Nose ki khobsurti aur jazib tawajja ke liye chand aeham aehtiyatein hain. Jin par sakhti se amal kar ke he aap kamiyabi hasil kar sakti hain. Agar aap qabz ki bemari mein mubtila rehte hain to koshish yeh karen ke is se mukammal nijaat hasil ho. Aksar nazla ya zukam ho jane ki aik bunyadi wajah yeh bhi hai ke aap ka pait saaf nahi rehta.
Agar aap ne apni is bemari par qaboo paa lia to aadhi kamiyabi to yehi hasil ho jati hai aur agar aap is marz mein mubtila nahi hain to yeh aap ke liye nihayat khush qismati ki baat hai. Dosri aeham aehtiyat hai ke apni ghiza mein tawazun barqarar rakhen. Main ne aksar khuwateen ko dekha hai ke wo thandi aur garam chezen aik sath kha leti hain jo bohat ghalat hai. Is silsile mein aap ko mukammal aehtiyat rakhne ki zarorat hai.
Thande ya garam se murad tea ya ice cream he nahi hai, bal ke ghiza ki tasuri hai. Agar aap ke gale meuin kharabi hai to forum throat paint lagae aur din mein kam az kam 4 bar namak mile neem garam pani se gharare karen. Aap in aehtiyaton ko parh kar yeh zaroor soch rahi hongi ke aakhir in ka naak se kya talluq hai to yeh baat aap ke ilm mein izafe ka baiys ho gi ke insaan ke gale, naak, kaan aur aankhon ke ghudood aapas mein bohat gehra talluq hota hai aur aik ke kharab hote he dosre ke kharab hone ka bhi khadsha barhta hai. Khusosan agar aap ke gale mein koi kharabi ho jae to aap forum zukaam mein mubtila ho jaengi, is liye bar waqt qaboo pana bohat zarori hai.
Chohti aehtiyat yeh hai ke aap subha baidaar hone ke bad nage paaon farsh par na rakhen, kyun ke us waqt zameen ki taseer thandi hoti hai aur aap ke dimagh aur naak par thanda ka asar ho sakta hai. Wo behne jin ko aksar zukaam ki shikayat rehti hai, us ke liye zarori hai ke wo raat ko sote waqt naak ke andar jahan tak in ki choti ungli pohanch sake, zambic ya koi acha marham use karen, kyun ke bar bar zukam hone ke baiys naak ke andar choti phunsiyan ho jati hain.
Marham ke daily istemal se aap is takleef se nijaat hasil kar sakte hain. Zukaam hone ki soorat mein yeh bhi aehtiyat rakhni chahiye ke aap thandi chezen use na karen. Hatta ke fridge ka pani bhi na piyen, bal ke neem garam pani use karen. Zukaam se nijaat hasil karne ka aik desi tariqa yeh bhi hai ke agar aap khana khane ke bad 4, 5 daneykali mirch ke nigal len to yeh bilkul thek ho jata hai. Kali mirch chabane ki soorat mein mou mein mirchen lagti hain, lekin is se ghabra kar aap pani hargiz na piyen. Bal ke kam se kam aadhe ghante tak mukammal aehtiyat rakhen. Is ke ilawa joshanda ya namak wali chae ka use bhi zukaam ki soorat mein ziyada faidemand hai.
Sirf zukaam mein he nahi bal ke dosri bemariyon mein bhi khuwateen ko yeh koshish karni chahiye ke angrezi adwiyat se jis had tak ho door rahen, kyun ke is ki garmi aap ki skin mein koi infection bhi paida karti hai. Main ne aesi bohat si khuwateen dekhi hain jo zukaam ko aik mamoli bemari samajhti hain aur ke liye ziyada aehtiyat nahi karti. In ka khayal hota hai key eh chand roze mein khud he thek ho jaegi, to aesi khuwateen ke liye arz hai ke bemari khuwa kisi bhi noiyat ki ho, mamoli nahi hoti. Agar ise gher aeham samajh kar ghaflat barti jae to wo kisi barhi bemari mein tabdeel ho kar mazeed mushkilaat paida kar sakti hai.
No comments:
Post a Comment