Anjeer ki kasht Iran, Afghanistan, Italy, aur dunya key degar mamalik mein hi ki ja rahi hai. Ise Arabic mein teen English mein fig kehte hain. Anjeer key darakht par saal mein do martabah phal aata hai. Is ki do qismein hoti hain. Aik kalan jab keh doosri khord kehlati hai tahum kalan ko ziadah behtar aur moassar kheyal kia jata hai go lar key phal ki tarah is mein bareek aur buhat chote chote gol dane hote hain. |
|
Taseer mein thora sa garam aur tarawat wala hota hai. Khushk key moqable mein tazah injeer zaidah faidah punchata hai. Injeer mein 80% pani hota hai jabkeh baqyah hissah chemical lehaz se nihayat ahum aur sehat afza par mushtamil hai. Injeer mein osat 17.1 % tak sugar hoti hai. Injeer ka shumar lazeez aur sheerein phalon mein kia jata hai aur bator mewah aur dawa istemaal hota hai. Injeer ki sugar ki khoobi yeh hai keh yeh jism mein jate hi aasani se jazb ho jati hai. Jabkeh aam sugar mein yeh khasoosyat kam hoti hai. Yahi wajah hai keh injeer ko fori tawanayi ki farahmi ka ahum zariyah kheyal kia jata hai.
Anjeer Bawaseer key liye faidaah mand hai chun keh is mein citrus acid, Acidic acid aur milk acid ki bhi moqdar mojood hoti hai is liye hazmah mein mufeed sabit hoti hai.
Injeer mein khoon paida karne ki salahiyat bhi mojood hai isi liye ise mold khoon bhi kaha jata hai. is mein 12 % folad aur qabil qadar moqdar mein vitamin B hote hain aur yeh donon ajza khoon ki paidaish mein ahum kirdar ada karte hain. Yahi wajah hai keh injeer key istemaal se chehre aur jild nikharti hai aur jild aur chehre par mojood daagh dhabbon ka khatmah hota hai.
Gale ki kharash aur kushk khansi door karta hai. Balgham kam karta hai lehaza dammah mein bhi mufeed hai.
Injeer mein sugar key elawah lahmiyat 1.3 % jabkeh chiknayi baraye naam hoti hai. Is key elawah calcium 0.006% aur phosphorus 0.003% taak milta hai lehaza is phal mein sugar lehmiyat aur chiknayi jaise ahum ghizayi ajza jab keh vitamin, calcium aur phosphorus jaise madani ajza ki mojoodgi ise qawi tar bana deti hai. yahi wajah hai keh injeer jism ko farbah karta hai aur is key kuch arsa tak mosalsal istemaal se wazan barhta hai no umri mein agar bachon ko khasoosan mosam sarma mein injeer khelayi jaye to in ki bakhoobi nasho numa hoti hai aur bache ka rung bhi saaf ho jata hai.
jigar ki islah karne mein bhi is phal ko khasoosi ahmiyat hasil hai.liver cirrhosis mein jab jigar tezi se sukarta chala jaraha ho ya is mein reshah dar sakhtein banna shuru ho gayi hon to kuch arsah nehar munh injeer khane se is marz se nijat mil jati hai.
Injeer mein mojood namyati tarshe (milk acid, citrus aur acitic acid) jaraseem se pak hone key sath sath anti bacterial khasoosyat key bhi hamil hain. Yahi wajah hai keh jildi amraz mein injeer ka istemaal behtar kheyal kia jata hai. Phore phunsiyon mein injeer aur is ka sharbat faidah mand rehta hai. chechak aur moti charah mein injeer, mawez, munaqqa aur kalan ka joshandha pilane se dane aasani se nikal aate hain. Kasal mandi rafa ho jati hai aur marz ka hamlah toot jata hai.
Is key elawah yeh hepatitis B se bacao key liye faidah mand hai. munaqqa injeer aur shehad ka murakkab aik behtareen taqatwar tonic hai. jo insani jism key aasabi nizam key elawa mede jiar, aanton aur gurdon ko behtareen dafayi nizam farahum karta hai.
Injeeer ki infaradiyat yeh hai keh is mein resha nahi hota. Taweel thaka dene wali bimari key baad sehat o energy ki bahali key liye injeer ka istemaal intehayi mufeed aur kar aamad kheyal kia jata hi kiun keh reshah na hone ki bina par yeh fori tawanayi ka zariyah banta hai jis se mede aur aanton par kisi qisam ka koi bojh nahi par ta aur na hi tabyat mein koi garanni mehsoos hoti hai.
Akhraj balgham key liye khansi mein is ka jo shandah buhat mufeed hai.
Pasinah awar hone ki wajah se ise chechak mein bhi istemaal karte hain.
Gurde aur masane ki pathri key liye bhi faidah mand hai. doodh mein paka kar phore par bandh na akseer hai aanton ki khushki door karne key liye is ka murakkab sharbat injeer istemaal karte hain.
Injeer zod hazam hai. baaz logon ko aik waqt ka khana bhi hazam karna mushkil hota hai aur doosre khane key waqt inhein bhook nahi lagti aur tabyat khane ki taraf mail nahi hoti. Aisi halat mein agar khane key baad teen adad khushk injeeer khali jayein to agle khane key waqt zaroor bhook lage gi.
Is se riyah kharij ho jati hai aur jald bhook lgti hai. (aanton ki khushki door karne wali) aur narm hone key nate injeer qabz rafa kartihai.
Burhape(old age) mein jab mede ki sakhtein kamzor ho kar jism mein uric acid ki ziadti ka sabab banti hain to injeer ka istemaal uric acid key bahao key liye buhat mufeed hai.
Tags: fig benefits, fig benefits for men, fig benefits for women, fig benefits for hair, fig benefits for skin, anjeer ke faide in urdu, anjeer urdu, anjeer ke faide, anjeer pregnancy

No comments:
Post a Comment