Teeth In Urdu - Daant
Shakal o soorat, khad o khaal par daanton ki maujodgi hona ya na hone ka bohat barha asar parhta hai. Face ka wo bezwi naqsha jis par face ki khobsurti aur khushnumai ka inehsar hai, bohat kuch mou aur thori ke tanasub se tashkeel pazeer hota hai. Mou aur thorhi ka yeh tanasub roots ki khush numai aur chezon ki shaan danton ki umdah tarteeb se ibarat hai. Mou ka saancha kaisa he haseen ho, yeh sara husun daanton ki bad rangi, beqaiydegi ya aik ya do daant ukhar jane se zaiyl ho jata hai. Agar mou mein pore daant na hon to jabrhen sukhar jate hain. Jis se jabrhe ka zeeren hissa pichka pichka sa maloom hota hai.
Aik American musannif ka qaul hai, ke koi aurat bad shakal nahi kahi ja sakti, agar us ke daant khobsurat hain, magar yeh bhi yaad rakhna chahiye ke dandan saaz toote hue daanton ki jagah nihayat khobsurat daant laga dete hain. Jo qudrati daanton ka bakhobi tamam muqabla kar sakte hain.
Beauty of Teeth In Urdu
Khobsurat daant insane jism ka aeham tareen hissa hain. Daanton ki badaulat na sirf face ki ronaq dobala hoti hai, bal ke zindagi bhi aasan aur pur sukoon guzarti hai. Yun bazahir yeh aik aesi daulat hai, jis ki qadar bohat kam log karte hain, lekin in ki qadar us waqt hoti hai, jab burhape ya daanton ki kisi bemari ke baiys daant baqi nahi rehte.
Daanton ki hifazat aur dekh bhaal roz marra ki zaroriyat e zindagi mein shamil hai. Din mein kam az kam 2 martaba brush kar ke daanton ki safai zarori hai aur gums ka massage, gums ki bemari se door rakhne ke liye kis qadar aehmiyat rakhta hai. Is ke ilawa agar saans badbodar aati ho to maouth wash se saans ki badbo ko door kiya ja sakta hai.
Saal bhar mein 2 martaba kisi bhi mahir dandansaaz se daanton ka checkup karwana bhi sehat o tandurusti barqarar rakhne ke liye zarori hai. Badbodar saans ki kae wajohaat ho sakti hain. Is mein daanton ke darmiyan ghiza ka reh jana aur phir ghizaai zarrat ke sarhne ki wajah se bhi badbodar saans paida ho jati hai. Isi liye daanton ke Doctor din mein 2 mataba brush kar ke daant saaf karne par zoor dete hain. Isi tarah piyaz aur kehsun ke khan eke bad bhi mou badbodar ho jata hai aur yeh badbo saans mein shamil ho kar na gawar tassur chrti hai. Is badbo se nijaat pane ke liye zarori hai ke jald az jald brush kar len. Agar mumkin ho to kisi ache mouth wash se gharare klar len ya pahir pani mein chand drops chlorophyll daal kar is se kulliyan karen. Lekin agar mou ki badbo aap ke liye mustaqil dard sir ka roop dhaar gai hai to aap ko chahiye ke forun kisi Doctor se rujoo karen, kyun ke mahir dentist he aap ke daanton mein paida shuda infection ko door kar sakte hain. Agar in wajohaat mein se koi wajah mou ki badboo kin a ho gi, to experts yeh mashwara denge ke aap apne Doctor se tabai muaaina karwae. Kyun ke badbodar saans na aane ki wajah daanton ki koi bemari nahi, bal ke jismani bemari bhi ho sakti hai.
