LifetimeEarn

Wednesday, 18 November 2015

Leucorrhea.Women's Disease

Leucorrhea

 Mardon mein jiryan ki tarhan khawateen mein leucorrhea ki khud sakhta beemari bhi aam hai. Iss mein vagina sey white pani ka discharge hota hai. Agar thora bohut white pani kharij ho to iss kay barey mein fikar mand honay ki zaroorat nahi kyun kay yeh ek bilkul normal aur aam discharge hai jisey Bartholian glands kharij kartey hain. Yeh discharge kisi soorat mein bhi nuqsan deh nahi aur waqt kay sath sath khud hi khatam hojata hai. Leucorrhea kay liye kisi qism ki dawa leney ki zarorat nahi. (Asif Mehmood: Mobeen) Taham agar pani ka discharge bohut zyada ho, thick ho yeh smelly ho to yeh usually vagina kay infection ki wajah sey hota hai. Yeh bhi koi khatarnak beemari nahi. Kisi achey doctor sey contact karein. Yeh bohut aasani sey theek honay wala masla hai.

Leucorrhea Treatment:


Neem hakeem leucorrhea ko bohut khatarnak beemari qarar detey hain jab kay yeh koi beemari nahi aur na hi khatarnak hai. Iss ki wajah usually kharab sehat, constipation aur khoon ki kami waghaera hoti hai. Iss discharge ki wajah sey ghusl farz nahi hota aur na hi iss sey kaprey napak hotey hain. Iss doran apney khas organ ko saaf rakhein. Wuzu karein aur namaz parhein.

Agarcha leucorrhea koi beemari nahi magar phir bhi neem hakeem apni jehalat ki wajah sey iss kay bohut sey nuqsanat ka zikar kartey hain. Maslan iss sey kamar mein dard hota hai. Legs heavy mehsoos hotey hain. Tabiyat sust aur kahil ho jati hai aur kamzori bohut hoti hai. Jab tak yeh marz rahey pregnancy nahi hoti. Shadeed case mein halat bigarr jati hai. Face ka colour yellow ho jata hai. Hazma kharab rehta hai. Hand and legs thandey ho jatey hain. Thori si mushaqqat sey breath zyada hojati hai. Dil dhar dhar karney lagta hai aur mahwaari (menses) mein bhi disturbance ho jati hai. Homeo doctor Ali Asghar choudhary apni book mein likhtey hain kay "kamar mein dard, legs mein pain, headache, badan mein kamzori hojati hai. Zyada der tak yeh marz qaim rahey to sehat ka diwaliya nikal deta hai aur aurat chalti phirti lash ban kar zindagi sey bezaar ho jati hai." Yeh sab kuch 100% ghalat aur jehalat hai. Iss mein koi haqeeqat nahi.



Frigidity In Women

Khawateen Mein Sardmehri:

Sardmehri mein aurat mein na sirf jinsi jazbat nahi hotey bul kay woh jinsi amal sey koi raghbat nahi rakhti. Aisi aurtein orgasm yani jinsi urooj hasil nahi kartiin. Aisi kuch aurtein mukammal sardmehri ka shikar hoti hain aur kuch nisbatan kam. Agarcha inn aurton mein jinsi khwahish (libido) aur raghbat aam aurton sey kam hoti hai. Taham yeh mubashrat (Intercourse) per aamada ho jaein to yeh orgasm hasil kar leti hain. Frigidity ki jismani wajah bohut kam hoti hai maslan mubashrat mein pain (Painful Intercourse). Dhaka hua bazer (Clitoris) ya vagina mein infection waghaera. Iss ki bari wajah nafsiyati hoti hai maslan mubashrat (Intercourse) ka khauf, pregnancy ka khatra, ahsas e gunah aur bachpan mein sexual abuse waghaera.

