LifetimeEarn

Thursday, 19 November 2015

Benifits Of Zaitoon Oil



Zaitoon Oil Benefits in Hindi



Zaitoon ke darakht ki hight tqreeban 3 m ke qareeb hoti hai. Chamak dar patton ke elawa is mein ber ki shakal ka phal lgta hai.

Zaitoon ka tail bator industry paidawar aur kar aamad Farance, Italy, Span aur Uman se aata hai. Quran majeed mein zaitoon aur is ke tail ka bar bar zikar mojood hai.

Zaitoon ko Allah tabarak o tala ne aik Mubarak yani barkat wala darakht qarar dia hai aur is ko ahmiyat ata farmayi phir logon ko matawajjah kia keh zaitoon khajoor anar aur angoor mein fawaid ke khazane bhare pare hain.

Rawayat hai keh yeh pehla darakht tha jis ka phal zameen par utarne ke baad Hazrat Aadam (A.S) ne khaya.

Mufsareen ki tahqiqaat ke mutabiq zaitoon ka darakht tareekh ka qadeem tareen poda hai toofan e Noh ke ikhtatam par pani utarne ke baad zameen par jo sb se pehli cheez numayan samne aayi woh zaitoon ka darakht tha. Jb toofan Noh mein poori aabdi sawaye momaneen key ghark ho gayi, Hazrat Noh (A.S) apni ummat ko le kar kayi din safar karte rahe. Inhon ne aik roz fakhtah ko hidayat ki keh who pani key oper parwaz kare aur selab ki surathal ka jaizah le fakhtah jab lot kar aayi to is ki chonch mein zaitoon ki dali thi. Zaitoon ka zikar tamam aasmani sahfiyon (Toret o Injeel) mein bhi milta hai.

Zaitoon ka Faida


Arab mamalik mein roghan e zaitoon ko ghee ki jagah istemaal kia jata ai, roti par laga kar shoq se khate hain, yeh ghizaiyat se barh poor hota hai. Is liye kmzor bachon ke liye nehayat mqwi ghizaye dawayi hai. jism ko farbah karta hai, pathon ko taqat deta hai chehre ke rung ko nikhar ta hai. Burhape ki tkleef aur asrat km karta hai.
Roghan zaitoon ka jigar par khas mohrik asar hota hai, isi wajah se patte mein pathriyan ruk jayein to roghan e zaitoon ke istemaal se pathriyan kharij ho jati hain. Yeh pitte ki pathri ruk jayein to roghan e zaitoon ke istemaal se pathriyan kharij ho jati hain. Yeh pitte ki pathri ko tor kar rezah rezah kar ke nikal deta hai. Dard jigar aur dard gurdah mein bhi sufaid hota hai yeh tabkheir medah aur pait ki jalan yani tezabyat ki behtareen dawa hai. Pait ke afaal ko aaitadal par lata hai pait ke kire nikalta hai. Daimi qabz ko door karta hai. Mede aur aanton ke sartan mein mufeed hai.

Mede ke zakham (peptic ulcer) mein buhat mufeed hai. Arq un nisa, falij aur joron ke dard mein akseer hai. falij laqwah aur sb hi dardon ke liye mutasirah hisse par roghan e zaitoon ki malish mufeed hoti hai.

Yeh tezabyat ya kisi bhi zehar ke asar ko khatam karta hai, zehar khoordni mein roghan e zaitoon doodh mein mila kar pila ne se aaram aajata hai aur jan bach jati hai. jild ki bimaryan zakham, sozish chaiyan, keel muhase aur masson par roghane zaitoon ki malish karne se buhat jald yeh takalieef door ho jati hain. Roghane zitoon husn o zebaish ke noskhon aur ashya mein istemaal kia jata hai. korh ke mariz ko roghane zaitoon rozanah pilane se aaram aajata hai. Kiun keh yeh jaraseem kash tasir ka hamil hai. Isi liye tap e diq, damma, nazlah zukam ke liye bhi mufeed hai.

Phoda Phunsi ke Liye


Piaz koot kar roghan e zaitoon mein garam kar ke bandhein, phoda jald phoot jaye ga. Roghan e zaitoon dad, khushk ganj par lagane se aaram aata hai.

Namoonia ke Liye


Bachon ko agar sardi lg jaye pasliyon mein dard ho to roghan e zaitoon 4 spoon, tarpeen ka tail 3 spoon, kafoor 2 garam mila kar subah sham sine par malish kar na buhat mufeed hai.

Nazlah Zukam Nakseer ka Ilaj


Kalonji 2 gm pees kar roghan e zaitoon 15 gm mein chand minute josh dein aur naak mein neem garam qtre tapkayein. Yeh nakseer ke liye bhi mufeed hai. Nazle ki wajah se naak band ho to chand qtre roghan e zaitoon hum wazan mila kar rakh lein aur rozana raat ko sar aur pairon ke talwon par malish karein insha Allah neend na aane ki shikayat door hogi.Ganja pan ka Ilaj

Tambakoo coke tazah phool pees kar zaitoon ke tail mein mila kar ganj par lagane se baal nikal aate hain.
Kaan ka Ilaj

Kaan bajte hon, behra pan ho is ke liye aik pao roghan e zaiton mein aakh ke patton ka ras 25 gm mila kar pakayein. Jb pani khushk ho jaye to lehsan kata hua aik tolah daal kar halki aanch par pakayein keh jal kar siyah ho jaye to tail chan kar mehfooz kar lein rozanah chamche mein halka garam kar ke din mein 2 martaba kaan mein chand qtre dalein, behra pan theek ho jaye ga.

Balon ka Ilaj


Kalonji jb arshad, sunamukki, mehndi hum wazan pees kar 6 guna roghan e zaitoon mila kar 15-20 minute halki aanch par pakayein aur chan kar mehfooz kar lein yeh tail mosalsal sar par lagayein. Baal barhein gay aur balon mein chamak paida hogi sar ki khushki aur phunsiyan door hon gi. Yeh tail eczema, aur baghlon ki kharish par lagane se faida hoga.

100 gm zaitoon mein vitamin A 300 unit, vitamin B mein se sirf thayameen baraye naam, protein 1.5 gm, Harare 132, chiknayi 13.5 gm, nishasta 4.0 gm, calcium 87 gm, folad 1.6 gm aur phosphorus 70 gm hota hai.

No comments:

Post a Comment

Health Tips Viewers