LifetimeEarn

Wednesday, 18 November 2015

Beauty of Hands



Dilkash shakhsiyat ka daromadar khobsurat aur saaf suthre hathon par bhi hai. Gande hath aur maile nakhun rakhne wali khuwateen khuwa kitni he khobsurat kyun na hon un ke face ki khobsurti maand he rahegi. Jab tak ke wo hathon ko dilkash banane par tawajja na den, kyun ke hath he hain jo kisi bhi khatoon ki shakhsiyat ka image banate aur bigharte hain. Baaz khuwateen is muamle mein barhi khushqismat hoti hai ke wo paidaishi taur par khobsurat hath le kar paida hoti hain.



Lekin agar wo is khudadad atiye ki munasib dekh bhaal aur hifazat na karen to is khudadad atiye ki khobsurti khatam ho kar reh jati hai. Hathon ko bhi utni he tawajja aur nigehdasht ki zarorat hai, jitni aap ke face ko hai. Nigehdasht se hath behtar ho sakte hain. Haqiqat yeh hai ke hathon ki bhi zaban hoti hai, jo samne bethe shakhs ko mehsoor kar sakti hai. Lekin beshtar khuwateen jitni tawajja apne makeup aur libas par deti hain, us se aadhi tawajja bhi apne hathon par nahi deti. Agar aap apne hathon ko khobsurat banana chahti hain to mundarja zail tariqekar ikhteyar karen.



Lemon juice hathon ke liye behad mufeed hai. Lemon juice hathon, kohni, aur pao ki aerhi par musalsal lagate rehne se jild na sirf naram, bal ke rang bhi nikhar jata hai.



Dhoop mein jate waqt hathon mein gloves pehanne chahiye, kyun ke sooraj kit apish bohat jald hathon ki jild ko jhulsa deti hai.



Ghusal karte waqt jis soap se body wash karen, usi soap se hathon ki kalaiyon aur hathon ko khob achi tarah wash karen, lekin bartan wash karte waqt koshish karen, ke aap rubber gloves pehan kiya karen. Kyun ke bartano ka mail kuchel aur chiknahat hathon ki jils ko kharab kar deta hai. Apne pas koi oisturizer rakhiye, jo hathon ko numm aalod rakhe. Agar aap kitchen mein kaam kar rahi hain to us moisturizer ki kuch miqdar kitchen mein kisi numyan jagah par rakh len, ta ke hasb e zarorat aap ise apne hathon par laga saken. Agar kisi office mein kaam karti hain, to apni table ki drawer mein moisturizer rakh len aur jab bhi zarorat mehsoos ho to forum laga len. Khas taur par kitchen mein kaam karne ke bad ghusal ke bad ya pahir office mein 2, 3 hours ke bad oisturizer laga kar hathon ko numm rakhna mufeed hota hai. Agar aap koi moisturizing cream lagati hai to phir us cream ka massage kalaai se 4 inch oper tak karen, kyun ke kalaai ke us hisse par lines parh jati hain. Jo amoman khushk hone ka baiys banti hai.

Hathon Ki Dilkashi




Hathon ki dilkashi mein aeham hissa nails ka hai. Nails 1 mm weekly barhte hain, is liye nails ko khobsurat aur purkashish banana bohat aasaan hai. Kyun ke agar nails toot jae ya nails ka design ya shape badalana chahe, to aap chand din intezar ke bad hasb e mansha nails bana sakti hain. Yun to nails har week he barhte hain, lekin khoon ki kami, sakht qisam ki dieting, bemari aur zehni dabao nails barhne ki rafter ko mutassir karte hain. Hath us waqt tak khobsurat nazar nahi aa sakte, jab tak ungliyon par purkashish nails nah on. Nails ke liye yehi zarori nahi hai ke wo lambe hon. Khobsurti se tarashe gae hon, bal key eh bhi zarori hai ke saaf suthre hon.



