LifetimeEarn

Wednesday, 18 November 2015

Mausam-e-Sarma Mein Jild ki Hifazat

Sard mosam baaz logon ke liye naqabil bardasht hota hai, khushk sard aur tez hawayein, barafbari jild ka khushk hona waghira is mosam ki takleef dah ho jati hain. Kahs tor par hont aur eri waghira is mosam mein buri tarah mutasir ho jati hai aur agar aap kisi bimari mein mubtila hon to surathal mazeed kharab ho jati hai hai.Mosame sarma mein jild ki hifaza ke liye in baton ka kheyal rakehin: 

Mosam sarma mein jild ki khuski aur kharish se mehfooz rehne ke liye zaroori hai keh buhat ziadah garam pani se ghusal na kia jaye. Jawanon, khawateen aur bachon sab ko neem garam pani se ghusal karna chahiye. Ghusal se pehle kisi ache oil ka masaj karna jild ke liye acha hai aur ghusal ke baad jism khushk karne ke baad kisi ache moisturizer ka istemaal jild ko taro tazah kardeta hai. Mosam e sarma mein old age ke logon ko chahiye keh aik do din chor kar ghusal karein aur ghusal ke baad koi acha moisture jild par laga lein.

Kharish ke elawa khushki sard mosam mein be had pareshan karti hai. Khas tor par sar ki balon se nikal kar aankhon ki eye brows aur ears ke andar tak pheil jati hai aur in mein hone wali kharish mareez ko be chein kar deti hai. In marizon mein hone wali khushki ko sirf anti dandruff se door nahi kia jasakta balkeh is ka mokammal ilaaj karna nehayat zaroori hai jo kisi mahir amraz jild se karana chahiye.

Jin khawateen ki jild khushk ho to inhein tez khushboo wale sabun se chehrah bar bar nahi dhona chahiye balkeh is ke liye moisturizer base sabun ya face wash ka istemaal ziadah sood mand hai isi tarah chikni jild ke liye cold cream ka istemaal munasib nahi. Aisi jild mein qudarti zariya se moisture punchaya ja skta hai. Jaise coconut oil ka masaj chikni jild ke liye nehayat umdah hai. Raat sote waqt achi cold cream lagana aur din mein kisi ache lotion ka istemaal jild ko taza aur khushki se pak rakhta hai. Isi tarah ache moisturizer ka istemaal baron se le kar chote yani nozaidah bachon tak par kia jasakta hai.

Jo log namaz pabandi se parhte hain. Agar woh har wazoo ke baad chehre aur hath paon par koi acha sa moisture jitna marzi lagana chahein laga sakte hain, is se koi noqsaan nahi hota.

Sardiyon mein yeh bhi deka gia hai keh wooly kapron ka istemmal jism mein kharish paida kar deta hai. Aisa in logon ke sath ziadah hota ha, jin ki jild nazuk aur hassas hoti hai to aise afrad wooly kapre pehnne se pehle cotton ke kapre maslan cotton ki tee-shirt aur pajama pehn lein aur is ke baad oper se wooly kapron ka istemaal karein, is tariqay se kharish aur jild ki degar bimaryon se mehfooz raha ja sakta hai. 

Sardiyon mein khushk hawayehin insani jild par buhat ziadah asar andaz hoti hai. Sard aur khusk hawayon ke sath hi hath peron aur chehre ki jild phatna shuru ho jati aur in par mojood nami ghaib ho jati hai. jis ki wajah se khurdura pan numayan hota hai.

Sard mosam mein jild ko taro taza rakhne ke liye zaroori hai keh saaf pani ka istemaal barha dia jaye. Winter season mein malte sangtare gajar, mooli aur degar mosami phal aur sabziyon ka istemaal jism mein pani ki kami ko poora kardeta hai, jis ki wajah se jild mein nami mojood rehti hai.

Mosam e sarma mein jild ko khushki ka samna hota hai. Khushk mosam aur sardi ki wajah se chehrah be ronaq sa dekhayi deta hai. Agar mosam e sarma mein rozanah aik glass doodh mein do se teen chamche shehad mila kar pi lein to aik to chehra ki ronaq bar qarar rehti hai aur doosra khushk mosam chehrah ki jild waghira ko mutasir nahi karta aur chehre ki khoobsurti mein izafa ho ta hai.

No comments:

Post a Comment

Health Tips Viewers