LifetimeEarn

Thursday, 19 November 2015

Benefit of Fish




Allah tala ne insani sehat ko bar qarar rakhne ke liye ghizaiyat se bhar poor be shumar ashyaa paida



ki hain jin se hamein woh tamam zaroori ajza hasil hote hain jin ki hamari jism ko zaroorat hoti hai. Machli bhi ghizaiyat ka munba(source) hai jis mein protein aur vitamin ke elawa minerals ki wafir mqdar mojood hoti hai. Agar che is baat ka koi thos saboot mojood nahi keh machli kisi marz ka ilaj hai. Lekin yeh kia kam ahum baat hai keh is ahum ghiza ke rozmarrah istemaal se kayi zaroori amraaz se mudafat aur umdah jismani fawaid foran hasil ho jate hain. Yahi wajah hai keh nutrition expert machli ko behtareen ghiza qarar dete hain.

Fish Fillet

Machli ka gosht behtareen hota hai kiun keh is mein protiene ki kaseer mqdar shamil hoti hai aur yeh jism ki nasho numa mein behtareen kirdar ada karta hai. Nutrition experts ki raye bhi yahi hai keh machli har aitbaar se gosht se behtar hai. Is ke bawajood log gosh ziada istemaal karte hain aur machli kam. Is ka aik sabab hamari saqafti aadat aur gharilu rawaj hain. Nutrition experts ki raye mein umdah sehat jismani chusti aur amraaz se moasar dafaa ke liye har sehat mand shakhs ko har saal tqreeban 100 pounds machli khani chahiye. Is ke bar aik is mqdar mein har saal gosht zaroor kha lia jata hai.

Machli ka sab se bara ghizayi faidah yeh hai keh is se jism ka dafayi nizam mustehkam rehta hai. Is mein shamil ajza maslan protien, vitamin A aur D is silsile mein buhat moasar kaam karte hain. Sb se bari aur ahum khoobi yeh hai keh machli khane se gosht khoori ki tarah charbi ki muziraton(Hazards) ka khatrah nahi hota . na sirf yeh balkeh is ke bar aks taza machli khane se sharyanon mein khoon mein cholestrole ki zaid mqdar bari tezi se kam hoti hai. Machli in logon ke liye jo apna wazan kam karna chahte hon aik moasar ghiza mani jati hai. Niswani amraaz jaise kamar mein dard zachgi ke baad tangon (leg) mein dard ka ilaj bhi mumkin hai. Machli aik aisi ghiaza hai jo nutrition mein kami ke beghair ghizayi harare kam kar deti hai. Baaz machliyon mein gosht se ziada ghizayi harare hote hain, lekin amaooman ziada tar aqsam ki machliyan jo gharon mein pakayi jati hain, umdah nutrition se mala maal , lekin hararon mein mutaadil hoti hain. Machli charbi se bhi amooman paak hoti hai.

Aaj kal aam tor par farookht hone wala gosht aise janwaron ka hota hai jin ko ziadah gosht ya doodh ki khatir msnuyi tor par farbah(fatty) kia jata hai. In mein amooman charbi bhi buhat hoti hai jo sehat ke liye muzir hai. Is ke bar aks machli gosht se ziadah lazeez, zod hazam aur pakane mein bhi aasan hai.

Fish and Health

Machli aik zod hazam aur lazeez ghiza hai. Basharteh keh ise dhimi aanch par aur kam waqt tak pakaya jaye ya tala (fry) kia jaye aur machli ka tazah hona bhi buhat zaroori hai machli khane walon ki jild amooman sehat mand hoti hai aur is mein khushki khurdura pn nahi hota. Machli ke aam istemaal se nazlah, zukam aur bronchitis ke khtre ka azalah hota rehta hai. Is se bones mzboot rehti hain. Kiun keh is mein vitamin ke sath sath qudrati calcium ki maqool mqdar shamil hoti hai.

Mchli mein sodium ki mqdar nisbatan kam hoti hai.yeh baat rivers aur sea donon qisam ki machliyon ke liye durust hai. Isi wajah se baaz nutrition expert aur Therapists high blood pressure mein is ke istemaal par zor dete hain. Machli agar cheh nmkeen khaare samndaron mein rehti hai lekin is mein namak aur sodium ki satah kam hoti hai. Machli mein iron, cupper, aur iodine bhi munasib mqdar mein hota hai. In ajza se khoon ke surkh khalyaat ka aik ahum hissah yani hemoglobin tashkeel pata hai. Machli samdnron mein bakasrt mojood hoti hai ise har roz khasi mqdar mein pakra jata hai aur is ki baaz aqsaam se buhat mufeed tail nikala jata hai. Yeh tail bone, lungs aur sharyani nizam ke liye mufeed aur moasar qarar dia jata hai.

