Wednesday, 18 November 2015
Jild ki hifazat ke liye
Jild ki hifazat ke liye jild ki safai be had zarori hai. Yeh aik bunyadi ussol hai ke jild ki umer bhurape ka ehsaas dilati hai. Bazaar jild ki hifazat o safai, nami o tazgi mein aeham role adaa karta hai. In ashiya ka mukhtasir tarruf zail mein karwaya ja raha hai.
Face Facial In Urdu: Face ki safai ke liye cream se massage kar ke bhaap li jati hai. Yeh aap ke face ki skin ko mulaiym kar ke masamaat se mail kuchel nikaal lata hai aur face ki safai ke is amal ko facial kaha jata hai.
Use of Cleanser In Urdu: Yeh aik lotion hota hai jo makeup utarne ke liye istemal kiya jata hai. Yeh aap ki jild mein chupe hue mail tak ko nikaal leta hai aur face saaf kar deta hai. Lekin yeh sirf week mein 2 baar istemal karna chahiye. Warna yeh nuqsan dey bhi ho akta hai. Behtareen cleanser wo hota hai jo ke oil se pak ho.
Use of Toner In Urdu: Fori taur par cleanser ki hui skin ko kisi aesi chez ki zarorat hoti hai jo use mulaim, naram, zinda aur tar o taa zahir kare aur face par se cleansers ke nishanat saaf kar de. Yeh chez toner hai. Yeh sawal yahan nahi paida hota hai ke skin ke liye kab toner use kiya jae, bal ke yeh sawal hai ke kis tarz ka toner use kiya jae aur yeh ke toner abstergent wahera ki safaai mein kya farq hai. Yeh sab dar haqiqat toner he hote hain aur skin ko freshness bakhshte hain. Is ke darmiyan alcohol aur pani ki miqdar ka farq hota hai.
Use of Skin Fresheners In Urdu: Is ke andar pani aur kuch alcohol shamil hota hai. Yeh sab se halke qisam ke toner hote hain aur cleansers ke zarrat ko skin se saaf karte hain. Kuch fresheners aise bhi hote hain, jin ke andar jalan paida karne wale ajzaa bhi shamil hote hain. Is mein aam taur par sugar, khushbo aur arq e gulab shamil hota hai.
Use of Abstergent In Urdu: Yeh aik aisa maaye hai jo jild ke androni teh tak pohanch kar gandagi, mail kuchel nikalta hai aur face ke andar zaiyd oil se jild ko nijaat dilata hai. Ise cleansing ke bad he lagaya jata hai. Is mein alcohol shail hoti hai jo ke bacteria ke khatme aur jild ke liye mufeed hota hai. Chiknahat ke nagawar ehsaas ko khatam karne ke liye aap ise use kar sakte hain.
Use of Glycerin Lotion In Urdu: Yeh toner ki sab se taqatwar qisam hai. Is ke andar pani ki nisbat alcohol ki miqdar ziyada hoti hai aur dosre chemicals kaseer miqdar mein hote hain, jo jild ki beroni satah ko saaf karte hain.
Use of Moisturizer In Urdu: Aesi skin masaiyl nahi paida karti aur aesi skin jo mukhtalif alnoo masaiyl ka shikar rehti hai, dono ke liye name be had zarori hai. Magar yeh na khayal karen ke moisturizer jild ko name farahum karta hai, jaisa ke in ke naam se tassur milta hai. Aisa hargiz nahi hai. Aik moisturizer ka asal maqsad jild ko izafi hifazat farahum karna hai. Yeh jild mein pehle se maujood name ko barqarar rakhta hai. Beshak moisturizer ke andar aabi ajzaa jild ki opri satah ko num zahir karte hain. Magar sahi maeyno mein jild ko numm karne ka kaam is ki andromi the mein hota rehta hai. Jahan kisi bhi qisam ke moisturizer ke dakhil hone ka imkaan nahi hai. Aik acha moisturizer beroni satah par thehar jata hai, ta ke masamon ke zariye andar tak uter jae. Jitna zaiyada kisi moisturizer mein oil hoga, utna he wo qudrati numi ko jild par qaiym rehne mein madad dega.
Agar aap ki jild be had oily hai to aap ka intekhab aisa moisturizer ho jis mein pani ka tanasub oil se ziyada ho. Yeh halka aur kam chikna hoga. Yaad rakhen ke agar aap oil se ijtenab karna chahti hain to kisi bhi qisam ka oil waghera aap ke liye muzir hai. Agar aap ki jild ke liye sahi moisturizer ka intekhab nahi karengi to aap ki jild ki sahi nashonuma nahi ho paegi. Natijatan aap ka make up aap ke face par ziyada arsey tak nahi charh paega. Make up ke rang ka skin par tabdeel ho jana bhi skin ki kharabi ki nishani hai. Asal masla aap ke make up ke nahi, bal ke fikar ki baat yeh hai ke aap ne apni jild ke liye ghalat moisturizer ka intekhab kiya hai. Agar mundarja bala alamaat mein se koi zahir ho to kisi aur moisturizer ko istemal karen.
Use of Ubtan In Urdu: Khuwateen mein ubtan ka use aaj kal aam hai, lekin slowly slowly rub kar ke face ko saaf kijiye. Aap ki jild bhi sakhti ko mehsoos karti hai. Is liye is ke nazuk ehsasaat ka khayal bhi rakhiye. Is qisam ke face saaf karne wale ubtan aap hafte mein 2 baar use karen.
Use of Night Cream In Urdu : Sone se qabal is tarz ki cream lagai jati hai, ta ke dauran e nend jild naram rahe. Face wash kar ke night cream ko lagae aur kuch dair tak laga rehne den. Bad mein jab aap sone ke liye bister ki taraf jane lagen to cream ko cotton ki madad se thora saaf kar len, lekin khayal rahe ke raghar na lage, warna face par lakeeren numayan ho jaengi.
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment