LifetimeEarn

Wednesday, 18 November 2015

Balance Diet

Jis tarah kisi engine ko chalane ke liye energy ki zaroorat hoti hai bilkul isi tarah insane ko zinda rehne ke liye hawa, pani aur ghiza ki zaroorat hoti hai. Ghiza insane jisam mein energy ka kam sar anjam deti hai. Is ke beghair insane zinda nahi rah sakta. Yahi khuda ki sab se barhi ahmiyat hai. yon to to pait bharne ke liye ham kuch bhi kha kar guzara kar sakte hain lekin sehat ko bar qarar rakhne ke liye matwazan ghiza ki zarurat hoti hai. Hamare yahan motwazan ghiza (Balance diet) se murad har ghiz yeh murad nahi hai. Balance diet wo hoti hai. Jis mein wo tamam ijza paye jayain jis se insani sehat qayam rahe. Jismani nasho-o-numa jari rahe. Insane apne roz marrah ke kam beghair thakan ke anjam de sake aur jis ke istemaal se jism ko munasib moqdaar mein harart aur quwat mil sakey. Balance diet ke 6 ijza hain jo keh mandarjah zeil hai.

Protien:

Din raat mahnut karne ki wajah se hamare azlaat khalyon aur sharyanon mein mosalsal toot photo ka amal jari reta hai. Is toot photo ki marammat aur jism ki nash-o-numa ke liye hamain protein ki zaroorat parhti hai. Yeh hamare jism mein energy ka kam deti hai. Ismein Nitrogenous compound hote hain azlaat ko banne mein madad detey hain. Yeh jazu bafti nash-o-numa ke liye zaroori hai. Yeh hamain meat, eggs, fish, milk, pannier pea, pulse, flour, fruits aur vegetable se hasil hoti hai. Iska aik gm 4 harare quwat deta hai. Yeh hamari diet ka chata hissah hona chahiye.
Carbohydarates (Nishasta):

Jo khorak ham khate hain is mein se carbohydrates shakkar mein tabdeel ho kar blood mein shamil ho jata hai aur jigar mein ja kar mahfooz ho jata hai. Yeh jism mein hararat aur taqat paida karta hai. Nishasta har qisam ke anaj (crops) maslan wheat, rice, maiz waghairah aur iske elawa aalo, shkar qandi, khajoor, shahad, khubani, angur, gurh chini aur mithaiyon me se hasil kia ja sakta hai. Iska aik gm 4 harare paida karta hai. Yeh hamari khorak ka 3 hissah (parts) hona chahiye.
Fats:

Yeh aik taqat dene wali ghiza hai is mein wo tamam ghizayain shamil hain jis mein charbi hoti hai. Inn se jism mein Harare aur tawanai paida hoti hai. Yeh hamain haiwani aur nabatati zaraye se hasil hoti hia. Fats eggs, butter, pannier, Desi banaspati gee, mustered oil, palm oil, olive oil aur coconut oil se bhi hasil hoti hai. Iss ka aik gm 9 hararey paida karta hai. Fats ka zaroorat se ziada istemaal jism ko mota kar deta hai.
Mineral Salts:

Ghiza ka yeh juz azlaat mein lachak paida karta hai. Aur aasab (ragon aur nason) ko taqat bakhshta hai is mein shamil calcium ya chuna bone aur teeth ko mazboot karta hai. Iron blood ke surkh (red) zarrah banata hai. Sodium jism ke maya anasir ki paidaish karta hai. Aur potassium tamam jism ko sehat mand rakhta hai. Khane ka aam salt hamare jism ki tamam machinery ko chalane mein madad deta hai. Iss ki kami se baaz bimariyan paida hojati hain. Yeh ghiza ke tamam ijza mein mojood hai. Maslan vegetable, fruits waghairah mein lekin yeh milk aur dahi se bhi hasil hote hain.
Water:

Pani hamari ghiza ka lazmi jazu hai. Iske beghair zinda rehna mushkil hai yeh hamare jism ke wazan ka 70% hissa hai. Yeh ghiza ko hazam karne aur aaza ki safayi mein madad deta hai. Jism ke bekar maddah ke kharij hone mein madad deta hai. Har aadmi ko 24 hours mein taqreeban 2 litter pani pina chahiye. Tahum iska inhesar mosum (season) par hota hai garmion mein pani ziadah piya jata hai saaf aur jaraseem se paak pani pina chahiye. Boil pani behtar hai. Pani hamain aam pani ke elawa fruits aur vegetables se bhi hasil hota hai. Aur iski kami ko hum tea aur milk ki shakal mein bhi pura karte hain.
Vitamins:

Yeh khoraak ka buhat ahum aur quwat bakhsh jazu hai. Yeh jazu sehat ko barqarar rakhne aur jism ki nasho numa mein madad deta hai. Iski buhat si aqsaam hain, maslan A,B,C,D,E aur K waghaira jism ke system mein vitamin ka aik khaas kaam hota hai jo darj zeil hain.

No comments:

Post a Comment

Health Tips Viewers