Medical experts ne inkeshaf kia hai keh hafte mein do teen bar machli khane se heart attack se bacha ja skta hai. Tehqeeq ke mutabiq machli mein shamil ajza jism ki nasho numa mein ahum kirdar ada karte hain aur is mein shamil tail jism ke mudafati nizam ko mazboot banata hai jis se bimaryon ke khelaf muzahmat mein aasanyan paida hoti hain. Tehqeeq mein bataya gia hai keh mushahde se maaloom hua hai keh jo log machli ko apni baqaidah ghiza mein shamil karte in mein dil ke amraaz mein mubtila hone ke imkanat 81 % kam ho jate hain.

Mchli mein aik fatty acid omega 3 mojood hota hai jo heart attack ka khatrah kam karne mein intehayi madad gar sabit hota hai. Mahereen ka kehna hai keh jin khawateen mein ziadah machli khane ke bais omega 3 acid ki mqdar izadah thi in mein dil ki bimari heart attack aur amwat ka khadsha intehayi kam ho jata hai. Omega 3 acid heart attack karne wale anasir ke khelaf muzahmat ki salahiyat paida karte hain. Omega 3 fetty acid salmon, mackerel, herring, lake trout, sardines and albacore tuna ziadah mqdar mein paya jata hai. Mahereen ka kehna hai keh machli lazzat ke sath sath sehat ke liye bhi khasoosi ahmiyat ki hamil hai, jise ghiza ka baqaidah hissah banana buhat zaroori hai. Machli kisi bhi tarike se pakayein is ki ghizaiyat mein farq nahi parta.

Fish and Precautions

Machli khane se insan ke bimar ho jane ya pait mein dard ke paida hone ke mukhtalif asbaab hain. Kuch machliyon ya shall fishes mein zehrile madday paida karne ki salahiyat hoti hai jo keh pakane se bhi khatam nahi hoti.

Baaz log machli se jab keh baaz anday khane se allergic hote hain, in ko hum hassas tbyat afraad kehte hain lekin khaane se bimar hone ka sabab hassas hona nahi balkeh jaraseem ka ghiza ke humrah jism mein dakhil hona hai, kiun keh jaraseem khane ke sath milkar jab pait mein dakhil hote hain to woh ghiza se mil kar zehrili ratoobat kharij karte hain jis ki wajah se nizam hazmah mutasir hota hia aur pait mein tkleef mehsoos hoti hai. Khane mein shamil hone wale yeh jaraseem mukhtalif aqsam ke hote hain aur jism ke andar mukhtalif bimaryan paida karte hain.
Benefit of Fish oil

Machliyon ki mukhtalif aqsaam mein se baaz aqsam ki machliyon se buhat mufeed tail nikala jata hai jo hamari sehat ke liye be had kar aamad hota hia. Khasoosan salmon, machli ke tail ke be shumar fawaid hain. Wise to tamam aqsam ki machliyon mein aik khas qisam ki chiknayi omega 3 S payi jati hai magar salmon machli mein yeh digar machliyon ke mqable mein dugni mqdar mein mojood hoti hai. Omega 3 S dil ke amraaz aur khasoosyat ke sath joron aur pathon mein kheinchao (Muscle strain) ki bimari mein mubtila afraad ke liye aik moajzaati dawa hai.

Scientist ne tsdeeq ki hai keh cod machli ke jigar ka tail joron ke liye mufeed hai aur is tail par mushtamil food supplements lene se jorn ke dar aur aisi digar bimaryon par qaboo paya ja skta hai. Qabal azeen yeh samjha jata tha keh mazkoorah bala tail joron ke iye faidah mand hai tahum is ki tsdeeq nahi huyi thi jab keh halyah tehqeeq ne is ki afadyat sabit kardi hai. Mukhtasaran yeh keh machli qudrat ka atyah hai ise apni khorak mein shamil rakhein taza aur saaf machli khayein.

No comments:

Post a Comment

Health Tips Viewers