Jild na sirf hamaray jism par ghilaf kay manind charhi huyi hai, balkeh sarapay ko khoob’surti bhi ata karti hai. Yeh jism kay andar mojood tamam aaza bashamol heart, lungs, gurdon aur intestine waghirah ki hifazat ka faraiz bhi sar anjam deti hai. Nez dil aur lungs ki kar kardagi aitdal mein rakhnay, fazil maadon kay akhraj, jism kay temperature ko maamool par rakhnay kay elawah quwat e his ki dolat say bhi mala maal hai. Chunan cha buhat zaroori hai keh jild ki safayi suthrayi aur sehat ka khas kheyal rakha jaye.
Jild ka nehayat ahum kam jism say pasinay kay zariye pani, namkiyat aur fazil madon ka akhraj hai. Ghusal na karnay wlaon kay jism par pasinay kay sath sath jild say kharij honay wali chiknayi, dhool aur fiza mein mojood jaraseem say mil kar aik the si jam jati hai, jis ki bina par jism say nagawar badboo phot parti hai. Is kay elawa sozish, kharish kay sabab jild jagah jagah say phat si jati hai.
Is na mwaqif badbo say bachao aur jism kay darjah temperature ko maamool par rakhnay nez fazil madon kay akhraj kay liye do teen bar ya rozanah ghusal zaroori hai. Ghusal na karnay say pasina aur oil kharij kanay walay ghado’don kay munh band hojanay ka imkan hota hai, jis say acne nikal aatay hain.
Garmiyon mein jild kay ghadood ziadah sargaram hotay hain takeh jism kay temperature ko maamool par rakh sakein. Aisi surat mein, rozanah do teen bar bhi ghusal kia ja sakta hai, jab keh sardiyon kay mosam mein, jab yeh ghadood kam sargaram hon is ki wajah fiza mein ratoobat ki kami hai. jism kay darjah harart ko aakhraj say bachanay aur jild ki khushki say bachao kay liye rozana aik bar ya buhat ziadah sardi mein aik din chor kar ghusal karna chahiye. Isi tarah sardiyon mein sabun(soap) kay istemaal say jild mein khushki aur sozish paida hosakti hai. Ghusal kay liye fountain say ghusal behtareen zariyah hai. Yeh pooray jism ko saaf suthra rakhnay, pani bhi jism par dalein aur phir khushk towel say jism ko achi tarah ragar lein. Is amal say badan par quwat milti hai. Yeh amal nazlah zukam, say bachanay ka bhi zariyah hai jab keh neem garam pani ka ghusal tnay huye aasab aur thakay hue azlaat par sakoon bakhsh asrat marattab karta hai.
Sonay say qabal yeh neem garam pani ka ghusal mufeed hai, ranon, kolhon aur jism kay nichlay hissay ki takleef mein neem garam pani mein baithna bhi mufeed hai. Yeh maqsad ki sujan, berooni bawaser aur pishab ki takaleef mein faida mand sabit hota hai, tez bukhar mein kami lanay kay liye thanday pani ki pattiyan, peshani,hathon, aur pairon par rakhni chahiye, albattah khanay kay foran baad nahana muzir e sehat hai, buhat ziadah garam aur buhat ziadah thanday pani say nahanay say bhi guraiz karna chahiye.

No comments:
Post a Comment