LifetimeEarn

Thursday, 19 November 2015

Benifits Of Potato


Mashhoor hai keh aloo ka poda sab se pehle north aur South America mein kasht kia gia tha. Is tarkari ko aik dor mein itna mqwi samjha jata tha keh quwat e mardamu se mehroom afrad ke ilaj mein is ko bari ahmiyat hasil thi.

Chun keh aik taweel arse tak Europe aloo se mehroom tha is liye is dor mein is ki qimat aasman se batein karti thi aur yeh besh qimat dhaton ki tarah besh baha samjha jata tha. Aloo ko saikron hazaron saal se tibbi maqasid ke liye istemaal kia jaraha hai. Yeh sabzi intehayi ghizaiyat bakhsh qarar di jati hai jis mein fiber (resha), vitamin B, mineral aur vitamin C ki bohtaat hoti hai. Aloo ke chilke amooman cheel kar zaya kar diye jate hain lekin in chilkon mein hi potassium sb se ziadah moqdar mein hoti hai. Rawaiti tor par aloo ke chilke se tiyar ki jane wali tea high blood pressure ko control karne ke liye dunya bhar mein istemaal ki jati rahi hai. Kache potatos ka juice bhi buhat mufeed hai aur soup jo sabziyan stoo mein zaiqa tabdeel karne ke liye istemaal kia ja skta hai. Aik zamane mein joron ke dar se aaram ke liye log apni qameez ke pocket mein kacha aloo rakha karte the.

Khususiyat



Aloo ki khususiyat rakhta hai aur jism se fasid, zehrile madon ke akhraj mein madad karta hai

Yeh meday aur aanton ke zakhmon (ulcer ko theek karta hai.

Sozish aur dard door karta hai.

Aloo ke chilke mein chlorogenic acid hota hai jo khalyat ki tbdili se bachane mein muawnat kar skta hai.

Khalyaat ke aise mutations se hi cancer hota hai.

Doran e khoon ko sehatmand rakhne mein bhi aloo muawnat karta hai.

Uses

Kache aloo ka arq meday ke ulcer ke elawa arthritis ki soojan aur sozish kam karne mein istemaal kia ja skta hai. Kache aloo ko bhoon kar ya boil kar ke iski poultice banayein aur isay chot , ragar, moch ya zakham par bator lep laga lein ya isay cotton kapre mein rakh kar is se sekhayi karein.

Khal jalne ki surat mein kache aloo ko kuchal kar mutasirah hisse par lagayein. Is se jalan aur dard mein kami hogi.

Boone huye aloo ke neem karam guday ko kehni ya degar joron ke dard mein aaram ke lie lagaya ja skta hai.

Boil aloo ka chilka prostate ghadood ki sozish mein mufeed qarar dia jata hai.

Ise poulitice ke tor par bhi mutasirah moqam par laga skte hain.

Kaha jata hai keh waqt se pehle burhape ki aamad ko rokne aur amraz qalb se bachne ke liye aloo kasrat se khana chahiye.

Aloo ke rozana istemaal se qabz door hota hai. Aur irriable bowel syndrome ki sozish rafa hoti hai.

Ahtiyaat

Aam aloo samet buhat si nightshade tarkaryon mein zehrilay alkali ajza hote hain tahum hum agar in ko paka kar khaya jaye ye kam moqdar mein kacha khaya jaye to is se koi noqsan nahi hota Purane aloo jin mein konpalein nikal gayi hon voh zehrili ho skti hain is liye in ko na khana behtar hai.

No comments:

Post a Comment

Health Tips Viewers