LifetimeEarn

Wednesday, 18 November 2015

Apple Vinegar Benefits

Sadyon se English language mein yeh muhawara istemaal hota aaya hai keh “An apple a day keep the doctor away”. Yani rozanah aik saib khayein doctor ko door bhagayein. Phalon par hone wali 5 salah jadeed tehqeeq ne is muhavare ki sadaqat ko aaj bhi sabit kia hai scientist ka kehna hai keh phal kahne se amal tanaffus ( saans lene ka amal) durust aur aasan rehta hai. Hafte mein 5 ya is se zaid martabah saib khane wale afrad sans ke amraz se buhat had tak mehfooz rehte hain na sirf sans lene ke amal mein aasani rehti hai balkeh lungs ki kar kardagi bhi barh jati hai.

Saib(apple) ki tarah saib ka sirka(apple vinegar) bhi faida mand hai in ke bare mein yahan biyan kia gia hai.

1. Apple ka sirakah qudarti khoobsurti hasil karne ka behtareen zariyah hai. Kam waqt mein chehre ko narm o mulaim karne ke liye apne chehre par chand qatre saib ka sirka(apple vinegar) se masaj karein.

2. Nehate huye aik cup saib ka sirka(apple vinegar) bath pani mein shaml kar lein yeh jismani thakawat door karne mein madad karte hai, jild ko narm o mulaim karta hai aur baalon mein chamak aati hai.

3. Herbal mahereen ke mutabiq facial mein bhaap lete huye pani mein chand qatre saib ka sirka(apple vinegar) dalein yeh jild ki gehrayi tak safayi kar ke ise chamakdar aur sehat mand karta hai.

4. Zamanah qadeem mein wazan kam karne ke liye saib ka sirka(apple vinegar) ka sirakah misriyon(Egypt ke logon) ki khoraak ka ahum juz raha hai. Nehar munh 1 spoon saib ka sirka(apple vinegar) aik glass pani mein mila kar pina, ya har khane se pehle pina wazan kam karne mein madad deta hai. kiun keh yeh hararon ko jalata hai.

5. Jal jane ki surat mein mutasirah hisse par din mein do martabah sirakah lagayein.

6. Gale mein kharash ki surat mein pani mein daal kar gharare karne se afaqah hota hai.

7. Saib ka sirka(apple vinegar) mein potassium, calcium, magnesium, phosphorus, chlorine, sodium, copper, iron aur vitamin ki kafi moqdar payi jati hai. Tehqeeq se sabit hua ha keh apple ke sirkah mein mojood potassium dil ki bimaari aur blood pressure mein mufeed hai. Rozanah aik glass pani mein aik tea spoon apple ka sirkah mila kar pi lia jaye to is mein mojood potassium khoon ko patla kar ke blood pressure ko control rakhti hai.

8. Aksar heart attack khoon mein cholesterol aur chiknayi ki ziyadti ko jazb kar ke fasid madey ke tor par jism se kharij kar deta hai. Is ke elawah apple ke sirke mein mojood dietary fiber khoon mein glucose level ko bhi control rakhta hai is lehaz se yeh ziabetus mein bhi faida deta hai.

9. Kuch logon ko raat sote huye thanda pasina(Sweat) aata hai aise afrad sone se pehle apne jism par apple ke sirkah ka masaj karein to pasina ki shikayat door ho jaye gi.

10. Diarrhea aur vomiting se bachao ke liye 4 din tak 2 spoon saib ka sirka (apple vinegar) aik glass pani mein mila ke har khane se pehle piyein. Agar saib ka sirka tarshi ki wajah se pina mushkil lage to aap is mein mithas key liye 1 tea spoon honey bhi daal sakte hain.

Saib ka sirak chun keh tarsh hota hai so yeh danton (teeth) key liye noqsan dah bhi ho skta hai is key isemaal key baad donton ko brush karna behtar hai.


No comments:

Post a Comment

Health Tips Viewers