LifetimeEarn

Wednesday, 25 November 2015

Breast Feeding

Maan ka doodh bachon ki Paidaish ke baad doodh ki moqdar batadreej barhti chali jati hai hatta keh 6 week mein yeh moqdar paidaish se taqreeban do guni hoti hai. Aam tor par ziadah se ziadah moqdar 3 month mein hasil hoti hai is liye agar kisi maan ko bache ki paidaish ke bad ibtadayi dinon mein doodh na utre to wo bache ko doosra doodh lagane se pehle apni mokammal koshish kare is ke liye is ko mehnat karni hogi aur apne aaram ko qurban karna pare ga. Phir bhi agar koi maslah ho to doctor se ruju karna chahiye.

Ibtadayi chand dinon mein farahum hone wala doodh is lehaz se munfarid aur faidah mand hota hai keh is mein madafati sufaid khalyat (WBC) kaseer taadad mein taqreeban (100%) ziadah mojood hote hain. Phir is doodh mein protein ki moqdar mamul se das guna ziada hoti hai takeh bache ki barhti huyi jismani zarooryat ko pura kia jasake. Insani bache ki nasho numa ke liye jo zaroori amino acids darker hain wo sab theek moqdar mein is doodh mein hote hain. Chiknayi bhi ziadah tar ghair ser shudah fatty acids par mushtamil hoti hai jo aasani se hazam ho ke jazo badan ban jati hai. Isi wajah se man ke doodh mein mojood vitamin A aankho ki aur vitamin D haddiyon ki nasho numa ke liye zaroori hain. Namkiyat ki moqdar maan ke doodh mein buhat kam hoti hai jis ke bais nazuk gurday ghair zaroori dabao se mehfooz rehte hain.

Mukhtalif awamil ke asar andaz hone se doodh ki moqdar mein har roz kami beshi hoti rehti hai agar maan ki apni ghizayi surat hal tasalli bakhsh na ho aur wo ghiza ke kisi jozu maslan folad ya calcium ki kami ka shikar hoto doodh ki paida war kam hoti hai. Bacha jis qadar quwat se doodh chuse ga aur jitna ziadah doodh piye ga itni hi moqdar mein doodh izafah hoga . Is tarah doodh utarne ke amal mein maan aur bacha dodno shareek hote hain.

Yeh baat aam mushahde mein aati hai keh kisi nakhushgawar khabar ke sadme se doodh ki moqdar aik dam kam ho jati hai baaz awqaat to doodh mokammal tor par khatam ho jata hai. Dar haqiqat fikar, pareshani aur be chaini doodh utarne ke amal ko buri tarah mutasir karti hai. Maan zehni tor par jitni pur sakoon, pur aitmaad aur doodh pilane ke liye taiyar hogi doodh ki moqdar otni hi ziadah hogi.

Abhi tak koi aisi dawa ijaad nahi huyi jis se maan ke doodh mein khatir kha izafa hota ho. Albattah desi noskhon aur qudarti ghizayon ke zariye se is mein zaroor izafah kia ja sakta hai. Chand tarike mandarjah zel hain:

1. Injeer, shehad aur kalonnji khane se.

2. Sabudana ka joshandah pine se, mewe, fruit aur kharboozah khane se maan ki doodh mein izafah hota hai.

3. Doodh pilane wali maayon ko chahiye keh wo gosht ziadah khayein, har qisam ka saag, methi, arvi kachalu se doodh aur protein ki kami ko pura karein.

Bachon ko maan ka doodh raftah raftah churana chahiye. Yun to bacha aik saal ki umer se har tarah ki ghiza khana shuru kar deta hai is liye bache ka doodh is waqt churana chahiye jab is ki sehat thik ho aur wo mutbadil ghizayein durust tarike se le raha ho. Doodh pilane ki muddat yun to 2 saal hai tahum kisi majboori ( maslan hamal thehr jana ya maan ka kisi bimari mein mubtila ho jana) ki wajah se pehle bhi churaya jasakta hai.

Bache ko Doodh Pilane ka Faida:

1. Maan ka doodh bache ke liye behtaeen ghiza hai is liye keh maan ke doodh mein wo aosaaf mojood hote hain jo is ke salahiyaton ko theek theek parwan charhane mein mayawin sabit hote hain. Is ke elawa man ka dhoodh sasta hota hai. Aasani se haisl hota hai har waqt dastiyab hota hai. Jaraseem se pak hota hai. Baby feeder wagairah ki taiyari mein kharch hone wala waqt bach jata hai. Is mein wo tamam ijza maslan protein, lehmiyat, chiknayi aur namkiyat is tarteeb se rakhe gaye hain jo bachon ki zehni o jismani nasho numa behtareen andaz se karte hain.