Menopause:

Menopause sey murad woh daur hai jab aurat ki mahwaari (menses) band ho jati hai aur woh bacha paeda karney kay qabil nahi rehti. Bohut si aurtein iss mein jismani, nafsiyati aur jinsi lehaz sey bilkul normal zindagi guzarti hain. Usually last mahwaari (menses) mein 12 month kay baad 50 saala aurat banjh ho jati hai aur aulad paeda nahi kar sakti. Lekin ab aisi technology mojood hai jis ki wajah sey aurat iss kay baad bhi pregnant ho sakti hai. Magar aurton ki ek big tadaad 90% menopause mein apney jism aur personality mein bohut sey changes mehsoos karti hain. Menopause ki sab sey bari alamat garmi ka ehsas, hot flashes hain. Iss mein aurat kay jism mein garmi ki ek lehar dorr jati hai. Garmi ka ahsas sab sey pehley chest mein hota hai phir gardan aur face mein.


Menopause Symptoms

Jismani Nafsiyati Tabdeeliyan:


Face red ho jata hai. Garmi ka yeh ahsas jism kay doosrey parts mein bhi phael sakta hai. Iss kay sath itching ka ahsas bhi hota hai, paseena aa jata hai aur phir thandak ka ahsas. Hot flashes chund seconds sey 30 minute tak reh saktey hain aur din mein kaee baar aisa ho sakta hai. America ki ek research kay mutabiq 60% aurton ney hot flashes feel karey. London ki ek research mein 50% aurton ney hot flashes mehsoos karey aur inn mein sey 50% ney zyada uncomfortable feel kya. Iss kay elawa menopause mein khawateen mein following symptoms paey jatey hain. Chakkar, headache, thakawat, neend na aana, dil ki taez dharkan, dam ghutna aur itching. Khaas tor per khas organs mein. Taham inn symptoms ka menopause kay sath directly koi ta'alluq nahi hai.

Menopause ki barri wajah female jinsi hormone estrogen ki production ki kami hai. Iss kami ki wajah sey pistaan (Breast) flat aur loose ho jatey hain. Uterus aur ovaries shrink ho jati hain. Vagina dry ho jati hai. Iss ki walls thin ho jati hain jiski wajah sey aurat ko mubashrat (Intercourse) mein takleef hoti hai. Yeh takleef external lubrication waghaera sey door ki ja sakti hai.

Menopause mein jismani tabdeelion kay elawa bohut si nafsiyati tabdeeliyan bhi hoti hain. Maslan bezari, chirchirra pan, bhool jana, beychaeni, anxiety, udaasi, depression aur old age ka khauf waghaera magar yeh saari tabdeeliyan ahista ahista khatam hojati hain.

Low Libido In Women:

Menopause kay doran jinsi sargarmi rokney ki zaroorat nahi. Aurton mein usually mukhtasir daur kay liye jinsi khwahish mein kami (low libido in women) ho jati hai. Yeh khwahish bilkul khatam nahi hoti. Kyun kay jinsi khwahish ka ta'alluq male jinsi hormone testosterone kay sath hai jo sari zindagi paeda hota rehta hai. Chunancha aurat mein jinsi khwahish hamesha mojood rehti hai. Iss age mein kyun kay pregnancy ka khauf nahi hota iss wajah sey aksar khawateen mubashrat (Intercourse) sey zyada lutf andoz hoti hain. Menopause ki aksar tabdeeliyon ki wajah estrogen ki kami hai. Lehaza kisi achey doctor ki wajah sey iss kami ko pura kya ja satka hai. Jis ki wajah sey bohut sey symptoms khatam ho saktey hain.

  Menopause ki age different aurton mein different hoti hai. Menopause ki America mein average age 51 saal hai jab kay wahan aurat ki average age 79 saal hai. Ek thori ta'adad ki menopause ki age 40 saal sey kam hai. Kam umer mein menopause ki wajah poverty, aulad na hona, motapa, der sey baligh hona aur heredity waghaera hai. Kabhi kabhi aurtein 60 saal ki ibtedai daur (62,63 saal) mein menopause tak pohonchti hai. Hamarey yahan ek andazey kay mutabiq menopause ki ek average age 45 saal hai. America mein 50% aurtein 50 saal ki umer kay baad bacha paeda nahi kar sakti. Sirf 5% aurtein 55 saal ki umer kay baad bhi pregnant ho sakti hai. 

No comments:

Post a Comment

Health Tips Viewers