Nails 15 din bad katne chahiye, kyun ke is arsey mein nails itne barh jate hain ke aap hasb e mansha in ko kaat saken. Baaz khuwateen ko yeh aadat hoti hai ke wo waqtan fawaqtan apne nails ko daanton se kat’ti rehti hain. Aesi khuwateen ke nails kabhi lambe nahi ho pate, kyun ke jon he nail barhta hai, yeh daanton se use kaat leti hain. Aesi khuwateen artificial nails laga kar apna shauq pora kar leti hain. Magar artificial nails lagana aasaan kaam nahi hai, kyun ke artificial nails ke sath koi kaam nahi kiya ja sakta hai. Maslan aap phone karne ke liye dial nahi ghuma sakti, type nahi kar sakti, is ke bar aks real nails khuwa chote ho ya barhe, is tarah ke masail paida nahi karte aur aap sare kaam apne baa aasani se kar sakti hain.



Hathon ki khobsurti aur silkashi mehfil mein har kisi ko aap ki taraf mutawajja kar sakti hain. Real nails par lagi hui nail polish ki apni aik munfarid hesiyat hoti hai aur is mein ziyada nikhaar paida hota hai. Mulaim aur white rangat ke hamil hath qudrat ka atiya hote hain, lekin in ki nigehdaasht aur hifazat aap ki zimmedari hai. Kalaiyon mein libas ki munasbat se pehni hui choriyan aur angothiyan bhi hathon mein dilkashi mein izafa karti hain.

Care of Hands




Hathon ko haseen o khobsurat rakhne ke liye chand tariqe darj zail hain. Agar aap ke hathon par khushki maujood hai to 4 toley chambeli ka oil, 2 toley glycerin aur 3 toley roghan e kaddo le kar bottle mein rakh len aur mou hath dho kar subha sham hathon par is ki halki halki malish kar len. Hathon ki khushki door ho jaegi.



Agar aap hathon ko safaid o naram banana chahte hain to hathon par thori se cheeni aur lemon ka arq mila kar lagae. Is se hath safaid aur naram ho jaenge.




Aap ke nakhun par agar wahite dhabbe maujood hain to fikar ki koi baat nahi hai. Aik piyala doodh mein 1 spoon lemon juice mila kar nails par lagae aur doodh ke istemal se sath sath calcium ki tablets bhi use karen. Nails par se whiteness khatam ho jaegi.



Agar aap ke nails kamzori ki wajah se toot jate hain, to aik glass neem garam pani mein 1 spoon Jilin milae aur phir is mein 1 fresh lemon nichore kar garam garam pee jae.



Hathon ki ungliyan siyah ho to doodh aur arq e gulab mila kar hathon par daily malish karen. Half cup doodh, 1 barha spoon arq e gulab, chand drops lemon, yeh teeno chezen mila kar hathon par mailsh kiya karen. Aadhe ghante ke bad hath dho dalen. Chand dino mein aap ke hathon ki siyah ungliyan safaid ho jaengi.



Hathon ki ungliyan, hathon ka style aur nails kisi bhi fard ki samaji halat is ka tarz e zindagi aur is ki shakhsiyat se pardah uthate hain. Misaal ke taur par ziyada mehnat karne wal;e logon ke hath amoman sakht aur khurdure hote hain. Kaprhe dhone, bartan dhone, jharo dene ya is qisam ke koi aur kaam jis mein hathon se sakht mehnat talab kaam liya jata ho, aise hath sakht hote hain aur in par gosht kam hota hai. Jab ke aesi khuwateen jo is qisam ke kaam na karti hon. Un ke hath naram o gadaz hote hain.



Hathon ki zabaan nahi hoti hai, magar phir bhi yeh bolte hain. Kisi bhi mehfil mein khobsurat hath rakhne wali khuwateen bohat jald tawajja hasil kar leti hain. Hath kisi bhi khatoon yam rd ki umer napne ka sahi paimana hain. Kyun ke face par makeuop kar ke umer chupai ja sakti hain. Lekin hathon aur kalaiyon ki jhurriyon ko nahi chupaya ja sakta. Duniya bhar ke aalaat aur exercises bhi hathon ki jhurriyan aur khobsurti ko wapis nahi la sakte. Is liye apne hathon ki hifazat aur nigehdaasht kijiye, ta ke aap ke hath aap ko waqt se pehle borha zahir na karen. Kya aap jante haib ke hath jinsi kashish bhi rakhte hain. Shayad aap ko yeh baat maloom nah on. Lekin haqiqat yeh hai ke maghrabi duniya mein is mauzoo par kafi likha gaya hai, ke hathon mein jinsi kashish aur dosron ko apni taraf mutawajja karne ki salahiyat paai jati hai. Is liye bilkhusoos khuwateen ko in ki taraf khusosi tawajja dene ki zarorat hai.

