehle sota hai?

Agar aap ne in mein se kisi bhi sawal ka jawab han mein dia hai to aap ka bacha apni zarorat se kam neend leta hai. Is key maamulaat ko badalne key liye aap ko achi neend lene ki aadat dalni pare gi aur is ka makhsoos sone ka waqt banana hoga . Is key baad is ki neend poori ho jaye gi aur hashash bashash roshan aankhon key sath bedaar hoga.

Aur jab aap ka bachah bara hoga to woh din mein jhapkiyan lena band kare ga aur raat ko apne waqt par soye ga. School se qabal ya alimentary school key baad bhi elder student ko raat ko 10-11 ghante zaroorat hoti hai magar phir aahistah aahistah is key doranye mein kami aati jati hai. Jab aap ka bacha no umri ko punchta hai to ise raat ko 9- 10 ghante ki zaroorat parti hai aur ziadah tar bache itne hi ghante sote hain.

Bachon ko jaldi solane key liye agar aap clock deikh kar bachon key sone key awqaat moqarrar karein to samjhein ghatli hi karein gi. Yeh bache hain robot nahi in key sone key koi official awqaat kuch aur bhi ho sakte hain. Agar aap chahti hain keh moqarrar kar dah schedule key mutabiq woh so jayein to phir in key liye home work ka kia jana zaroori hai, yani unko nehane aur teeth brush karne ki muhim par rawa na kar dia jaye itne arse mein in key bed room ki roshniyan maddhim kar li jayein. Room saaf ho mosam acha ho AC ki zaroorat na ho to fan on kar dia jaye, khirkiyan kholni hon to pardon ki tarteeb durust kardi jaye. Un key sarhane pani ki bottele aur glass saliqah se rakh diye jayein aur bare bhi TV aahistah aawaz mein chalayein ya phir TV band kar dein aur shor o ghul na hone dein.

No comments:

Post a Comment

Health Tips Viewers