Woh bache jinhein poti ke liye jate waqt be shumar hidayaat di jati hain aur jin ke zehnon par gandgi ka khof hota hai who bhi qabz ka shikar ho jate hain. Ya phir woh bache jo kheil kood mein itne msroof hon keh inhein toilet jane ka kheyal hi nahi rahe.
Man ka dhoodh pine wale bachon ko baaz auqaat kayi kayi dinon tak poti nahi hoti. Lekin is ka mtlab yeh nahi hota keh woh qabz mein mubtila ho gaye hon.
Han kuch cases aise bhi hote hain jin mein yeh qabz koi khatarnaak alamat ke tor par samne aata hai. Behar haal qabz ki tarf tawajjah dena buhat zaroori hai. Kiun keh fazil aur gandah mawad aanton mein jam kar khushk ho jata hai aur bache ko ise paas karne mein tkleef hoa karti hai.
Qabz ki Alamaat
Toilet jane ke bad bachah maamool se kahin ziadah waqt lagaye ya phir yun hi uth kar chala aaye aur agar mawad kharij bhi ho to buhat tkleef aur dushwari ke baad
Bhook ki kami aur pait mein maroor ya dard.
Badboo- fazil hone wale mawad mein
Kabhi kabhi faizil mawad ke sath halka halka khoon ka rasao jis ke dhabbe panty waghirah par dekhayi dein.
Raat ko bistar kharab ho jana.
Kia Karna Chahiye
Yeh note karein keh aap ke bache ko pichla motion kab hua tha. Woh kaisa tha. Bache ne kia khaya piya tha. Farz karein agar bache ko rozanah toilet ki hajat nahi hoti hai to pareshan na hon. Yeh aik normal si baat hai. Buhat se bache aur kuch bare bhi 2, 1 din dinon ke baad hajat mehsoos kia karte hain.
Qabz ki surat mein bache ko ghar mein tiyar kardah mashroobaat ziadah se ziadah istemaal karwayein. Ice cream waghirah khane ko dein.
Khane pine ki aadat mein baqaidgi paida karein. Beqaidagi se bhi qb ki shikayat paida ho jatihai. Bache ko bhar poor ghizayein dein. Anaaj ki har qisam khilaya karein jaise chawal, gandum aur dalein waghirah mqdar aahistah aahishtah barhati jayein.
Tazah phalon aur sabziyon ka istemaal ziadah karein is shikayat mein khushk mewah jaat bhi mufeed sabit hote hain. Jaise phalyan, baadam aur sweet corn waghirah. Bache ke pait par daire ki surat mein malish karne se bhi qabz ka azalah ho jata hai.
Bachon mein jis tarah khane pine ki aadaat dali jati hain is tarah in mein toilet jane ki aadat bhi dalni chahiye. Takeh woh baqaidah ho jayein. Qabz ki surat mein doctor ke mashware ke beghir apni tarf se bache ko dawayein istemaan na karayein.
Bachon ki Qabz ka Ilaj
Agar mandarjah bala mashwaron par amal karne ke bawajood qabz ki wahi surat haal rehtihai ya bache ko stool mein khoon bhi aane laga hai to phir doctor ke paas zaroor jayein. Aur is mein der na lagayein. Is marz ka khatmah jitni jaldi ho jaye itna hi behtar hua karta hai.
Baaz auqaat motion ko loose karne ke liye khas qisam ki cream bhi istemaal ki jatihai. Yeh cream doctor ki hidayat se istemaal ki jaye. Yeh cream 6 se 8 cup ani ke sath aik din mein istemaal hotihai.. aur is ki wajah se motion loose ho jate hain.
Kuch bachon ko yeh cream kayi hafton tak istemaal karayi jatihai. Takeh in ke nizam kharij mein aik baqaidgi paida ho jaye. Agar iske bawajood surat e haal mein koi tbdili na ho to phir aisi surat mein doctor mazeed muaine ke liye bache ko hospital mein rakh skta hai.

No comments:
Post a Comment