Thursday 19 November 2015
Benifits Of Grapes
Qudrat ne in phalon mein aise hayatyati johar aur shafa bakhshi key kamalat samo diye hain keh insani aqal hairan rah jati hai, in hi phalon mein aik grape bhi hai.
Grape ka aabayi watan France, French traders key zariye puri dunya mein pheila. Grapes tazah aur khushk donon
halation mein istemaal kia jata hai. Munaqqa, unab aur kishmish angoor ki hi mukhtalif aqsam ko khushk kar key banaye jate hain. Is tarah in ki ghizaiyat mein kami key bajaye izafah hota hai. In ki tibbi afadyat ko medical science bhi taslim karti hai.
Angoor aik nehayat khush zaiqah phal hai jis ki buhat si aqsam hain, in mein surkh kale sabz aur begair beej key angoor ziadah maroof hain. Angoor lazeez hone key sath ghizayi fawaid se mala mal hain. In mein calcium, protein, phosphorus folad , vitamin C, A aur B6, glucose, potassium, magnesium sodium aur fiber paye jate hain.
1-Angoor ka istemaal quwat mudafyat mein izafah kar key mukhtalif bimaryon se bachata hai.
2-Tibbi mahereen asthma key marizon ko angoor ka istemaal karne ka mashwarah dete hain. Taseer sard hone ki wajah se purane nazlah key mareezon ko ise ahtiyat se istemaal karne ki hidayat di jati hai.
3- Is mein mojod vitamin A kamzor basarat ko quwat bakhshta hai.
4-Angoor mein mojood folad khoon ki kami ko poora karta hai. Khoon ki kami mein is ka istemaal intehayi mufeed sabit hota hai, is liye hamlah(pregnant) khawateen ko angoor key istemaal ka mashwarah dia jata hai.
5-Black grapes mein cancer aur tumor key khelaf larne wale ijza paye jate hain, khasoosan chest cancer mein in ka istemaal mufeed hota hai.
6-Dil ki takaleef mein angoor ka istemal intehayi behtareen sabit hua hai. Yeh cholesterol nahi barhne deta aur khoon ko garha hone se rokta hai. Isi tarah yeh dil key dore key khatre ko bhi kam karta hai.
7-Dard shaqiqah yani aadhe sar key dard mein bhi angoor ka istemaal shafa bakhsh hai. Is mein mojood glucose jism ko fori tawanayi farahum kar key susti ko door karta hai.
8-Inhezzam ko theek karta hai. Is mein mojood reshah qabz key marizon key liye be had mufeed hai.
9-Black grape buland fashar khoon mein be had mufeed hota hain
10 -Angoor mein potassium ki mojoodgi gurdon key afaal ko durust rakhti hai. Tazah aur pake huye angoor agar khoob khaye jayein to gurde ki pathri torne mein mowassar ho sakte hain. Gurde aur masane ki pathri grape key patton(leaves) ka ras pine ya inhein paka kar khane se nikal jati hai.
Qudrat ne grape ko yeh khoobi bakhshi hai keh is key istemaal se saaf khoon paida hota hai. Ise key istemaal se na tabiyat bojhal hoti hai aur na hi medey mein kisi qisam ki girani paida hoti hai. Is key andar ghizaiyat aur tawanayi key bhar poor khazane hain. Thore se pake huye angoor nashte mein aur khane key baad khaye jayein to gosht, aala tareen protein aur vitamin wali ghizaon ka mutbadil ho sakte hain.
Labels:
Food & Fruits
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment