LifetimeEarn

Wednesday, 18 November 2015

Khajoor ke Fawaid



Quran mein khajoor ka tazkirah bar’ha aaya hai. Hazrat Maryam (A.S) ko doran hamal khajoor khane ki hidayat di gayi thi jo is baat ki waza daleel hai keh yeh phal na sirf mqwi ghiza hai bal keh bache key liye bhi intehayi faidah mand sabit hoit hai. Roza kholne key liye khajoor ka chunao yeh zahir karta hai keh yeh fori tawanayi punchati hai. Khajoor se iftar karna sunnat nabwi aur hamari qadeem rawayat hai. Sura yasen key elawa quran mein kayi jagah khajoor key faide biyan kiye gaye hain. Jaded tehqeeq ne bhi khajoor key be shumar fawaid tasleem kiye hain. Yahi wajah hai keh dunya bhar mein khajoor ki paida war pehle se buhat ziadah barh chuki hai sirf Pakistan mein khajoor ki salanah paidawar 60000 tan se tajawuz kar chuki hai, tahum hamare han bd qisati se is ka isteamal itna aam nahi hai jitna ho na chahiye. Asal mein logon ko is key be shumar fawaid ka abhi tak pata nahi hai.

1. Khajoor mein iron potassium, niacin, resha (Fiber) aur buhat ziadah tawanayi mojood hai. Agar ise doodh, dahi ya paneer key sath khaya jaye to yeh aik mokammal ghiza hai.

2. Khajoor mein mojood potassium hamare jismani pathon (muscles) aur aasab (nerves) ko mazboot banata hai. Bachon key liye Khajoor ka istemaal buhat zaroori hai. Is mein mojood tawanayi jo keh kafi moqdar mein hoti hai aanton mein puhanchte hi fori tor par khoon mein shamil hojati hai aur taqat punchati hai. Yahi wajah hai keh khajoor se roza iftar karna sehat bakkhsh hai kiun keh yeh jism ki khoyi huyi tawanayi ko fori bahal karti hai.

3. Is key chemical tajziye se is ki afadyat zahir hoti hai. Taqreeban 5 darmiyani khajoor mein mandarjah zel cheezen payi jati hain. Energy 114 kcal, Fat 0.2 gm(tawanayi chiknayi key zariye 1%), protein 0.8gm, cholesterol 0, carbonate 30.8gm, fiber3.5, sodium 1 mg, potassium 270.6 mg, iron 0.5, niacin 0.9 (yeh aik B complex ka vitamin hai.)

4. Khajoor mein mojood reshah(fiber) buhat si bimaaryon se nijat dilate hai. Maslan hazmah key liye khajoor mein mojood reshah(fiber) behtareen hai. Is key elawa reshah(fiber) jism mein mojood cholesterol ko apne sath mila kar khoon mein jazb hone se rokta hai. is tarah khoon mein cholesterol ki moqdar ko kam rakhta hai.

5. Rehsha dast, pechish aur tezabyat ko kam karta hai. is tarah khajoor bad hazmi se mutalliq bimaryon mein mofeed ghiza hai kiun keh tawanayi bhi mil jati hai aur marz mein kami bhi waqai hoit hai. khajoor key istemaal se sar dard kam hota hai.

6. Abhi halyah jaded tehqeeq se patah chala hai keh khajoor joron pathon key dar ya osteoporosis mein bhi mofeed sabit hoti hai kiun keh is mein mojood boron aik hormone estrogen ki kami ko poora karta hai. Estrogen aam tor par khawateen mein mahwari band ho jane key baad kam ho jata hai aur khawateen is liye mardon ki ba nisbat joron key dard, osteoporosis aur thyroids mein ziadah mubtila payi jati hain.

7. Dor jaded mein khajoor se mukhtalif qisam key la taadad ashya taiyar ki gayi hain maslan milkshake, ice cream cake aur biscuit waghirah. Khajoor nashte mein doodh aur dalye key sath bhi khayi jati hai. is key corn flex bhi taiyar kiye jate hain.

8. Khajoor mein vitamine C nahi hota aur isi liye agar ise apple, orange, mosammi, lemon waghirah key sah khaya jaye to na sirf vitamin C ki kami poori ho jati hai balkeh khajoor mein mojood folad aasani se khoon mein jazb ho jata hai.

9. Khajoor ko paneer key sath mila ar istemaal karne se shakkar se puhanchne wale danton ko noqsan se bachaya ja sakta hai. khajoor aasani se danton par jam kar in ko kharab kar sakti hai is liye parneer ise jamne se rokti hai. Kahjoor key sath pani zaroor istemaal karna chahiye takeh danton par khajoor ki the na jam paye.

Khajoor hamare liye aik mofeed, mutabarrak aur maqwi ghiza hai, Allah tala ki neamat hai jis mein be shumar faide poshidah hain. Khajoor se bane lazeez khanon ko hamare dastar khawan ki zinat banana sehat ko motahkam karna hai.

No comments:

Post a Comment

Health Tips Viewers