Ghizayain bhi Allah taala ki bari nematain hain kiun keh in par hamari zindagi ka dar-o-madar hai. Agar yeh ghiayain hamari dastars mein hain to yeh bhi Allah hi ka karam hai aur iss par bhi hamain iss razaaq ka shukar guzar hona chahiye. Lekin shukar ka yeh silsilah yahin khatam nahi hota. Buhat se log ghizayon key malik hotey hain, in key samne dastarkhawan par wo nemat saji hoti hai lekin iske bawajood wo inhain kha nahi sakte kiun keh wo ghiza in ki sehat ko behtar karne key bjaye mazeed abtar |
kar sakti hai. Lehaza jo log kisi dar aur khof key beghair har qisam ki halal aur sab ghizayain istemaal kar sakte hain inhain Allah ka mazeed shukar ada karna chahiye. Hum mein se aise buhat se log honge jo agar koi makhsus ghiza khayain to ise khate hi in key jism par doray ya pittiyan uchal jati hain. Jild par ubhrey huye yeh surkh nishanat allergy ya hsasyat ki alaamat hote hain. Aisi surat mein baaz logon key hont suj jate hain, kharish hone lagti hai aur chehra surkh ho jata hai. Jo log apni allergy se waqif hote hain wo in ghizayon se had darja parhaiz karte hain lekin aik din achanak koi makhsus ghiza khate hi in ka jism iss key khelaf shadeed amal zahir kar deta hai.
Aise logon key liye yeh achanak aftad buhat pareshani ka bais banti hai. Baaz awqaat allergy ka yeh rad amal buhat sangeen surat bhi ikhteyar kar sakta hai. Iss waqt sine mein bhari pan ya ghutan ka ahsaas hota hai. Sine se taiz siti jaisi aawaz kharij hone lagti hai. Ya sans lene mein buhat zor lagana par ta hai. Yeh alaamatain zahir kar ti hain keh mareez ka pura jism allergy se mutasir hai. Agar aap ko yeh maalum hai keh kon si ghiza aap key jism mein aalergy ka rad amal zahir kar ti hai to aap mustaqbil mein in se parhaiz kar sakte hain lekin agar aap yaqeen ki had tak iss bare mein ilm nahi rakhte to jo kuch bhi aap khayain iss key barey mein aap likh lain ta keh jab reaction ho to aap muhtaat rahain. Allergy test key zareeye bhi yeh maalum kia ja sakta hai keh kon si ghia aap key liye pareshaan kun ban sakti hai. Iss silsile mein aap doctor se mashwara bhi kar sakte hain.
Aam tor par logon ko jin ghizaon se alergy ho sakti hai in mein darj zeel 11 chizeen shamil hain:
- Milk
- Eggs
- Mung phalli
- Darakhton par lagne wale giri dar mewa (in maghzyat mein kajo, akhrot, badam, pista waghairah shamil hain.
- Jhinge, sipyan
- Soye ki phalyan
- Ras dar phal maslan sangtara
- Chakutrah, kinu, mosammi
- Tamatar
- Garam masala jah maslan surkh mirch
- Surkh sharab
Warning: This site provides general information about your health. for more information and treatments please contact your doctor.
No comments:
Post a Comment