Sehatmand daant khobsurti aur kashish mein izafa karte hain. Dekhne walon par pehla tassur muskurahat ka he parhta hai. Muskurane mein daant sab se pehle nazar aate hain. Agar daant khobsurat, white aur shiny nah on to haseen face ki sari dilkashi, sara husun maand parh jata hai. Is liye agar aap ke daant khobsurat nahi hain, to yeh khayal ghalib nazar aata hai ke aap hatta ul imkaan muskurane se gurez karen. Jis se dosre log aap ko afsurdah aur gher mutamiyn nez maghroor samajhte honge. Wo khuwateen jin ke daant yeloow aur tote phote hote hain, apni private life mein bhi barhi khush mizaaj aur zinda dil hoti hain, magar in ki yeh zinda dili sirf un logon tak mehdood rehti hai, jo in ke har waqt ke sathi hote hain aur jin ke saamne khilkhilate waqt inhe yeh ehsaas nahi hota ke wo bure lag rahe hain. Koi bemari ya koi pareshani aesi nahi hai, jis ka ilaaj mumkin na ho. Daanton ki bemari aur in ki badsurti ko khobsurti mein badalne ke tariqe bhi manzar aam par aa chuke hain, is liye wo khuwateen jo apni muskurahat chupa kar rakhne par majboor hain, wo ab ba aasani apne daanton ki numaiysh kar sakti hain.
Teeth and Health In Urdu
Kisi ne kya khob kaha hai ke insane zindagi ke aadhi museebtein aur bemariyan umdah daanton ke na hone sehua karti hain. Khalis tandurusti ka tassawur bhi nahi kiya ja sakta. Agar daant sarhe hue, karam khurdah ya 2, 4 gums se nadir hon. Ghiza ko achi tarah na chabana, bad hazmi ka sab se barha sabab hai aur is ki badaulat bohat si shaded bemariyan jaan leva ho jati hain. Yeh baat tajurbey se bakhobi sabit ho chuki hai. Ke jab tak ghiza maide mein pohanchne se pehle achi tarah chabai nahi jati, wo kabhihazam hone ke qabil nahi hoti hai. Daanton ke aik famous surgeon ka kehna hai ke hazme ki ibteda mou se hoti hai, magar aksar log is bhed se na aashna hain. Jab hum khayal karte hain ke ghiza loaab dehan ke sath milna aik zarori fail hai. Jo chabate waqt zahoor ho jata hai. To aap se aap wazeh ho jata hai ke hamari ghiza mein chemically changing thok se paida hoti hai. Jo ghiza ko maide ki ratobat mein mila kar hazam hone ke qabil banata hai. Agar mou mein daant nah on to ghiza thok ke sath khob lat pat nahi ho sakti ya jab ghiza bagher chabae, khuwa shauqiya ya ba zarorat halaq se niche uteri jati hai to aesi ghalti karne wale shakhs roz bar oz peela aur zard hota chala jata hai.
Teeth ka Girna In Urdu
Teeth kyuin kharab ho kar gir jate hain ??? is ka jawab yeh hai ke daant intezam qudrat ke mutabiq kabhi kharab nahi hote, bal ke insane ko apni ghaltiyon ka khamyaza bhugatna parhta hai. Yeh kamzori qudrat ki janib mansookh nahi ki ja sakti. Us ne har fard bashar ke daant tamam umer qaiym rehne ke liye banae hain.
Chabane wale aalaat ko sab se ziyada nuqsan acid pohchata hai. Aur daant ke enamel anemia ko kha jate hain. Acid ki tareef mein pickle, spices, vinegar, tursh dry fuits aur tursh chezen shamil hain. Khaam dry fruits ke acid daanton ke haq mein qatil hain. Aksar daanton ke manjun, inhe mazboot karne ki bajae ulta nuqsan pohchate hain aur in ki halakat aur kharabi ka aik zabardast zariya ban jate hain. Yeh khusosan wo murakkabat hain jo daanton ko aan wahid mein saaf karte hain, is liye ke in ki tarkeeb mein chemical acid, phitkari, saral, taar aur dosri chezen shamil hoti hain. Jo kam o besh daanton ke enamel anemia ko nuqsan pohchati hain.
Strongest Teeth In Urdu
Teeth ki hifazat ka sab se barh zariya yeh hai ke wo hatta ul muqaddar khob saaf rakhen jae, agar log jab bhi khae daanton ko achi tarah saaf kar lia karen to daanton ki saakhton ki dukane band ho jane ka qaumi imkaan hain. Lekin chunache karobar masrofiyat aur dosri uljhane in par baqaiydegi ke sath amal dar aamad karne mein mamool honi chahiye. Is liye kam se kam itna zarori khayal rakhna chahiye ke daant subha o shaam zaroor saaf rakhen.
