Keel Muhase Ka Ilaj In Urdu:
keel muhase (Acne Pimples) ki ibteda zair e jild chiknaai paida karne wale ghudood mein hoti hai. Jo skin par maujood baalon ke sath sath hote hain. In ka kaam skin aur hairs ko qudrati chiknaai farahum kar ke in ki hifazat karna hota hai. Baloghat tak yeh ghudood taqriban be amal rehte hain. Baloghat ke aaghaz par hormone ke zair e asar in ke amal mein tezi aa jati hai, jis ke natije mein faca ki skin khaas taur par naak ke atraaf ka hissa ziyada chikna nazar aata hai. Ziyada chiknaai paida hone ki wajah se jild par chiknaai aur murdah khulliyon ki teh si jumm jati hai aur masaam taqriban band ho jate hain. Skin ki opri satah par gehre kaaley rung ke nuqtey ya ubhaar se numayan hote hain, jinhe Keel kehte hain. Research se pata chala hai ke mahason ka aik sabab aik qisam ka jarsooma Acne hai, jo mahasey ke patient ka towel, soap istemal karne se dosre ko lag jate hain. Jazbati dabao aksar mahason ki shiddat mein izafa karta hai. Aksar naujawano mein imtehanaat ke qareeb ya kisi gher mamooli waqey ke radd e amal ke natije mein mahason ka zorr ho jata hai. Aksar ladkiyon mein menstrual problem se pehle keel muhase (Acne Pimples) pakarte hain. Is ki wajah darsal mukhtalif hormones ka aapas mein amal aur radd e amal hota hai. Ziyada meethi aur chiknaai wali, mirch masaledar ghiza ka istemal keel muhase (Acne Pimples) ki shiddat mein izafa karta hai. Constipation bhi is ko barhne mein madad de sakta hai. Baaz amraaz ke natije mein bhi yeh takleef paida ho jati hai, maslan gums mein peep ki maujodgi, naak ke ghudood ka matoram rehna, galey mein tonsils ki sozish aur khoon ka saaf na hona.Aksar cosmetics bhi keel muhase (Acne Pimples) ki shiddat mein izafey ka sabab banti hain, maslan cleanser, moisturizer waghera ka bunyadi juzz koi na koi roghan hota hai. Jis se mahason ki shiddat mein izafa ho jata hai. Baaz cosmetics ki wajah se skin par Acne Pimples ke daag, dhabbe reh jane ka imkaan barh jata hai. Is liye aaraish husun ki ashiya yani cosmetic ka istemal soch samajh kar karna chahiye. keel muhase (Acne Pimples) ko daba kar nikaalna nahi chahiye. Jahan tak mumkin ho unhe chone se bhi parhaiz karna chahiye. In ka sahi ilaj koi muaalij he bata sakta hai. Ho sakta hai mahason ki noiyat aesi ho ke jarahi ke zariye se Acne Pimples ka mawaad nikaal kar inhe saaf karna parhe. Khud kisi cheez ki madad se ( Maslan chaid kar ke ) inhe saaf karne ki koshish hargiz nahi karni chahiye. Is tarah mahasey khatam nahi hote, bal ke daag dhabbe parh jate hain, naiz in ki shiddat mein bhi izafa ho jata hai.Agar aehtiyat aur parhaiz kiya jae to aam taur par mahasey khud he khatam ho jate hain. Ladkiyon mein 13 se 18 saal ki umar mein aur ladkon mein sun e baloghat mein keel muhase (Acne Pimples) shiddat par hote hain. Us dauran kabhi in ki shiddat mein izafa ho jata hai aur kabhi kami phir aahista aahista in ka zor kam ho jata hai. Yeh taqriban 20 saal ki umar mein kam ho jate hain. Albatta bad aehtiyati ke natije mein face par daag aur dhabbey chor jate hain. Ehtiyat aur Parhaiz : Face ko din mein kam az kam do teen martaba wash karen. Lekin ise hargiz na rub karen. Face par aise utaai laip, aaraaish husun ke liye istemal hone wale lotion, mask ya cleanser waghera na lagae jae, jin mein roghni ajzaa ki aamezish hoti hai. Mirch masalehdar roghni ashiya, mithaas, chocolate, coffee, cola, mashrobaat, bakery ki bani hui ashiya waghera se parhaiz karen.Bharpor neend len, kam az kam 8 hours zaroor soey. Digestion ka khayal rakhen, khusosan qabz na hone diya jae. Ladkiyon ko ayyam sahi tariqe se aane chahiye. Zehni heejaan paida karne wali books, afsaano, tasaweer aur films se bachna chahiye. Gums mein peep ho, tonsils hon ya naak matoram rehti ho to us ka bhi ilaj karwana chahiye. Exercise bhi karni chahiye jo ladkiyon aur ladkon dono he ke liye mufeed hai. Lekin exercise halki honi chahiye. Taa ke ziyada pasina na aae. Kyun ke ziyada pasina bhi Acne Pimples mein izafa karta hai. Taiz dhoop se guraiz karna chahiye. Sabziyan, tarkariyan, taza russdaar phal, chilke wali dalein aur bhosi wale aatey ka istemal bohat mufeed hota hai.keel muhase (Acne Pimples) ko na phoren, na daba kar mawaad nikaalne ki koshish karen. Sabar o tahammul aur mustaqil mizaji se ilaj karte rehne se bil aakhir aahista aahista keel muhase (Acne Pimples) khatam ho jate hain. Ilaj : Shabaab ki aamad ke sath sath aane wale is marz ka ilaj sabar aazma aur diqqat talb hota hai aur barhi yaksooi aur tawajja ke sath ilaj ki zaroorat hoti hai, jis ke liye doctor se mashwara karna bohat zaroori hota hai. Kyun ke keel muhase aik baar thek ho kar dobara bhi ho sakte hain, bel ke yeh shikayat mustaqil taur par aap ki jild ko kharab kar sakti hai. Agar mustaqil mizaji se sahi ilaj barwaqt kar liya jae to marz par qaboo paya ja sakta hai. Ibteda mein masfi khoon medicines ka istemal kiya jaye to us se bhi marz mein kami waqey ho sakti hai, lekin parhaiz laazim hai.
x
No comments:
Post a Comment