Thursday, 19 November 2015
Adrak ke Fawaid
Adrak aam tor par daal, sag, sabzi aur chatni mein istemaal ki jati hai sookh nay par yeh sonnth kehlati hai medicine kay tor par is tarah istemaal kia jata hai.
Kali Khansi Dammah:
Ginger ka ras aik 60gm, honey 60gm mila kar zara sa garam kar kay pi lein 7 roz mein aaram hoga.
Kami Bhook:
Bhook achi tarah na lagti ho pait mein riyah bharay huye hon qabz rehta ho to adarak ko tarash kar rezah karein aur oper say namak chirak kar aik do mashah khayein. Bhook achi tarah lagay gi riyah kharij ho gay aur qabz rafa ho jaye gi.
Churan Hazam:
Hazmah ko durust karta hai maday ko taqat bakhshta hai dard shikam aur khattay dekaron ko azhad mofeed hai sonth aur ajwain hasb zarurat lay kar aab adrak is qadar dalein keh adoyaat tar ho jayein aur sayah(shadow) mein khushk kar kay bareek pees kar qadray namak mila kar mehfooz rakhain. Donon waqt char ratti say aik mashah tak pani kay humrah piya karein. Is churan kay istemaal say maday ki tamam kharabiyan door ho kar bilkul sehat hasil ho gi.
Dard Kaan:
Adrak ka juice 4 mashah, shead 2 masha, sendha nama 1 ratti, til ka tail do mashah pehlay namak aur adarak ka ras mila lein. Phir sab mila kar achi tarah hilayein thora garam kar kay 7 ya 8 drops kaan mein daalein kaan ka dard band hoga.
Vomiting:
Ginger aur onion ka juice mila kar pinay say vomiting band ho jati hai. Aawaz baith janay par adarak ka juice shehad mila kar chatna chahiye.
Nazlah aur Zukam:
Adrak ko cheel kar is ko bareek bareek tarash lein aur karahi mein ghee daal kar is mein bhunein is kay baad adrak kay barabar wazan khand ki chashni mein milayein aur pakayein jab qawam durust ho jaye to sonth, zirah sufaid, mirch siyah, naag kasseer, jawetri, alichi, taj, patrij, pipal, dhanya, zeerah siyah, pila mol ya barang har aik adrak ka barabar hissah lay kar koot chan kar milayein aur mehfooz rakhain.
Moqdar khorak :6 mashay say aik tolah tak hai.
Fawaid: zokam phoolanay mein mofeed hai, sardi ki wajah say aawaz baith jaye to is ko kholta hai, dam phoolnaya ki shikayat is kay istemaal say door ho jati hai, bhook khoob lagti hai, pait ka dard aur riyahi shikayat jati rehti hai.
Labels:
Food & Fruits
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment