Jaan lewa bimari sartan ke asbaab aur alaamat ke liye yeh janna zaroori hai keh yeh aik warm suda hai, jo safra aur balgham ke ekhtaraq se paida hota hai pehle jism ke kisi hisse mein badam ki tarah aik ghanth namudar hoti hai. Yeh ganth aahistah aahistah barh kar nile rung aur gol shakal mein tabdeel ho jati hai, ise chune se garmaish si mehsoos hoti hai. Bad azan yeh pheil kar sartan yani kekre ki tangon ki manind surkh ho jati hai aur sabz ragein namu dar ho jati hai. Is ki andarooni jar insani badan mein ghus jati hai. Sartan ka zakham bigarne par siyah rungat ikhtiyar kar leta hai aur is se badbo dar pani bhi rasta hai.
1-Khawateen mein chati ke sartan ke be shumar awamil hain jim mein
2-Khandani pas manzar
3-Ayam ki kharabi
4-Mukhtalif X-rays ke asrat
5-Mukhtalif jinyati awamil
6- Ziadah umer mein san yas waghirah
Hatta keh yeh moozi marz nani se beti aur is ki aulaad tak mein bhi muntaqil ho sakta hai. Chun keh donon chatiyon ki sharyanein mushtarak hoti hain, lehaza agar bad qismati se aik sartan ka shikar ho jaye to doosri mein bhi sartan se mutasir hone ke masawi imkanat barh jate hain. Operation ke zariye agar aik qta bhi kar di jaye to doosri ke mehfooz o mamoon rehne ki zamanat nahi di ja sakti.
Jin khawateen ke gharanon mein yeh moozi marz waqoo pazeer hoa ho inhein ziadah ahtiyati tadabeera aur mayalij se ruju karte rehna chahiye. Marz se aagahi, bar waqt tashkhees aur munasib ilaaj mualje hi se is marz ka khatmah mumkin hai. Is maqsad ke hasool ke liye waqtan fawaqtan bila jhijhak apne sine ka khood muainah tibbi muyainah aur mammogram jaisi saholat ka istemaal kia ja sakta hai. Bad qisamti se waqt guzarne par operation, chemotherapy, aur radiotherapy ke zariye hi is ka khatmah kia jaskta hai, lekin zahan nasheen kar lein keh baaz awqaat operation ke baad bhi yeh dheet aur hat dharm marz palat kar hamlah awar ho sakta hai, kiun keh khoon mein zehar gardish sartani khalyat jigar , lungs aur bone par bhi dhawa bol sakte hain. Is moozi aur jan lewa bimaari ka sab se ghair jamalyati pehloo yeh hai keh operation ke natije mein khawateen apne naswani husn se mehroom ho jati hain.
Khawateen mein khush khoraki aur ghair fayalat ke bais in ke jism mein estrogen hormone ki satah buland hone se chati ke sartan ke khatrat barh jate hain. Aik aur jaize ke mutabiq bartanyah sameit degar Europe ke mamalik ki khawateen ke jism mein is hormone ki satah gair maamooli had tak ziadah hoti hai. Aik sarve ke mutabiq khawateen mein estrogen hormone ki satah mein yah ghair maamooli izafah guzashtah 50 saal ke doran hua hai.
Aik aur tibbi serve ke mutabiq sirf mamlakat e bartanyah mein har 9 mein se 1 khatoon ke bare mein imkan paya jata hai keh woh chhati ka cancer mein mubtila hogai hai lekin Africa mein ki gayi aik halyah tibbi tehqeeq ke nataij ne sartan ke khatme ki koshishon mein sargardan mahireen ko chonka dia hai jis ke mutabiq intehayi muflis mamalik Mali aur Congo ki khawateen ke jismon mein khush hal maghrabi mamalik ki khawateen ki nisbat estrogen hormone ki satah buhat kam rehti hai. Is ki bunyadi wajah African mother ka na sirf kaseer ul aolaad hona, balkeh razayat apne doodh se in ki parwarish karna bhi hai. jab keh is ke bar aks maghrabi muashre mein fi gharnah bachon ki taadad mahaz aik ya do tak mehdood rehti hai aur mulazmat mein masroof e amal mayon ka apne bachon ko apna doodh pilana ka rawaj buhat kam hai tibbi mahereen ne is amar ko tasleem kia hai keh agar maan bache ko apna doodh pilaye, to na sirf is ke jism mein estrogen hormone ki padawar kam ho jati hai balkeh mahanah ayam ka doranyah bhi mukhtasar rehta hai jab keh magharbi muashre ki khawaten mein mukhtasar kahndan ke bais mahana ayam ka aghaz nisbatan jald aur ziadah muddat tak rehta hai. jis ke natije mein in ke jism mein estrogen hormone ki moqdar mein bhi izafah ho jata hai. Achi ghiza ghari fayal zindagi aur aaram talbi bhi estrogen hormone mein izafe ka ahum sabab hai. Is tarz e zindagi ke bais dunya bhar ki khawateen mein breast cancer ke khatrat barh rahe hain.
No comments:
Post a Comment