LifetimeEarn

Wednesday, 25 November 2015

Cholesterol Kam Karne ka Tarika

Hum mein se buhat se log is baat se la ilm rehte hain ke achi khorak ka dar asal matlab kia hai?

Buhat se logon ka yeh kheyal hai ke ziadah khana aur ghizaiyat se bhar poor khana achi sehat ki zamant hai. isi wajah se log har tarah ka khana jis mein tali huyi cheezein, moraghan ghizayein, gosht ka besh baha istemaal mehaz is liye karte hain keh aisi ghiza khane se woh sehatmand rahein gay lekin haqiqat mein aisa nahi hai. Moraghan aur tali huyi cheezen khane se pait to zaroor bhar jata hai lekin yeh jism mein colestrole ki ziadti ka sabab bhi banta hai. Jab keh agar yahi ghiza chiknayi se pak aur ghizaiyat se bhar poor shakal mein li jaye to yeh sehat mand rakhne mein madad farahum karta hai aur jism mein se cholesterol ki moqdar ko kam se kam karta hai.

Kharab bad cholesterol yun bhi buhat si bimaryon ko daawat deta hai jaise keh dil ke amraz, hart attack, angina, high blood pressure, hypertension waghairah. Halyah America National Institute of Health ke research ke mutabiq insane jism mein 25% cholesterol sirf naqis ghiza ke istemaal se barhta hai jo insane ko bimariyon ki taraf le jata hai. Is liye moalij bar bar is baat par zor dete hain keh isi ghiza ka istemaal karein jo jism mein cholesterol ki woh moqdar paida kare jo faidy mand ho.

Aisa colestrol jo kharab ho ya phir aisi ghiza jis mein sodium ki moqdar ziadah se ziadah ho ya phir aise mashroobat jin mein artificial flavor aur shakkar ka istemaal ho insani sehat ke liye be had muzir sabit hote hain. Lekin aaj hum aap ko aisi ghizaon ke bare mein bata yein gay jin ke roz marrah ke maamolat mein istemaal se cholesterol ki satah ko kam bhi kia jaskta hai aur dil ke amraz se bacha bhi ja sakta hai.

Vegetable aur Fruits ka Istemaal:


Sabziyan ghizaiyat se bhar poor ghiza hai is mein mojood vitamin, mineral jism ko taqat bakhshne ke sath sath sehat mand bhi rakhta hai. Khas kar sabzzion mein (low density lipoprotein ) bad cholesterol LDL payi jati hai yahi woh cholesterol ki qisam hai jo dil ke amraaz ka sabab banti hai. Is cholesterol dil ke bais dil ki sharyanon ke gird chiknahat ki aik teh si jamna shuru ho jati hai. jo dil sharyanon ko saaf khoon ki farahmi mein rokawat paida karna shoro kar deti hai isi wajah se heart attack, anjina pain mehsoos hone lagta hai. sabziyon ka itemaal is masle se mumkinah had tak bacho frahum karta hai. Jo log poora haftah sabziyon ka istemaal karte hain inhein dil ke amraz se bachao mein 90% tahffuz hasil rehta hai. isi tarah se phalon ka itemaal bhi sehat ke liye be had mufeed hai. phalon mein mojood fiber (resha) mana, takseed (antioxidants) aur photochemical jism ko sehatmand aur toawana rakhte hain.

Ache Fat (Chiknayi ka Intekhab):


Tamam chiknayi buri nahi hotein jo chiknayi achi hon woh insani jism ke liye itni hi zaroori hai jaise machine ke kam karne ke liye indhan ki zaroorat hoti hai in achi chiknayion mein zaitoon ka oil(olive oil), canola, akhrot, sun flower oil, nut waghirah shamil hain. Yeh chiknayi jism mein dakhil ho kar quwat madafyat ko na sirf qaaim rakhte hain bal keh dimagh aur nerves system ko bhi fayal rakhne mein ahum kirdar ada karte hain. Research mein yeh baat samne aayi hai keh agar rozanah ki khoraak se 25%-30% Harare hasil ho rahe hon to aisi chiknayi ka istemaal karna chahiye jo 7% trans fat ko zaiyal kar sake takeh jism mein ache colestrole dil ki satah bar qarar rah sake.

Ghiza Mein Reshe ka Istemaal:


Aisi ghiza ka istemaal ziadah se ziadah karna chahiye jin mein reshah mojood ho jaise jo, jayi, apple waghirah yeh reshah zod hazam hai aur yeh bhi cholesterol ko kam karne mein buhat ahum kiradr ada karta hai khas kar nizam hazam ke liye sab se behtareen ghiza hai. Is liye aisi ghiza ka istemaal rozanah rakhna chahiye. Jayi aur apple ka istemaal ka to phir bhi rozanah kia ja sakta hai lekin buhat se log jo ko razanah khnaae mein kam hi ahmiyat dete hain jabkeh cholestrole dil ki satah ko ba nisbat doori ghizaon ke jaldi kam karne ki salahiyat rakhta hai. Is liye jo ka ghiza mein istemaal lazmi rakhne ki zaroorat hai.

Nuts aur Dry Fruit ka Istemaal:


Phalyon (dry fruit) mein mojood chiknayi sehat ke liye is lehaz se behtar hai, is mein mojood mana takseed dil ke amraz ko hone se rokta hai aur cardiovascular system ko sehatmand rakhti hai. Poore hafte mein 4 serving nuts ke itemaal karne chayein. Aik serving nuts mein 1/3 cup nuts hote hain in ki celeries buhat ziadah hoti hai is liye is ka istemaal karte waqt is baat ko zehan mein rakhein keh namak ke beghair pahlyon ka istemaal kia jaye badam, mong phalli akhrot kharab cholestrole ko kam karne mein ahum kirdar ada karte hain.

Phalyon ka Istemaal ke Liye Mufeed:


Tamam aqsaam ki phalyon cholesterol ko kam karne ke liye be had mufeed hain. Maslan sabz phalyon, sufaid lobya, surkh lobya, siyah lobya, matar waghairah mein mojood mana takseed aur reshah( fiber) jisam mein mojood kharab cholesterol ki satah ko kam karne mein ahum kirdar ada karti hai.

Gosht aur Cholestrole :


Janwaron(animal) ke gosht mein mojood chiknayi sab se ziadah cholesterol ko barhane mein madad frahum karti hai lekin aisa nahi hai keh tamam gosht aisa karte hain lekin chand ahtiyaton ko malhooz khatir rakh kar agar gosht ko sahi tarah pakaya jaye to ghiza bethareen ho sakti hai.

Gosth lete waqt gosht ke in hisson ko lein jin par chiknayi intehayi kam ho ya na hone ke barabar ho.

Gosht ko pakate waqt khas kar chicken ko is par mojood khal ko pehle se alihda kar dein kiun keh yeh bhi cholesterol ko barhane ka aik ahum sabab banti hai.

Junk food se bhi parhaiz karein kiun keh yeh bhi cholesterol ki moqdar ko barhati hai.
Surkh gosht (organ meats) koshish karein keh khas mawafiqon ya daawaton mein khayein kiun keh is mein bhi cholestrole ziadah moqdar mein paya jata hai.

Hafte mein do bar machli (fish) ka istemaal lazmi karein tali huyi machli bhi le sakte hain. salmon fish aur trout fish sab se behtareen fish hain in mein omega 3 paya jata hai jo dil ke amraaz se bachao ke liye behtareen tasawwar kia jata hai.

No comments:

Post a Comment

Health Tips Viewers