Wednesday, 18 November 2015
Larkion Main Balooghat Aur Mahwari
Larkion main balooghat (puberty) ka waqt kathan aur mushkil hota hai. Is ki wajah yeh hoti hai kai larkian apne under hone wali tabdeelion ki wajah sai pareshan ho jati hain. Jismani aur zehni tabdeelion ki wajah sai who aik haijaani kefiat main hoti hain aur apni shanaakht sai in tabdeelion ko mansoob karne lagti hain. Is waqt par un ki mukammal rehnumai, un kai saath pyar muhabbat aur dosti aik maan ka farz hai. Yeh zuroori hai kai maashrati rawayyun sai bala ho kar larkion ko is waqt kai tamaam haqaaiq ko sahee andaaz main pesh kia jaye, take larkian apne is marhale ko sahee tarah nimta sakain.
Larkion main balooghat ka izhar un kai jismani tabdeelion aur jism main aurton kai hormones ki tabdeeli ki wajah sai hote hain. Hormones humare sochne aur samajhne ki salahiyat par gehra asar rakhte hain aur yehi mardon aur aurton kai sochne ki salahiyat main farq ko parwan charhate hain. Isi wajah sai larkian jab is marhale sai guzarti hain to un main aik zehni kashmakash ka ansar bhi zahir hota hai. woh apni zaat, apni shanaakht aur apne maashrati rawayyun kai maamle main pareshan ho jati hain. Mukammal rehnumai is waqt intehai zuroori hai, kion kai yeh umer ka waqt kamzor hota hai. balooghat aam tor par 8 sai 13 saal ki umer main hota hai, jis ka ikhtetam mahwari (menses) ki suurat main hota hai. laikin yeh marhala aahista aahista paish aata hai, jis main aik sai do saal darpesh aate hain.
Mahwari meheene main aik baar bacha dani sai khoon ki amad hoti hai. yeh aik kudrati amal hota hai jis main aurat ka jism aik ande ko tayyar karta hai. sahee waqt par agar anda fertilize ho jaye to bacha janam hota hai. Doosri soorat main anda zaya ho jata hai. isi doran aurat ka jism is lihaaz sai apne aap ko tayar kar raha hota hai kai aik bacha janam ho ga. Isi liye bacha daani bhari ho jati hai ya is main khoon ka dorania barh jata hai. jab anda zaya hota hai to yeh khoon bhi zaya ho jata hai jo mahwari hoti hai.
Aam tor par mahwari ka dorania 5 sai 7 din hota hai, aur mahwari har 28 din kai baad hoti hai laikin kuch khawateen main yeh mukhtalif bhi ho sakti hai. ziyadah ya kam khuun ana, baar baar khun ana ya mahwari main buhat takleef hona theek nahin aur is kai liye kisi doctor sai mashwara laina zuroori hai.
Labels:
Women Health
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment