LifetimeEarn

Sunday, 6 December 2015

Sard Mausam mein Nazlah aur Zukam



Badalte mosam key sath hi flu ka marz war ho jata hai, is ka shikar koi bhi, kisi bhi waqt ho sakta hai. Sard mosam mein nazlah, zukam, flu key sath bukhar bhi pheir rahi hoti hai. yeh mosam hamari zindagi mein tabdili ka khawan hai, apna bachon aur ghar walon ka kheyal rakhna khawateen ki ahum zummah dari hai.

Agar aap key ghar mein mosam key zer asar nazlah, zukam ho gia hai, to pareshan mat hon. Is key zer asar aane key baad barq rafter zindagi mein break lag jata hai. Agar aap gharilu zumme dari nibhati hain to nashte se le kar khane ki taiyari, phir ghar key degar kamon key liye fikar mand ho jati hain. Bachon ko alag mushkilat ka samna karna parta hai. Agar kaam par jana hai to office work key liye pareshan keh cheenkte huye kaise daftari amoor anjam payein gay. Meeting kaise attend karein gay, is surate haal mein har koi dawa le kar fori relex hona chahta hai. Doctor check up zaroori hai, lekin is key sath aisi ghizayein bhi zaroori hain. Jo madafati nizam ko mzboot kare takey bimaari mein kami la sakti hain.

Jaise ghizaiyat se bahr poor ghiza mein aur garam soup sard mosam mein flu se tahaffuz de sakta hai. Chand aisi ghizayein jo mosam sarma mein aaram de sakti hain darj zel hain.

1.Kitchen mein flu ka taryaq mojood hai. Yani chicken soup, is ka istemaal flu key doranye ko kam karne key sath thakan ka ahsaas bhi kam karta hai aur is ka khush gawar zaiqah munh ki karwahat door karta hai. Sans lene mein bhi aaram aajata hai, is se fori tawanayi hasil ki ja sakti hai. Chicken soup mein noodles ya sabziyan bhi dali ja sakti hain.

2.Keno sard mosam ka behtareen tohfah hai, yeh mosam ki sakhti se bacha ta hai. Rozanah aik keno ka istemaal vitamin C hasil karne ka behtareen zariyah hai. Keno key sath malte aur mosami bhi isi afadyat key hamilhain.

3.Amrood (guava) mein vitamin C keno key moqable mein ziadah payi jati hai.

4.Aadhi piyali amrood mein 88 ml g vitamin C hota hai. kache phal ko khane mein ziadah afadyat hai, is ki smoothie bana kar bhi le sakte hain.

5.Vitamin C jism key madafati nizam ko mazboot bana ta hai aur jism mein iron key jzb hone mein madad gar sabit hota hai, is liye aise tamam khane jis mein vitamin C ki bhar poor moqdar ho zaroor shamil kar lein jaise guava, orange, tomato, bell pepper, cherry, cabbage aur malte in ka ziadah se ziadah istemaal Karein.

6.Salad mein shimlah mirch zaroor istemaal karein. Adhi piyali shimlah mirch mein 142 mg vitamin C paya jat hai.

7.Jism ki thakan door karne key liye aise khanon ka istemaal karein, jo fori energy farahum karein, jaise bakre key gosht ki yakhni paye ka soup gosht ka salan, fruit salad, badam aur shehad ka istemaal,


8.Shehron mein chaye(tea) pine ka rawaj aam hai, flu mein herbal chaye ka istemaal karein, is key liye aik dar chini(Cinnamomum cassia), 6 long(clove) aur 4 kali mirch(black pepper ) daal kar qhwah baan kar pi lein, is se kafi afaqah hoga.

9.Gale mein dard aur band naak kholne key liye aik ghule munh key piyale mein bhap urata hua pani dalein, is mein ½ tsp kas daal kar mix kar lein. Ab ise table par rakh kar halaq aur naak se 5 minute tak sans lein, yeh gale ki sujan aur band naak khol de ga aur aap sakoon mehsoos karein gi.

10.Laga tar kaam karne se thakan ho jati hai aur jab flu key zer asar hon to apni neend zaroor poori karein. Chand ghanton baad aap apne aap ko fit mehsoos karein gi.

No comments:

Post a Comment

Health Tips Viewers