Tuesday, 8 December 2015
Fruit Benefits in Urdu
Pani jild ki qudrati chamak aur sehat ke liye kitna zaroori hai yeh to sb hi jante hain rozana 8-10 glass pani pine se na sirf jism ke andar mojood muzir ajza ka khatmah ho jata hai balkeh jild narm o mulaim aur chamak dar nazar aati hai.
Lekin sirf pani hi jild ki sehat ke liye ahum kirdar ada nahi karta balkeh buhat se phal aur ghiza’yein bhi aisi hain jin ke istemaal se jild ki chamak aur taro tazgi mein izafa kia ja skta hai. Zel mein chand aisi hi ghizayein aur in ke fawaid bataye ja rahe hain jin ke rozana istemaal se aap pehle se ziadah khoobsoorat aur nikhari nikhri nazar aayein gi.
Strawberry
Ji han strawberry, jild ki sehat aur nikhar mein ahum kirdar ada karti hai. Is mein paye jane wale ajza jild ki behtar nasho numa karte hain aur ise barhti umer ke asrat se mehfooz rakhte hain. Alfa hydroxyl acid jild ke be jan khalyon ka khatma karta hai aur vitamin c jild par mojood dagh dhabon aur danon ki nasho o numa rok deta hai. Is ke elawa strawberry ka istemaal suraj ke muzir asrat se bhi bacha ta hai.
Tamatar
Roz marrah ghiza tamatar, tomato ke juice ya tamatar ki chatni ka istemaal chehre par mojood keel mahason aur danon ko khatam karta hai aur chehre par mojood shiknon aur jhurriyon ko barhne se rokta hai. Tamatar mein anti oxidants ki kasir moqdar mojood hoti hai jo jild par mojood, na-psnad-didah dagh dhabon ka khatmah karta hai.
Orange
Strawberry ke elawah Orange jild ki sehat ke liye nehayat mufeed phal hai. Yeh aap ki jild ko nikhar kar chamakdar banata hai. Kino mein mojood vitamin C aur anti oxidant jild ko sehat mand rakhne mein madad gar sabit hote hain aur vitamine E aur Iron ke jazb hone mein mdad frahum karte hain. Jild ke liye kino buhat faida mand hai. yahi wajah hai skin care product mein bhi is ka istemaal aam hai.
Anday
Ghiza mein andon ka istemaal jild ko narm o mulaim banana ke sath sath in ki moisturizetion ka bhi munasib intezaam karta hai. Is mein paye jane wala amaino acid naye khulye banane mein madad deta hai. Tehqeeq se sabit hua hai keh andon mein paye jane wale 2 ahum anti oxidant jild ko noqsan punchane wali UV shuaon, keel muhason aur cancer se mehfooz rakhte hain. Rozanah aik anda khane se khoon mein mojood anti oxidant ki moqdar barh jati hai.
Labels:
Food & Fruits
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment