Sunday, 6 December 2015
Tambako Noshi
Buhat se logon ka yeh kheyal hai keh ghalban cigar cigarette ke mukable mein ziadah mahfooz hote hain jabkeh kuch yeh samajhte hain keh aik cigar 20 cigarette ke mosawi hota hai aur iss se bhi blood ki naalyon ko isi tarah noqsaan puhanch sakta hai aur dil ki bimaaryan lahaq ho sakti hain jis tarah cigarette peney se hoti hain.
Iss bare mein mashhoor American mahir-e-tib doctor Rob Denof ka kehna hai keh cigar aur cigarette pine mein koi farq nahi hai aur jo log cigarette ke badle pipe pite hain wo goya sehat ko khatre mein dalne wali aik cheez ke badle doosri cheez ka intekhaab karte hain. Dono.n se zahrila dhoa.n kharij hota hai. Elawa azeen jo log rozana kam-az-kam aik barha pipe pite hain ya jo log sigar ke dhoain wale mahol mein saans lete hain inn mein sharyani qalbi bimaariyon mein mubtla hone ka imkaan kahin ziada hota hai, jo aam tor par smoking se mutalliq samjhi jati hain. Elawa azeen jo log bila nagha sigar pitey hain wo sanati (Industrial) lehaz se nakarah bhi ho sakte hain.
Cigar ka size aur iss mein istemaal hone wale tobacco ki moqdar mukhtalif ho sakti hai. Missal ke tor par aik bare cigar mein etna tobacco ho sakta hai jetna aik packet mein mojood tamam cigarettes mein hota hai jabkeh chote Cigars mein jinhain "sigar yellow" kehte hain aik cigar ke mosawi tobacco ko bhara hota hai. Cigar aur cigarette mein aik waza farq yeh hai keh cigar mein istemal hone wale tobacco ko coasi tambaco (tobacco) ke patte mein lapeta jata hai ya aise kaghaz mein tobacco ko mahfooz kia jata hai. Jaise pehle tobacco ke arq mein dubo kar khushk kar lia jata hai jabkeh cigarette ke tobacco ko amuman bareek paper mein lapeta jata hai. Iss farq ke bawajood jalaye jane ke chand second ke andar dono.n se aisa dhoan kharij hota hai jis mein char hazar se ziadah chemical hote hain aur in mein se kuch cancer mein mubtila karne ki khosusyat rakhte hain.
Yeh sirf kahani ka aik pehloo hai. Haqiqat yeh hai keh aik cigarette aik ya do mg nicotine par mushtamil hota hai jabkeh aik bare cigar mein nicotine ki moqdaar cigarette ke moqable main 100 se 200 time ziada hoti hai. Iss ke bawajood yeh farq iss lehaaz se mughalte par mabni kaha ja sakta hai keh cigarette ke hark ash ko saans ke zareeye apne lungs mein utarta hai. Iss tarah wo har kush mein nicotine ki aik makhsoos moqdaar jazb karta jata hai jabkeh American cancer society ke mutabiq cigar pine wala iss tarah nicotine jazb nahi karta aur iss ka inhesaar iss baat par hota hai keh iss ne ketni der tak cigar piya? (15, 30, 60, 120 minute ya iss se ziadah). Ketne kash leye? Aur kia cigar nosh ne dhoyan apne halaq se niche utara? (Agar wo dhoyan nigalta hai to iss surat mein nicotine fori tor par iss ke lungs mein puhanch jaye gi aur agar wo aisa nahi kart a to nicotine aahistah aahistah iss ke munh (mouth) ki andarooni dewaron ke raaste jazb hoti jaye gi).
Yeh amr bhi qabil-e-ghor hai keh buhat se cigarette nosh, dhoyan barah rast lungs tak punhchate hain jabkeh cigar pene wale dhoyein ko thori der munh mein rakh kar bahir ugal dete hain. Nateejahyeh nikalta hai keh chemical lungs se ziada in ke munh aur halq ko bhar dete hain aur isi wjah se inn mein munh aur halaq ke cancer ziadah dekhe jate hain jabkeh cigarette pene walon ko lungs ke cancer ka izafi khatra bhi lahaq hota hai. Agar yeh maalom ho jaye keh cigar peney wala bhi dhoyain ko barah rast lungs tak punhcha raha hai to iss mein bhi lungs ke cancer ka khatra barh jaye ga.
Qissa mukhtasar yeh hai keh jo log rozana cigar petey hain wo kabhi kabhar peney walon ke moqable mein apni sehat ko ziadah noqsaan ponhchate hain tahum yeh dono.n qisam ke afrad cigarette ya cigar na peney walon ke muqable mein apni sehat ko jin khatrat se do char karte hain in mein darj zeil shamil hain:
Cigar peney walon ko lip, mouth, tongue, thought, aur ghizayi naali ka cancer ho sakta hai. Agar cigar peney wala dhoyan apne halaq se niche utarta hai to ise lungs , masana aur lablabah ka sartan bhi ho sakta hai.
Nicotine ke nashe ka aadi ho jata hai.
Waqt se pehle teeth gir jate hain aur gums ki bimaariyan lahaq hoti hain.
Lungs ki digar bimariyan maslan bronchitis aur Emphysema ka marz ho sakta hai jis mein lungs zarurat se ziada phool jate hain.
Doraan khoon ki kharabian paida ho jati hain jis ke natijey mein sanati salahiyat khatam ho sakti hai aur amraz qalb lahaq ho saktey hain.
Aurton mein chest cancer aur banjh pan ka khatra barh jata hai.
Labels:
Mind & Body
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment