LifetimeEarn

Wednesday, 18 November 2015

Apple Benifits For Health

Saib Qudrat ka besh baha tohfah hai. Sehat ke liye aik intehayi mufeed phal hai.Sdyon se hum sunte aaye hain keh “aik saib rozana doctor ko kar de rawana”. Aur yeh sirf kahawat nahi balkeh haqeeqat bhi hai.

Hum sb saib ke bare mein buhat kuch jante hain. Saib ki afadyat sdyon se tsleem kar li gayi hai. Qadeem dor mein bhi is ki afadyat ka andaza laga liya gya tha aur ab waqt guzarne ke sath sath jadeed science ne bhi is mufeed phal ke bare mein mazeed maaloomaat farahum dardi  hain.

Saibon ki Aqsaam (Kinds of Apple)

Hamare yahan saib ki darjanon aqsaam payi jati hai. Mango ki tarah in ke bhi kayi naam hua karte hain. Mush-hadi, kashmiri, golden, rusi aur na jane kya kya.

Saibon ki Kharidari (Some Tips for  Apple perches and store)

Aap jb saib khareed rahi hon to yeh dekh lein keh in ke chilke chikne aur chamakdar hon. Murjhaye huye chilkon wale saib ache nahi hote. Murjhaye huye saib be lazzat hua karte hain. Saibon ko frizzier mein mehfooz kia ja skta hai. Phalon ki tray mein ziadah aasani se saib rakhe ja skte hain.Lekin fridge ke opri hisse mein rakhe huye saib ziadah dinon tk rakhne se apne zaiqe kharab kar dete hain.

Saib ke Faide

Ghizayi Faide

Saib pure jism ke nizam ko masbat andaz mein mutasir karta hai. Misal ke tor par khoon mein mojood cholesterol ko km karta hai. Hazme ko durust kata hai. Strok ke khatre ko kam karta hai. Kisi had tk cancer ke khelaf bhi mudafyat ka kaam kata hai. Ziabetis aur damme ko rokne mein muawin sabit hota hai.

Is phal mein mukhtalif bimaryon ke khelaf larne ki quwat mojood hoti hai. Isi liye cancer aur dil ki bimaryon ke liye ise buhat mufeed samjha jata hai. Mutaddid  shakhsiyaat ne yeh sabit kar dia hai keh saib pure jism ke liye intehayi mufeed hai. Is mein paaye jane wale ajza fiber aur phytonutrients ko cholesterol ko kam karne mein buhat mufeed sabit hote hain. Hazme aur dil ki kayi bimaryon ke liye is ka ilaj buhat mufeed hai. Holland mein hone wali aik research ke mutabiq saib pheiphron ke cancer ke khatre ko 46%  tak khatam kar deta hai. Tehqeeq yeh batati hai keh rozanah do saib ya khalis saib ke 12 once khoon ke cholesterol par qaabu pa lete hain.

Cancer se Bachao

Har saal se jari tehqeeq ne yeh sabit kar dia hai keh saib ka istemaal cancer ke liye buhat mufeed hai. Bio clinic ki tehqeeq ke mutabiq saib mein mojood aik juz “Quarcetin” cancer ke khalyaat ki afzaish ko rok deta hai. Isi tarah is mein mojood aik aur juz jild  ke cancer se bachao ke liye buhat mufeed hai. National cancer institute ki report ke mutabiq phephron(lungs) ke cancer ke imkanaat saib ke istemaal se 50%  kam ho jate hain.

Healthy Lungs

British ke tehqeeqaat ke mutabiq saib ka istemaal lungs ki sehat ke liye buhat mufeed hai. Andaza lagaya gia hai keh who shakhs jo hafte mein kam az kam 5 saib khane ka aadi ho is ke lungs doosron ki ba nisbat kahin ziadah mzboot aur sehat man hote hain. Is ke elawah saib ke istemaal se jism ko munasib mqdar mein oxygen ki farahmi bhi jari rehti hai.

Dil ki Bimaryan

1996 mein shaya hone wale aik tjziye ke mutabiq who log jo saib ke istemaal ke aadi hon in ke yahan aarza dil ke imakanaat kam hote hain. Aur is ki wajah saib mein mojood flavonoids hua karta hai.
Saib Wazan Kam Karne k Liye

Wazan kam karne ke liye bhi saib se behtar shayad hi koi phal ho. Yeh mufeed aur ziaqadar phal nizam e hazmah ki durustagi ke sath sath wazan ko tehleel karne ka kaam bhi karta hai.

Aam size ke aik saib mein 5 gm fiber hua karta hai. Jo har qisam ki reshe dar ghizaon ke tanasub se kahin ziadah hai. Saib mein na hone ke barabar chiknai aur cholesterol hua karta hai isi liye snakes ke tor par bhi is ka istemaal kia ja skta  hai. Yani ghia ki ghiza aur dawa ki dawa. Mukhatasar yeh keh saib hamare liye qudrat ka aik azeem  tohfa hain aur hamein is tohfe se bhar poor faida uthana chahiye.

No comments:

Post a Comment

Health Tips Viewers