LifetimeEarn

Thursday 19 November 2015

Benifits Of Pomegranate


Khatte mithe anar ka juice sirf zaiqah men hi mazedar nahi hota balkeh in ke kayi aise tibbi fawaid bhi hain jo intehayi ahum hain. Yeh mukhtalif bukharon aur bimari key doran piyas ki shiddat mita ta hai, garmi aur lu lagne key asrat zayal karta hai.


Yeh jigar dil gurdon aur meday par khush gawar asar daal kar unhein nayi quwat deta hai. Ghizaon ki vitamin A ko jigar mein mehfooz karne mein madad deta hai. Badan mein quwat mudafyat barha kar ise mukhtalif qisam key infection bil khasoos Tap-E-Diq se bacha ta hai. Yeh tulba aur kamzor yad dasht rakhne wale afrad key liye buhat mufeed hai. Jo log bhool jane key marz mein mubtila hon in key liye anar buhat sood mand hai. Yeh yad dash teiz aur bahal karta hai.

Anar key phoolon ka juice nakseer rakne key liye buhat kar aamad hai. Moasar afadyat key liye anar ka juice aur shehad mila kar istemaal karein to yaddash tez ho jati hai. Is mqsad key liye 250 ml anar key juice mein 5 se 10 ml shehad milate hain. Yahi mashroob raham ki be qaidgiyan aur raham key zakhmon key ilaj mein bhi mufeed hai.
Yeh pait key kire kharij krta hai. Typhoid mein shafa deta hai. Bronchiectasis aur gale ki kharash ka ilaj hai. Umdah qisam ka ishteha angeiz hone key sath sath nizam hazam ko taqwiyat deta hai. Is key mahereen ka kehna hai keh agar medeah kharab aur bimar hai to yeh in ginat bimaryon ko janam de ga anar aisa phal hai jo meday aur degar aazaye hazam ko theek halat mein rakhta hai. Chunan chah yeh buhat si bimaryon key ilaj key liye istemaal kia jata hai.

Nakseer key Liye:


Nakseer rokne key liye anar ka juice 2 se 4 qatron tak naak mein tapkayein. Adha cup anar key juice mein chini milakar pilane se fori aaram milta hai. Agar yeh mashroob kuch dinon tak baqaidah piya jata rahe to nakseer phutne ki shikayat hameishah key liye door ho jati hai. Kuch logon ka kehna hai keh tazah anar ka chilka soonghne se bhi yeh kaifyat foran khatam ho jati hai.

Piyas Mitata Hai:


Anar ka juice piyas mitata hai. Jism ki hiddat door karta hai aur bukhar kam karta hai. Khasoosan aise bukhar mein mufeed hai jo garmiyon mein maosam ki shiddat key natije mein charha ho. Bukhar key doran agar mareez ko sirf anar ka juice dia jaye to yeh bukhar utar ne key sath sath jism ki ghizayi zarooryat bhi mukammal tor par puri karta hai.

Tilli :


Tilli barh jaye to anar ki khushk jaron ka juice ( pani mein jarein bhigoye rakhne se hasil kia jata hai) doodh key sath pilane se masbat nataij hasil hote hain. Is se amoomi kamzori bhi door ho jati hai.

Typhoid ka Bukhar


Typhoid bukhar ka ilaj karne key liye tazah anar ka sharbat patla kar key waqfay waqfe se dete hain. Is se damme key bukhar aur mede key masail bhi khatam ho jate hain.

High blood Pressure:


High blood pressure maamol ki satah par lene key liye anar ka tazah juice adha cup din mein do bar piya jata hai.

Yad dasht Kamzor :


Yad dasht kamzor ho jaye to anar ka tazah juice aur shehad mila kar pilana mufeed rehta hai. Is se yad dash bahal ho jati hai aur faham teiz ho jata hai.

Pait ki Bimari key Liye:


Anar key 20/25 ml fresh juice mein bhune huye zeray ka safoof aur chutki bhar namak dal kar pine se badhazmi tezabyat , khatti dekarein, tabkheer pait mein gurgurahat aur patle daston ki shikayat door ho jati hai. Agar is key beej yani anar key dane kali mirch aur namak chirak kar rozanah khaye jayein to mede ka dard lahaq nahi hota.

Ishal aur Pechish:


Ishal aur pechish mein 20 se 70 ml anar ka juice lein. Is mein do long(clove) pees kar in ka safoof shamil karien. Yeh juice 6-8 ghante key waqfe key baad lein. Mutbadil noskhah mein anar key phal ka khushk chilka pees kar is key hum wazan tirflah mein milayein aur in donon bimaryon mein se jab bhi kisi ka ilaj maqsood ho ise dahi key pani key sath 1 tsp mareez ko dein. Fori afaqah hoga agar mareez ko dahi ka pani mawafiq na ho to yeh safoof anar key juice key sath khelayein. Anar key tazah patton(leaves) ka juice aur adhure pake anar ka juice key sath khelayein. Anar key tazah patton ka juice aur adhoore pake anar ka juice mila kar pilane se bhi pechish door ho jati hai.

Pait key kire:


Pait aur antriyon key kire kharij karne key liye anar ka khushk chilka pees lein. Halki aanch par boil karein aur thanda hone par 15-20 ml moqdar mein din mein teen martabah pilayein. Aik aur noskhah key mutabiq malte aur anar key chilke achi tarah pees kar 5 mg khorak mein chutki bhar namak mila kar khane se bhi kere kharij ho jate hain.

Anar ka istemaal anar dane ki surat mein gharon mein chatni ki taiyari key liye aik mamool hai. Is key ishtarak se kayi masalae aur pakwan bhi taiyar kiye jate hain. Is ki shamoolyat pakwan ki lazzat barha deti hai. Agar aap apni bhook barhana chahte hain to anar ka juice hameshah dopehar aur raat key khane se pehle piya karein. Anar ka juice sharab ki talab kam karta hai aur nizam hazam ko behtar bana ta hai. Chunan chah anar ka istemaal sehat o tandrusti bar qarar rakhne ka mowassar zriyah hai.

No comments:

Post a Comment

Health Tips Viewers