Beautiful Nails




Khobsurat aur dilkash hath shakhsiyat nikharte hain. Saaf suthre gadaz hathon ki makhroti ungliyon par agar na munasib tarash kharash ke sath nail bhi hon to is se dilkashi mein dugna izafa ho jata hai. Is liye aaj kal khuwateen nakhun ki safai aur khobsurti par khusosi tawajja deti hain. Nails ki tarash kharakh aur in ki safai kar ke in ko khobsurat banane ke liye zail baton par amal kiya jae.



Agar nails par nail polish lagi hai to sab se pehle wo achi tarah saaf karen.



Ab nails ko soap mile garam pani mein dibo dijiye ayr 4 se 5 minute tak nail;s pani mein diboe rakhen. Is tarah nails totne se mehfooz rehte hain.



Agar aap ke nails be tuke andaaz se barh gae hain, to nail cutter se cut kar lijiye. Tamam nails ki lambai aur design aik jaise honi chahiye.



Nails ka design ya style nail ki noke se ufqi andaaz mein kat’te hue darmiyan tak is tarah laiye ke dono atraaf 45 degree ka zawiya banta nazar aae. Chon ke nails ke atraaf ke kinare kamzor aur nazuk hote hain. Is liye nails ko darmiyan se katna shuru karen. Nakhun ko kabhi bhi nokdar na banae, kyun ke is style ke nakhun ka kamzor hissa bohat jald toot jata hai. Nakhun khare kate ya filer se ghis kar hamesha narmi aur aahistegi se is tarah kate ke nakhun par ziyada dabao na parhe.



Nails chipkane wala lotion le kar nakhun ke atraaf ke kinaron par lagaiye. Is se nakhun totne se bach jate hain. Nails saal karne ke liye nail ke andar ki taraf nail saaf karne ke lotion ki aik the jamaiye, jab the sookh jae to phir dosri the jamaiye.



Nails mazboot karne ka lotion lagaiye. Lotion lagate waqt yeh khayal rahe ke ise kabhi nails ki noke se lagana na shuru karen. Nails ki saaf suthrai ke bad apne favorite color ki nail polish laaiye aur taqriban aadhe ghnate tak hathon ki ungliyon se koi aisa kaam na len, jis se nails par lagi hui nail polish aur dosre lotion utarne lagen.



Aap ko apne nails ki dilkashi aur khobsurti barqar rakhne ke liye apne roz marra mamool mein thora sa radd e badal karna parhega. Misaal ke taur par aap apne aap ko yeh karne par kamiyab ho jae ke jaise aap ne abhi abhi nail polish lagai hai aur geeli bhi hai. Is ke ilawa agar aap apne nails ki khobsurti ke liye foreign Countries ke tayyar karda aalaat use karen to bohat mufeed hai. Yeh aalaat market mein aasani se dastiyab hain.

Use of Henna




Gore gore mehandi rache hath apne andar bepanah dilkashi aur jazbiyat rakhte hain. Qadeem Singar Shastra ke mutabiq aurat ke singhar ko us waqt tak mukammal nahi samjha jata tha, jab tak ke is ke hathon mein mehandi na rachi ho. Mehandi lagan eke silsile mein nat nae jiddatein ki jati thin. Hatheliyon aur ungliyon par mehandi se phool aur challe banae jate the. Mehandi ka istemal bhi aik lihaz se mufeed tibbi formula hai, yeh hamare experts jamaliyat ke ilawa doctor hazrat ne bhi tasleem kiya hai. Mehandi ka use garmi ke mausam mein ziyada munasib aur mauzoo rehta hai.



Baaz qadeem atba ke is khayal ki tasdeeq aaj ke daur mein ho chuki hai, ke mehandi “ Zabt Wiladat ” ke silsile mein kafi mufeed sabit hui hai. Agarcha aaj kal aam zindagi mein mehandi lagane ka riwaj kam ho gaya hai, tahum shadi biyah ke mauqe par ya Eid ke dino mein dulhan aur aurtein, amoman kunwari ladkiyan khusosiyat ke sath mehandi use karti hain. Is se dulhan ki masomiyat aur dosheezgi mein aik nikhaar paida hota hai aur husun o jamal mein aik khobsurat izafa bhi.

No comments:

Post a Comment

Health Tips Viewers