2. Bacha ko dhoodh pilane se maan ka jigar poori istedaad se kaam karta hai aur dorane hamal jo jism par charbi jama ho jati hai aur pait ke azlaat dhile par jate hain wo doodh pilane se wapis apne moqam peh aajate hain aur charbi khatam ho jati hai. Is tarah maan pehle se ziadah khobsurat hojati hai dore jadeed ki khawateen mein yeh ghalat fehmi aam hai keh doodh pilane se in ki jismani khobsurti mand par jati hai. Jabkeh tibbi o science haqaiq is ke bar aks hain.

3. Aik doodh pilane wali maan sehat mand hoti hai aur is ka doodh pine wale bache ko puri zindagi sehat mand rehne ki zamanat mil jati hai. Is ke elawa Doodh pilane ke baad maan ko apne andar rahat o aasoodgi aur taskeen ka ahsaas hota hai aur wo khood ko halka phulka mehsoos karti hain isi liye doodh pilane wali mayein kam hi zehni dabao ka shikar hoti hain jabkeh doodh na pilane wali mayein zehni o jazbati dabao aur kashmaksh ka shikar rehti hain wo chir chiri tabyat, neem aasoodgi aur ahsaas kamtari ka sikar nazar aati hain.

4. Man ki aaghosh mein sirf bache ko hi zehni aasoodgi nahi milti balkeh doodh pilane wali maan ke hormones munzabat ho ke is ki sehat peh buhat khushgawar asrat marattab karte hain.

5. Yeh man aur bache mein mazboot aur paidar jazbati talluq aur rishte ki bunyad banta hai. bacha ko man ki god mein jis sakoon tahffuz, pyar, muhabbat, unsiyat aur apnaiyat ka ahsaas hota hai wo kisi aur andaz mein nahi hota.

6. Yeh wo khorak hai jo qudarti tor par maan ka jisma apne bache ke liye takhleeq karta hai jis mein tamam zaroori ijza mojood hote hain. Is par kisi bhi qsam ke geographically aur mosami asrat asar andaz nahi hote yahi wajah hai keh is ko universal ghiza bhi kaha jata hai aur ise international ahmiyat aur yaksanyat hasil hai.

7. Man ka doodh bilkul taza aur khalis halat mein bache tak puhachta hai is mein kisi qisam ki koi milawat nahi hoti. Yahi wajah hoti hai keh bacha degar khorak aur doodh ki nisbat maan ke doodh ko jald hazam kar leta hai.

8. Man ka doodh pine wale bachon mein allergy ka ke imkanat buhat kam hote hain jabkeh doosra doodh pine wale bachon mein is ke imkanat taqreeban saat guna ziadah hote hain is ki wajah yeh hai keh maan ke doodh mein allergy ki makhsoos antibiotics E. 1g buhat ziadah hote hain. Yun bache, dammah aur doosri allergy ki bimaaryon se mehfooz rehte hain. Doodh ka aik makhsoos juz aanto mein tez aisa madah lactic acid paida karta hai jo jaraseem kash hota hai jis ki wajah se moqad ke ird gird jild ki kharish (nappy rash) se mehfooz rehta hai.

9. Man ke doodh mein mojood disaccharide factor ki khasoosyat yeh hai keh yeh na sirf khood munh se ziadah nahi chipakta balkeh jarasem ki afzaish ka mahol bhi nahi banne deta. Is liye bache teeth, neck, nose aur ear ki buhat si bimaaryon se mehfooz rehte hain. Donton ka caries aise bachon mein buhat kam hota hai in ke teeth terhe hote.

10. Maan ka doodh pine ke doran choosne aur nikalne ka amal is qadar yaksanyat se chalta hai keh bache mein sans rukne ya acho lag jane ka imkan buhat kam hota hai. Aise bachon mein achanak amwat shaz o nadir hi hoti hai.

Is tarah doodh pilana bache aur man donon ki sehat ke liye yaksan ahmiyat aur fawaid ka hamil hai. Man ke doodh par parwarish pane wale bache zaheen aur pur aitmad hote hain jo mulk ke mustaqbil ke liye buhat kar aamad hote hain.

No comments:

Post a Comment

Health Tips Viewers