Khusosi sote waqt daanton mein ghiza ka koi zarra na reh jae. Is liye ke ghiza ke chote chote zarre mou ki garmi aur ratobat se mulaim ho kar khameer ki kefiyat paida kar dete hain. Aur acid mein tabdeel ho kar daanton ke enamel anemia ko nuqsan pohchate hain. Manjan ke mutabiq yeh ke ise use karne ki koi zarorat nahi, kyun ke thore arsey bad kam o besh nuqsan pohchane lagte hain. Mamooli halaat mein sada sabun aur pani sab se behtar manjan hain. Lekin bad naseebi yeh hai ke bohat se log mamooli aur kam qeemat chez ki qadar nahi karte.
Daanton ko saaf karne ke liye koyla se behtar koi chez nahi, yeh gharelo manjan apne asar ke aitebar se koi nuqsan nahi pohchata. Aur is ke 4, 5 dafa karne se daant moti ki tarah chamakne lagte hain. Daanton ke liye sakht brush use karne mein aehtiyat barti jae. Kyun ke sakht brush se gums ka gosht daanton se alag ho jata hai. Daant ka wo hissa jo gums ki hifazat mein rehna chahta tha, wo khula rehne se badbodar parh jata hai.
Jo log apne daanton ko arsey daraz tak qaiym rakhna chahte hain, inhe ziyada sard ya ziyada garam chezen nahi kahnai chahiye. Be aitedali enamel anemia ko sakht nuqsan pohchata hai. Dosri hidayat yehhai ke tamam tursh chezon se parhez karna chahiye. Aur kache phal kam use karne chahiye. Daanton se sarote ka kaam na len. Naujawano mein yeh aehmaqana aadat bohat hoti hai, jis se in ke daanton ko sakht nuqsan pohanchta hai.
Teeth par Massi ka Istemal
Kya aap muskurate hain ??? to phir kya ho ke agar muskurate waqt bijli si chamak kar logon ko aap ke daanton ki tareef karne par majboor kar de ??? qadeem zamane mein singhar karte waqt daanton ko faramosh nahi kiya jata tha. White sehatmand barabar aur chamkile daant he khobsurat keh lae jane ke mustehiq samjhe jate hain. Daanton ki in khusosiyat ko qaiym rakhne ke liye experts jamaliyat ne daanton par massi malne ko mufeed qarar diya hai aur is silsile mein tarah tarah ki khushbodar massi banane ke tariqe darj kiye gae hain. Maujoda daur mein massi malne ka riwaj nahi hai, bal ke massi male hue daanton ko qatai taur par pasandeeda nigahon se nahi dekha jata. Is mein koi shukk nahi ke massi malne se daant chamakdar lagte hain. Yun to daant saaf rakhne ke liye scientific research ne bohat se nuskhe tajveez kiye hain. Aam taur par daanton ki safai ke liye brush aur tooth paste use kiya jata hai. Aap ko is silsile mein 2, 3 baton ka khas khayal rakhna chahiye. Awwal to yeh hai ke brush naram ho aur is ke reshon ki noke oper se mukammal taur par golaai mein ho. Ta ke aap ke daanton aur gums ko nuqsan pohanchne ka aehtemal na ho sake. Dosre brush hamesha saaf suthra ho aur teesre tooth paste ya tooth powder asa ho ke jo aap ke daanton ko white aur chamakdar banane ke hamrah aap ke gums ki taqat bahaal rakhte hue inhe mazeed sehatmand banata hai.
Baaz logon ke daant zarorat se ziyada barhe aur na hamwar hote hain. Yeh sab bachpan he se khayal rakhna chahiye aur is silsile mein apne daanton ke Doctor se zaroor mashwara lena chahiye. Baaz logon ke daanton par in ki be parwai ki wajah se zard ya siyah qisam ke dhabbe parh jate hain, jo ke dekhne mein intehai badnuma dikhai dete hain. Agar aap ke daanton par bhi is qisam ka koi dhabba maujood hai aur bawajood koshish ke door nahi hota to aap in par 2, 3 drops hydrogen per oxide laga kar apni ungli se 2, 4 martaba achi tarah mal len. Umeed hai ke dhabbe forun door ho jaenge aur aap ke daant chamkeele aur white dikhai denge. Agar aisa aik baar mein na ho to yeh amal 2, 3 baar dohraya jae…
No comments:
Post a Comment