LifetimeEarn

Thursday, 19 November 2015

Benifits Of Honey


Shehad Aalah Taala ki ata karda nemat hai yeh ghiza insane ke liye shafa ka zareeyah hai. Shehad be shumar fawaid ka hamil haota hai. Jism ko kayi amraz se mahfuz rakhta ahi yeh qudrat ki besh baha nemat, taqatwar ghia aur dawa hai.


  • shehad ka koi aik rung nahi hota shehad ko do qismon mein taqseem kia jata hai. Aik halka aur dusra gehre rung ka. Doctor naks jon ke mutabiq halke rung wale potassium, gandhak, calcium, sodium phosphorus, magnesium silicone, folad, aluminum aur iron bhi ziadah moqdar mein paya jata hai. Gehre rung mein maadani namkiyat ziadah hote hain shehad mein anti biotic khosusyat mojud hain.
  • Ise zakhmon par bhi lagaya jata hai.
  • Aanton ke infection ki surat mein shehad ka istemaal behtar ilaaj hai.
  • Nazlah zukam, khansi, halaq ki khrash mein shehad behtareen hai.
  • Shahad jitna ziadah arsah rakha jata hai is mein khushbu kam ho jati hai. Tazah shehad dimagh, anton, gurdon aur aasab ko taqat war banana ke liye aik nemat hai.
  • Nashte mein aik pao dudh mein shehad mila kar rozanah pine se jild saaf ho jati hai aur qabz rafaa ho jata hai.
  • Chehre ko khubsurat banana wali ashya mein shehad aaj bhi sab dawayon mein sab se ziadah mowassar tasleem kia jata hai.
  • Chehre par shehad lap laga kar thori der rahne dain aadh ghante baad chehre saaf karain. Rung saaf ho jaye ga.
  • Bachon mein khoon ki kami doodh mein shehad dene se khoon ki kami ki shikayat dur ho jati hai.
  • Aagar bad-hazmi mein bachon ko chand din shehad ka aik chmcha istemaal karaya jaye to bad-hazmi ki shikayat dur ho jati hai.

No comments:

Post a Comment

Health Tips Viewers