LifetimeEarn

Tuesday, 8 December 2015

Eye Problems

Roz marrah zindagi mein amooman aankhon ki mukhtalif takaleef say har aik ko aksar wastah parta hai. yahan in ka tazkarah mukhtasar is liye kia ja rah hai keh first ade kay tor par in say behtar tarika say bacha ja sakay, kun keh “Prevention is better than cure”
eye allergy in urdu

Sab say pehlay allergy ya hassasyat ka zikar karein gay, jo buhat aam hai. Maholyati aaloodgi

Zehni o jismani dabao thakan

Carpet mein mojood dust mites ki mojoodgi na sirf aankhon mein allergy o sozish ka sabab banti hai balkeh mosalsal nazlah aur raat kay waqt khansi kay doray aur sans ki takleef bhi is mein sar e fehrist hai.

Motay dabeez pardon ki mojoodgi bhi dust mites ka sabab banti hai.

Is liye jaye namaz kahbi makhmal ki istemaal na karein.Behtar hoga keh namaz ki adaigi kay liye sadah nailon ki chatayi istemaal ki jaye, jis ki wajah say nose aur eyes ki allergy say bacha ja sakta hai.

Dhoop aur hawa say bachao kay liye munasib rungon ( jo dhoop ki shuayon ko jazb kar lein gay chashmay ka istemaal buhat mufeed hai.

Mukhtalif qisam kay cosmetic maslan nail polish waghaira nazar andaz kar deti hai.

Baalon ya jism par istemaal honay walay spray bhi allergy ka aik bara sabab hain.

Kuch afrad mein poday bhi allergy ka sabab ban saktay hain.

Masnoyi zewaraat mein chunk eh nikal hoti hai, is liye yeh na sirf jild allergy ka sabab bantay hain, balkeh aankhon kay berooni papoton (lids mein kharish aur soojan bhi paida kar detay hain.

jab keh baalon mein istemaal honay wala color ya mehndi ka powder bhi allergy paida kar sakta hai.

Polar mein kaam karnay walay afrad hathon ki allergy kay elawah chehray aur aankhon ki hasasyat kay sabab bhi kisi allergy ka shikar ho saktay hain.

Eye Eczema and Treatment

Seborhic Eczema: Seborhic eczema buhat aam hai. Yeh kaifyat sar mein khushki bhi kehlati hai, jo buhat aam arzah hai. Sar say jharnay wali khushki eye lash, eye brows, face, back aur chest par asar andaz hoti hai aur wahan par kharish surkhi aur takleef ka sabab banti hai. Is mein aankhein surkh ho jati hain aur palkon par khushki ki the jam jati hain jis mein kharish ki wajah say infection ho jata hai aur chotay chotay phoray ban jatay hain. Ziadah shiddat ki surat mein subah uthnay kay baad mareez ki aankhein khul nahi patein aur chipak jati hain. Palkon par bareek bareek chilkay jama ho jatay hain aur baaz awqaat palkein mutasir ho kar jhar jati hain, yeh kaifyat zehni dabao, jismani thakan aur dhoop ki wjah say ziadah shadeed ho jati hai.


Garam mamalik mein khasoosan garmi mein aur mosam ki maamooli tabldilyon say bhi aam tor par yeh kaifyat paida hoti hai aur palkon ki line par danay zakham aur surkh chilkay numayan ho jatay hain. Yeh khushki ki aik zeli kaifyat hai aur is mein jald ilaaj aur dekh bahl ki motaqazi hoit hai, maslan aankhein band kar kay kisi baby shampoo ki madad say palkon ki dulayi aur din mein teen char bar narm saaf aur gilay kapray say aankhein saaf karni chahiye takeh khushki par qaaboo paya ja sakay. Is marz mein behtareen ilaaj rozana aur baqaidgi say sar kay baalon ko shampoo hai magar sar kay liye baby shampoo ka istemaal na kafi hota hai.


Atopic eczema: Paidaishi Atopic eczema mein mubtila afrad khaas tor par, aankhon ki hasasyat kay sabab ziadah mutasir hotay hain. In afrad ki aankhon kay nichay amooman sujan ki aik lakeer ban jati hai. jo mustaqlan rehti hai. Mosalsal kharish ki wajah say aankhein palkon say mehroom aur sujan zadah hojati hain. Aisay afrad hay fever say ziadah mutasir hotay hain. Is kaifyat mein achanak aankhon mein surkhi namoodar hoti hai. Aankhon aur naak say pani behna shuru ho jata hai. Chinkein buhat aati hain phir achanak yeh dorah khatam bhi ho jata hai. aur aankhein normal ho jati hain. Is kafyat ka hamlah zergi kay amal kay doran buhat hota hai yani pollen grains ka aik jagah say doosri jagah hawa say ur kar janay kay doran. Is doran pollens ki hawa mein mojoodgi nazlah, zukam (hay fever) ka sabab banti hai, khasoosan March, October aur November mein is ki shiddat buhat ziadah hoti hai, lekin yeh hamlah waqti hota hai aur anti allergy adoyah lenay say jild aaram aajata hai.


Atopic afrad (daimi eczema ya dammay kay mareez kay) kay khoon mein Oesinophils aur IGE ki mojoodgi ka test karana, Ilaaj mein mayawin sabit hota hai. Atopic afrad mein aankhon kay nichay walay papotay lip mein aksar silwat ki lakeer payi jati hai, jo paidaishi eczema ki aik ahum nishani hai. Papoton ki sujan ki degar wajooh bhi zehan mein rakhni chahiye, jo sorais thyroid gurdon ki kharabi say paida hoti hain aur munasib test ki madad say in ka ilaaj mumkin hai. In mein sab say aasan aur sasta tarikah mahaz pishab ka maamool ka test hai. is sadah say test kay zariye milnay walay ibtadayi clues buhat mufeed aur mayawin sabit hotay hain.


Aakhir mein sab say ziada pesh aanay wali kaifyat aankhon ki wabayi takleef hai, jis mein baik waqt kayi afrad mutasir hotay hain. Is mein aakhon mein surkhi aur takleef hoti hai aur dhoop buhat nagawar lagti hai aisay mein kalay chashmay ka istemaal mufeed hai, chun keh yeh lagnay wali bimari hoti hai, is liye towel alag hona chahiye. Jab aankhon mein pila sa mawad jama honay lagay aur aankhein chipak jayein to is surat mein aankhein din mein kayi bar pani say dhoni chahiye aur koi jaraseem kash qatray ya marhum aankhon mein daltay rehna chahiye.

No comments:

Post a Comment

Health Tips Viewers