Bache ko thanda lag jana:
Bachey ke liye thand lag jana buhat khatarnak hai. Iss se chotay bachon mein bukhar, gale aur sine ke amraaz hone ka khatra hota hai. Khaas tor par namunia hone ke ziadah imkanaat hote hain. namunia kaafi muhlik marz hai iss se bachaao zaroori hai.
Baby ko Thand Lagne ki Wajoohat:
Bache ko thand lagne ki aham wajah bache ka gila rahna. Iss ke elaawa bache ko sardion mein garam kapray na pahnana bhi aik wajah hai. Agar bache ke kapray kam hon gay to iss surat mein bhi bache ko thand lag sakti hai.

Baby ko Thand Lagne se Bachain:
Baby ko thand lagne se mahfooz rakhne ke liye sab se pehle to baby ka libas mukammal ho aur iss ko mukammal tor par dhanpa gia ho. Iss ke elawa baby gila na ho balkeh mukammal tor par khushk ho. Agar ise gilay pan se bachana ho to aisa lebas pehnain jis mein gila pan iss ke jism ke doosray hison tak na punche. Iss ke elawa koshish yeh honi chahiye keh baby garam kapray pahne rahe aur ise mukammal tor par dhanpa gia ho aur achi tarah pack kia gia ho. Baby ko ziadah tar thand raat mein lagti hai to zaroori hai keh raat mein baby ke lebaas ka khaas tor par kheyal rakha jaye. Sotay hoye yeh kheyal rakhain keh bacha kisi khuli hoyi khirki ya darwaze ke nazdeek na so raha ho jahan se hawa lagne ke baais ise thand lag sakti hai.

Sardiyon mein baby ko bath (nahlana):
Sardiyon mein baby ko nehlate waqt khaas ahtiaat ki zaroorat hoti hai takeh baby ko thand na lag jaye. Apne baby ko bath dete waqt sab se pehle tasalli kar lain keh jis jagah aap bache ko nehla rahi hain wahan ka tempreture garam ho, paani halka garam karlain. Baby ko pani walay tub mein letane se pehle is ski eyes, ears ko bahir se aur nose ko andar se cotton se saaf kijye. Baby ke balon ke liye baby shampoo aur nehlane ke liye narm-o-mulaim sabun istemaal kijye. Iss ki Armpit , neck aur waist (kamar) ko ahtiaat se saaf karain. Aakhir mein fingers aur hands ko aaraam se saaf kijye. Bache ko nehlane ke baad achi tarah khushk karalen. Iss ke baad baby ko sardiyon ki munasbad se motay aur garam kapray pehnayain.

Sardiyon mein baahir nikalte waqt apne baby ko thand se mahfooz rakhne ka tareeqa:
Koshish karain keh jab aap baby key sath ghar se bahir jarahe hon to iss waqt bache ke kapray garam hon aur bacha gila na ho. Bache ko iss tarah se pack karain keh ise bahir ki thandi hawa na lage kiunkeh thand lagne se wo bimaar ho sakta hai. Iss liye baby ka khaas kheyaal rakhain.
Sardiyon mein baby ko dhoop mein le kar bathna:
Sardiyon mein baby ko dhoop mein le kar baithna is ki sehut par masbat asraat dalta hai. Dhoop se baby ko vitamin D milta hai jis se baby ki bones mazboot hoti hain aur baby ki nasho numa par acha asar parta hai.

Baby ke liye mother feed:
Baby ke liye mother feed bunyadi sehat bakhsh ghiza hai. Ager aap market ke khule milk ki jagha apna milk baby ko pilayin gi to aap ke baby ke liye behtar hoga. Mother’s milk mein kayi ghizai ijza mojood hote hai jo new born baby ki nasho numa ke liye lazmi hain. Sardiyon mein to yeh aur bhi ziadah zaroori ho jata hai kiun keh mother milk germs se pak hota hai jab keh khule milk mein germs mojood ho sakte hain. Mother’s milk baby ki behtar nasho numa mein madad karta hai. Mother’s milk garam hone ki wajah se baby ke jism ko bhi garam rakhta hai. Sardiyon ke mosam mein germs thandi hawa mein mojood hote hain jo aasani se kisi bhi insaan k eke jism main dakhil ho sakte hain. Yeh ahtiati tadabeer aap ke baby ki munasib daikh bhal mein madad kare gi chunkeh.

"Ehtiaat ilaj se behter hai".
No comments:
Post a Comment